“Hazrat Ibhrahim alaihissalam” Aag me Kitne Deen rahe in hindi:
Munhaal Bin Umro Rahmatullah Alay se Marvi he wo kehte he
Muje ye Khbar di gayi ki Hazrat Ibhrahim Alayhesalam Aaag me 40 ya 50 deen rahe,
Hazrat Ibhrahim alaihissalam” Farmate he
Aaag me Rehne ke Deeno me jitna Khus raha, itni khusi Puri Jindagi me Muje hasil na ho saki,
ALLAH TA’ALA ne Saya par Mukararr Fariste ko Ibhrahim Alayhesalam ki hi Sakl me un par bheja ki wo Aap ke Paas Beithe taaki wo us se ins Hasil kare Akele hone ki wajah se Aap ko Koi pareshani na ho,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ke Paas Zibrail Alayhesalam Jannat me se ek Resmi Kamis laaye Aur Kaha Ay Ibhrahim Alayhesalam Beshaq Aap ko RABB ka Farmaan he ki
“Kya Aap ko Malum nahi ki Mere MEHBOOBO ko Aaag Nukshan nahi pahoncha sakti”
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-124)
>> Hazrat Ibhrahim alaihissalam” ne Tamam Batil Ma’abudo ka Radd kiya
Hazrat Ibhrahim alaihissalam” jis Koum me Tasrif laaye us me kuch log But-Parast the, kuch Sitara-Parast, kuch Chand-parast, Aur kuch Suraj-Parast Balqi Namrud ki Parasti bhi hoti thi,
Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne Buto ke Ma’abud hone ko Dalail se Batil kiya, Koum ne jab Dalail se koi Fayda na Hasil kiya to Aap ne Buto ko Tod kar Apni Pareshani ko Door karke Apne Dil ko Tasalli di,
Sitara Parast Aap ko bhi Sitaro ki Puja ki Daawat deine lage, Aapne unka bhi Radd Farmaya ki Sitare Ma’abud Banne ke Kabil nahi,
“Fir Jab ki Ibhrahim(Alayhesalam) par Andheri Raat aayi to Unhone ek Tara deikha kehne lage kya ishe Tum Mera RABB Tehrate ho Fir Jab wo Doob gaya to unhone kaha ki Muje to Chip janewale Pasand nahi”
(Surah Anaam, Aayat-76)
Yaani ye to Khud kishi Nijaame Qudrat ke Paband he un me Ma’abud banne ki Salahiyat nahi Meri Tawajjo Aur Mohabbat ka Markaz to Sirf Malikul Mulk Khalike Qaayenaat Wahdahu Lasarik he, Me to un Sitaro se na hi Mohabbat Karta Aur na hi unko kishi Ma’amle me Movsar Haqiqi Manta hu Jab unse Mohabbat hi nahi to un ki Ibadat ko keishe Acha Samaj Sakta hu.
Chand Parasto ne Aap ko Chand ki Ibadat ki Daawat di Aapne unka bhi Radd kar diya ki Tum to Gumraah ho Haqq to ye he ki Tum Khud Sidhi Raah par Aajao kiya Tum muje Raah Rasta se Bhatkana chahte ho ye Na-Mumkin he.
“Aur Fir Chand Chamakta deikha to Farmaya ki Tum ishe Mera RABB Banate ho Fir jab Wo Bhi Doob gaya to unhone kaha ki Agar Mera RABB Muje Hidayat na karta to me bhi (unhi) Gumraah logo me se ho jata”
(Surah Anaam, Aayat-77)
Yaani ye Chand bhi Kishi ke Huqm ka Taabie he, us ki chamak Damak bhi Kabhi Ek Elaka par Kabhi Dusre par Yaani ek Wakt me ek Elaka ko chamka raha he to Dusre us ki Roshni se Mehrum he to Eyshi Chiz jo Khud hi ek Haal par Na Rah sake wo keishe Ma’abud Ban Sakte he, ye to Muj par ALLAH ka Feizaan he jisne Muje Sidhi Raah par chla kar us par Kayam rehne ki Tofik aata farmadi Warna Jis Koum me Har Taraf Batil Raah par Chalne wale hi Nazar aate ho waha ek Fard ka Haqq par Qayam rehna keishe Mumkin tha..?
Suraj Parasto ne Aapko Suraj ki Ibadat ki Dawat di ki ye to Bahot Roshan he, ye to Yakinan Bada Khuda Banne ke Qabil he Aap ne Unka Bhi Radd kar diya ki Me Shirk par Qayam rehne ki kishi ko Jab Ijajat nahi deita to Mujse Shirk ki Ummid rakhna Tumhari Himakat he,
“Fir Jab ki Suraj ko Chamakte deikha to kaha ki Tum ishe Mera RABB kehte ho ye to(un) sabse Bada he fir wo bhi Doob gaya to Aapne Kaha ki Ay Meri Koum Me to (Tumhare un sab Ma’abudo se) Bejaar hu Jinhe tum (Khuda ke) Sareek thehrate ho”
(Surah Anaam, Aayat-78)namrud badshah history hindi hazrat ibrahim alihissalam 5
Aapne Jab Suraj ko Jagmagate hue deikha to koum ko kaha ishe RABB kehte ho Sab se Bada samaj kar ise Bada Khuda Mante ho, ye bhi to Kabhi ek Elaka ko Jagmaga raha he Aur Dusre ko Andhere me rakhta he, Jab Dusre elaka ko Roshan karta he to pehle elake ko Tariki me duba deita he, bhla vo chiz jo Khud Apne mahud me Gumne ke liye kishi ke Huqm ki Paband ho wo Khuda Ban Sakta he..?
Nahi nahi ye Khuda kabhi bhi nahi Ban Sakte, Ay Meri Koum ALLAH TA’ALA se sarik tehrana chod do, me to pehle hi Bejaar hu Mujse Tumhari ye ummid ki Me Tumhare Sath Ma’abudaane Batila ko Manne me Sarik ho jaunga bekaar he,
Meri Tawajjo ka Markaz to Sirf Zameen va Aasman ka Khalik he me us ke Sath Aur koi Sarik Tehrau ye keishe ho sakta he..?
me koi Musrik to nahi,HAZRAT IBRAHIM STORY IN URDU HINDI PART 3
Koum ne Aap ko Batil Ma’abudo ki Mukhalifat se Darane ki koshis ki ke ye Tumhe Nukshan pahonchaye ki un ki Mukhalifat se Baaj Aajao,
Aap ne Saaf Alfaz me Jawab diya
“Jin ko Tum (ALLAH ke Sath) Sareek tehrate ho, Muje unse Koi Dar nahi”
(Surah Anaam)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-126,127)HAZRAT YOUSUF STORY IN HINDI URDU PART 8
>> Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ka Namrood se Munazra :
hazrat ismail ki qurbani ka waqia hindi or ibrahim ka imtihan 7
>> Munazra kab Huwa :
Tafseere Kabeer Aur Roohul Maani me 2 Koul Nakal kiye gaye he,
ek ye ki Buto ko Todne ke baad Aur Aaag me Daalne se pehle Aur
Dusra Koul ye he ki Hazrat Ibhrahim Alayhesalam Jab Aaag se Bahaar Tasreef laaye to us Wakt ye Munazra huwa,
Munazra karne ki Wajah ye thi ki Namrood ne Ibhrahim Alayhesalam se pucha tha ki Tumhara RABB konsha he jis ki me Ibadat karu..??
>> Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ki RABB ke Muta’alak Dalil :
“Jab ki Ibhrahim (Alayhesalam) ne kaha ki Mera RABB wo he jo Jilata(Zinda karta) he Aur Marta he”
(Surah Baqrah, Aayat-258)
Yaani isyaa(chizo) me Mout va Hayat ko Peida karta he, Ek KHUDA ko Na Pahenchane wale ke liye ye Behtareen Hidayat thi Aur us me Bataya gaya tha ki Khud Teri Zindagi RABB ke Wazood ki Sahadat de rahi he ki Tu ek Bejaan Nutfa tha jisne us Nutfa ko Inshani Surat di Aur Hayat aata farmaayi wo RABB he Aur Zindagi ke Baad fir chizo ko jo Mout deita he wo PARWARDIGAAR he uski Qudrat ki Sahadat Khud Teri Apni Mout va Hayaat me Moujud he is ke Wazood se Bekhabar rehna Kamaal, Jahalat va Safahat Aur intehaai Badnaseebi he,
ye Dalil eshi Jabardast thi ki iska Jawab Namrood se Na Ban Saka, Aur us khyaal se ki Majmaa ke Saamne us ko La-Jawab Aur Sarminda hona Padh raha tha to usne kuch Bahsi(tedi Behas) ikhteyar ki.
Hazrat Nooh ki kashti ki kahani story Hindi Urdu part 2
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-128)
>> Namrood :-
HAZRAT YOUSUF STORY IN HINDI URDU PART 2
Quraane Paak me he ki
“Ay Mehboob kya tum ne na deikha tha ushe jo ibhrahim Alayhesalam se Jaghda uske Rabb ke Bare me us par ki ALLAH ne use Baadshahi di”
(Surah Baqra)
is se Muraad us wakt ka Baadshah he jis ka Naam Namrood ibne Kanaan ibne Sanjaarib he, Yahi Pehla Baadshah he jis ne Taaj pehna Aur koum par Zulm va Sitam kiya,
Khudai ka Dawa kiya Saare jahan ke Baadshahat is ko Mili, uski Kul Umar 800 Baras thi, 400 Saal Apni Baadshahi ke Roub va Dabdabe me gujaare Aur 400 Saal Macchar ne ushe Kata jo Naak ke Raste us ke Dimaag me Gus gaya tha wo Apne Sar par Jute Lagwata raha, usne ALLAH TA’ALA ko Mukabla karne ke liye Buland Kila Banwaya tha uska Daarul Khlafa Babil me tha.
(Roohul Bayan, Jild-1, Safa-503)Hazrat ayub alaihis salam Story part 1
>> Tamam Roohe Jameen ke 4 Baadshah :
jinko kul Duniya ki Baadshahat Hasil rahi ho wo Sirf 4 Shaksh he
2 Musalman Aur 2 Kafir,
1) Hazrat Sulemaan Alayhesalam,
2) Hazrat Sikandar Zulkarnein Alayhesalam,
3) Namrud,
4) Saddad Bin Aad, jiska Naam Bakht Nasr tha,
Saddad ne hi RABB TA’ALA ke Mukabil Apni Khudai ka Dawa karte hue Adn ke Janglaat me Apni Jannat Banwayi thi, Jannat jab Taiyaar hui to deikhne ke liye gaya, Abhi uske Ghode ne Apne Dono Peir ko us ki Masnue Jannat me rakha hi tha ki Izraail Alayhesalam ko Huqm huwa ki us ki Rooh Kabz karlo.
(Roohul Bayan, Jild-1, Safa-503)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-127,128)
>> Namrood ki Bevakoofi :
Jab Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ne RABB ke Muta’alak Dalil di to Namrood La-Jawab ho gaya, Sarminda ho gaya Aur Tedi Behas ikhteyaar ki, Aur kaha..
“usne kaha ki me Bhi Jilata(Zinda karta) hu Aur Marta hu”
(Surah Baqrah, Aayat-258)
Namrood ne do Shaksho ko Bulaya, unme se ek ko Qatl kiya Aur ek ko Chod diya Aur kehne laga ki me bhi Zinda Karta Aur Maarta hu, Yaani kishi ko Giraftaar karke Chod deita hu ushe Zinda karta hu Aur kishi ko Qatl karke Maar deita hu,
ye uski Nihayat Ahmakana Baat thi,
Kaha Qatl karna Aur Chodna..?? Aur kaha Mout va Hayat peida Karna..?
Qatl kiye hue Shaksh ko Zinda karne se Aajiz rehna Aur Bajaaye uske Zinda ke Chod ne ko ye kehna ki me Zinda karta hu us ki Jillat ke liye Kaafi tha,
Akalmando par to Zahir ho gaya tha ki Hazrat Ibhrahim Alayhesalam ki Dalil ka Jawab Mumkin nahi,
Namrood ne jab Dalil Kayam ki thi usme Dawa bhi paya gaya tha to Ibhrahim Alayhesalam ne us par Munajra Na Giraft Farmaai ki Ay Juthe Madeel Wahiyat Mout va Hayat peida karna Teri Qudrat me kaha Balqi tu us ka Tasawwur bhi Nahi Kar Sakta, Us se Aashan Kaam kar ke dikha..
“Ibhrahim (Alayhesalam) ne Farmaya To ALLAH Suraj ko Purab se lata he to tu us ko Paschim se le aa to us Kafir ke Hous ud gaye Aur ALLAH TA’ALA Zaalimo ko Raah nahi dikhata”
(Surah Baqrah, Aayat-258)
Wo Heiraan ho gaya, Aur Jalil huwa jab us se Koi Jawab na Ban Saka to kehne laga Mere Paas Tumhare liye koi Gila nahi tum Apne Rabb se Mango wahi Tumhe Gila de jis ki Tum Ibadat Karte ho.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-129)
>> Namrood ek Martaba Fir Imaan Laane se Mehroom
ALLAH TA’ALA ne Zalim Namrood ke Paas Inshani Shakl me ek Farista Bheja jis ne Aakar Kaha Teira RABB kehta he tu Muz par Imaan la, Ham teri Saltanat Bar-karaar rakhenge, wo bola RABB to me hi hu Mera RABB kon he..?
3 Dafa ye Wakiya darpeish aaya lekin wo Imaan laane se Mehroom raha.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-130)
history of kaba sharif hazrat ibrahim hindi PART 8
Leave A Comment