Hazrat hood alaihissalam story in Hindi urdu part 2
Hazrat Hood Alayhesalam ka Qoum ko Challenge :
Quraan Sareef me he ki
“(Hazrat Hood Alayhesalam ne) Kaha Mei ALLAH ko Gawaah Karta hu Aur Tum Sab Gawaah ho Jaao ke Mei Bezaar hu Un Sabse Jinhe Tum ALLAH ke Siwa Uska Sareek Thehraate ho, Tum Sab Milkar Meira Bura Chaho Fir Muze Mohlat Na do, Meine ALLAH Par Bharosha kiya Jo Meira RABB he Aur Tumhara Rabb, koi Chalnewala Nahi, Jiski Choti Uske Kabze Qudrat me Na ho, Beshaq Meira RABB Shidhe Raste Par Milta he”
(Surah Hood, Aayat- 54, 55, 56)
Hazrat Hood Alayhesalam ka Ye Bahot Bada Mojiza he ki Ek Shaksh Bahot Badi Qoum ka Mukaabla kar raha he, Unhe keh Raha he ki Tum Tamaam Mil kar Meri Adaawat me Koi Kasar Baaqi na Chhoudo, Muje Nukshan Pahonchane me Apni Puri Koshis Karlo Muje Koi Mohallat na do, Muje Tumhara Koi Khouf wa Khatra Nahi, Muje to Apne RABB Par Pura Bharosha he, Wahi Meira Muhafiz he, Wahi Muje Bachaane wala he, Saari Makhluk Ushi Ke Qabza e Qudrat me he, Kishi ko Zaate BAARI se Mukabla Karne ki Koi Taaqat Nahi.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-13)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-248)
>> Hazrat Hood Alayhesalam ne Qoum ko Azaab se Daraya :
Quraane Majeed me he ki
“Beshaq Muze Tum Par Dar hei ke Ek Bade Din ke Azaab ka”
(Surah As-Shu’ara, Aayat-135)
Aur ek Jagah Irsaad he ki
“Fir Agar Tum Mooh Feiro to Mei Tumhe Pahuncha Chuka Jo Tumhari Taraf Lekar Bheja Gaya, Aur Meira RABB Tumhari Jagah Auroko Le Aaega Aur Tum Uska Kuch Na Bigaar Sakoge Beshaq Meira RABB Har Say Par Nigehbaan he”
(Surah Hood, Aayat – 57)
Hazrat Hood Alayhesalam ne Farmaya Meine ALLAH TA’ALA ke Peigaamaat Tum Tak Pahoncha diye he, Tumhe Kaamyabi ka Raasta Bata diya he Lekin Tum ne Apni Zid na Chhodi Butt-Parasti par Qaayam rahe, Ab RABB ka Azaab Aane Wala he, Jo Tumhe Tabaah wa Barbaad Kar deiga, Agar Tum Chaho ki Us ke Azaab ka Muqabla karo to Tum Eysha Kabhi Nahi kar Sakoge, wo to Tumhe Barbaad Kar deiga Lekin Tum Us ka Kuch Nahi Bigaad Sakoge Aur Tumhe Barbaad Karne se Uski Baadshahat me Koi Farq Nahi Aayega, Is liye ki wo Qudrat ka Malik he Tumhari Jagah Wo Nayi Makhluq Peida Farma deiga Jo Uski Itaa’at karegi Uske Hukm ki Baja-Aawri me Koi Kami Nahi hone deinge.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-13)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-248, 249)
Azaab ka Khouf Dila Ne Par Qoum ka Jawab :
Quraan Majeed me he ki
“Bole Hame Baraabar hei Chahe Tum Nasihat Karo ya Nasihat Karne walo me se Na ho, Ye to Nahi Magar Wohi Aglo ki Rit(Tour-Tareeqe), Aur Hame to Azaab hona hi Nahi”
(Surah As-Shu’ara, Aayat-136, 137, 138)
Qoum ne Kaha hame Tumhare Azaab ke Khouf Dilane ki Koi Fikr nahi, Ham Tumhare Wa’az se Nasihat Hasil Karne wale Nahi, Tum Bhi Pehle Nabiyo ki Tarah hi Hame Azaab se Dara rahe ho ye to Sabiqa Rasm Aa rahi he, Ham Badi Taaqat ke Malik he, Hame Azaab Kuch Nukshan nahi Pahocha Sakta.
>> Qoum ne Azaab ko Rehmat Samja :
Quraan Majeed me he ki
“Fir Jab Unhone Azaab ko Deikha Baadal ki Tarah Aasmaan ke Kinare me Feila huwa Unki Waadiyo ki taraf Aata, Bole Ye Baadal hei ke Ham Par Barsega, Balke ye to woh he Jiski Tum Jaldi Machate the ek Aandhi he Jisme Dardnaak Azaab, Har Chiz ko Tabaah Kar Daalti he Apne RABB ke Hukm se, To Subah Reh gaye ke Nazar Na Aate the Magar Unke Sune Makaan Ham Eyshi hi Saza deite hei Mujrimo ko”
(Surah Ahqaaf, Aayat – 24, 25)
Jeisha ki Pehle Zikr Aa Chuka he ki Qoume Aaad Par Hood Alayhesalam ki Takzeeb ki Wajah se 3 Saal tak Baarish Ko Rouk Diya gaya tha Is liye Jab Qoum Par Azaab Aane Ka Waqt Aagaya to ALLAH TA’ALA ne Siyaa (Black) Baadalo ko Chalaya Jo Unki Waadiyo se Zahir hue, wo Loug Waadiyo se Uth-te hue Baadalo ko deikh kar Bade Khus hue ki Barish Barsha ne wale Baadal Aa gaye he, Ab 3 Saala Qahat ka Dour Khatm hone wala hei,
Hazrat Hood Alayhesalam ne Unhe Bataaya ye to Wahi he Jis ki Tumhe Jaldi Padi hui thi, Kyunki wo Qoum Kehti thi Beshak Azaab le Aao.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-249, 250)
>> Qoume Aaad Par Azaab :
Quraan Sareef me ALLAH AZZAWAZAL Irsaad Farmata he
“Aur Aaad me Jab Hamne Unpar Khusk Aandhi Bheji, Jis Chiz par Guzarti Ushe Gali Hui Chiz ki Tarah Kar Chhodti”
(Surah Al Zaariyaat, Aayat-41, 42)
ek Aur Jagah Irsaad he
“Aaad woh Halaaq kiye gaye Nihaayat Shakht Garajti Aandhi se, Woh Unpar Quwwat se Laga di Saat(7) Raate Aur Aaanth(8) Din, Lagaataar to Un Lougo ko Unme Deikho Bicchde Hue Goya woh Khajur ke Dhundh me Gire hue, To Tum Unme Kishi ko Bacha huwa deikhte ho”
(Surah Al Haaqqa, Aayat-6, 7, 8)
Qoume Aaad Par 7 Raate Aur 8 Din Lagaataar Sadeed Andhi Chali, Sirf Isme Garj thi Baarish Nahi thi, Wahi Loug jo Baadalo ko deikh kar Khus ho rahe the Aur Ye Keh Rahe the ki Azaab to Ham Apni Taaqat se Taal deinge, Jab Unhone deikha ki Sadeed Garajne wali Aandhi Fiza me Heywano Aur Parindo ko Uda rahi he to ye Apne Makaano me Dakhil ho gaye Taaki Is Aandhi ki Siddat se Bach Sake, Lekin Saare Daawe Dheir ke Dheir ho gaye, ALLAH TA’ALA ne Us Fariste ko Hukm diya jo Hawae Chalaane par Muqararr he ki Aaad ki Qoum par Apni Hawaao ke Khazaane se Itni Miqdaar me Hawa ko Khol de Jitni Miqdaar ek Angoothi ki hoti he,
RABB TA’ALA ke Khazaano me se Ye Hawa Bazahir Ma’amuli thi Lekin Duniya me Howlnaak Tufaan tha, Tabaah-kan Aandhi thi, Sabse Pehle ek Aurat ne deikha ki Hawaa me Muje Aaag ke Sole Nazar Aa rahe he, Us Hawaane Unke Makaano ke Darwaze Gira diye,
Qoume Aaad Reit ke Teile me Dab Jate, Ye Silsila 7 Raate 8 Din Musalsal raha, Kishi waqt bhi Aandhi na Ruki, Wo Sab Tabaah Barbaad hogaye, Bade Bade Qad wale Apni Taaqat par Naaz karne wale RABB TA’ALA ki Giraft me Jab Aaye to Eyshe Barbaad hue ki Jeishe Khajuro ke Tane gire hue he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-250, 251)Hazrat Ibhrahim alaihissalam ko aaf me dale ka waqya in hindi 4
>> Hazrat Hood Alayhesalam Aur Unki Qoum par Naja’at
Quraan Sareef me ALLAH RABBUL IJJAT Irsaad Farmata he
“Aur Jab Hamara Hukm Aaya Hamne Hood (Alayhesalam) Aur Uske Saath ke Musalmano ko Apni Rehmat Farma kar Bacha liya Aur Unhe Shakt Azaab se Naja’at di”
(Surah Hood, Aayat-58)
RABB TA’ALA ki Azeem Qudrat ka Indaza Kijiye, Jaha Kuffar ko Tabaah wa Barbaad kar diya waha Hood Alayhesalam Aur Unki Qoum ko Naja’at di, Hazrat Hood Alayhesalam ne Apni Qoum ke Ird-Gird Khat Khinch diya wo Sadeed Aandhi Unhe Khus-Gawaar Mousam Bahaar ki Halki Halki Thandi Thandi Sahaani Hawaa Mahsus ho rahi thi, Kuffar Gir kar Tabaah ho rahe the Unki Gardane Toot rahi thi, Reit ke Teile me Dab Rahe the, Lekin ALLAH wale, NABI par Imaan Lane wale, Ushi Aandhi se Khus ho rahe the,
SubhanAllah…hazrat isa alaihis salam in hindi urdu 2 aap ki paidaish
(ALLAH TA’ALA ki Qudrat ka Insaan keishe Andaja kar Sakta he.. Uski Hikmato se wo Khud hi Waaqeif he)
Imaam Fakhrudin Raazi Rahmatullah Alay Likhte he ki
“Yaani Kuffar ko Duniya me bhi Shakt Azaab me Mubtila kiya Aur Qayamat me woh Sadeed Azaab me Mubtila honge, Momino ko ALLAH TA’ALA ne Duniya me bhi Mahfuz rakha Aur Qayamat me bhi Mahfuz Rakhega.
(Tafseere Kabeer, Jild-18, Safa-17, Jild-24, Safa-28)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-251)
NABI Alayhesalam ki Takzeeb Aur NABI Alayhesalam ki Gustakhi Tabaahi ke Azaab ko Da’awat deine ke barabar he,
ALLAH TA’ALA Imaan Par Qaayam wa Daayam Rehne ki Tofiq Aata Farmaye Aur Ambiya kiram ki Shaan me Gustaakhi se Bachaye.
Aameen Ya RABBUL AALAMIN..
>> Hazrat Hood Alayhesalam ke Waqiyaat Yaha par Khatm hote he, InshaAllah, Aage ALLAH TA’ALA ke Pyare Ambiya e Kiraam Alayhesalam ke Waqiyaat Jaari he…
Hazrat isa alaihissalam 3 aap ko masih kehne ka raaz
Leave A Comment