Hazrat hood alaihissalam or qome aad story in Hindi urdu part 1 Ab se InshaAllah..ALLAH TA’ALA ke Nabi Hazrat Hood Alayhesalam ke Baare me Wakiyaat Aayenge..
Aap Lougo se Gujarish he ki Post Padhte rahe Aur Dusre Musalman Bhai tak Pahonchate rahe..
Taaki Hamare Bhaiyo ke Ilm me Izafa hota rahe Aur Sawaab paane me Aap bhi Saamil ho jaaye..
Hazrat Hood Alayhesalam ‘Aaad’ Qabeela se he, Is Qabee ko ‘Aaade Auwla’ kaha gaya he,
Hazrat Nooh Alayhesalam ki Aulaad me se Ek Shaksh ka Naam ‘Aaad’ tha, Uski Taraf Mansub hone wali Qoum ko ‘Aaad’ kaha gaya he, Aaad ka Nasab ye he
“Aaad Bin ows Bin Aram Bin Saam Bin Nooh”
Hazrat Hood Alayhesalam ka Nasab ye he
“Hood Bin Abdullah Bin Rebaah Bin Khalud Bin Aaad” he.
>> Naam : Aap Alayhesalam ka Naam ‘Aabir ya Aabar’ he, ek Qoul ke Mutabik Aap Alayhesalam ka Naam ‘Eybar’ he,
>> Laqab : Aap Alayhesalam ka Laqab ‘Hood’ he,
(Tafseere Mazhari, Jild-3, Safa-369)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-240)
 

> Hazrat Hood Alayhesalam ki Aamad :-

Hazrat Hood Alayhesalam Hazrat Nooh Alayhesalam se 800 Saal Baad Tasreef Laaye Aur Aap hi ki Sariyat par the,
Hazrat Hood Alayhesalam ki Umar me Kayi Aqwaal he
1) 400 Saal,
2) 460 Saal,
3) 134 Saal,
4) 464 Saal,
Lekin 464 wala Qoul Zyada Mashoor he, Itna Taweel Arsa Hazrat Hood Alayhesalam Is Duniya me Zahiri Hayaat me rahe Aur Fir Is Duniya Faani se Rahlat Farmayi Aur Hayate Jaawdani Hasil ki.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-241)
 

>> Hazrat Hood Alayhesalam ne Qoum ko Deen e Islaam ki Da’awat Farmayi :

Quraane Paak me he ki
“Kaha Ay Meri Qoum ALLAH ko Pujo Uske Siwa Tumhara koi Ma’abud nahi Tum Nire Muftari ho, Ay Qoum Mei Is Par Tumse Kuch Ujrat Nahi Mangta Meri Mazduri to Ushi ke Zimme he Jisne Muze Peida kiya, To Kya Tumhe Aqal Nahi, Aur Ay Meri Qoum Apne RABB se Mu’afi Chaho, Fir Uski Taraf Ruju’a Laao Tum par Zorka Paani Bhejega Aur Tumme Jitni Quwwat he Usse Aur Zyada deiga, Aur Jurm Karte Hue Ru-Gardaani na karo”
(Surah Hood, Aayat-50, 51, 52)
Hazrat Hood Alayhesalam ki Qoum Emaan Aur ‘Hazr Mowt’ ke Darmiyaan Feili hui thi, ye ek Registaani waadi thi, Hazrat Hood Alayhesalam ki Qoum Butt-Parast thi,
Hazrat Hood Alayhesalam ne jab Unko Shirk se Baaz rahne, Butt-Parasti ko Chod ne Aur ALLAH TA’ALA ki Wahdaaniyat Par Imaan Laane ki Da’awat di to Qoum ne Aapki Takzeeb ki to ALLAH TA’ALA ne Unse 3 Saal tak Barish rouk li, Qahat Saali Padh gayi, Unki Aurato ko bhi 3 Saal tak Baanjh kar diya(Unke Baccho ki Peidaish Rouk di gayi),
Hazrat Hood Alayhesalam ne 3 Shaksho ko Apni Qoum ke Paas Bheja ki Tum Unhe Samjaaw wo 3 Shaksh ye the, Qeel Bin Asr, Naeem Bin Hazaal Aur Mursad Bin Sa’daya, Darhaqiqat wo Hood Alayhesalam par Imaan laaye hue the lekin Apni Qoum se Imaan ko Chupaya huwa tha, Un 3no ko Bhejne ka Maqsad yahi tha ki Qoum Unhe Apna Samaj kar unki Baat ko Maanegi Aur Soche ki ye Hamare Apne hi Loug he Nasihat Kar rahe he To Yaqinan Usme Bhalaai hogi Lekin Qoum Sochne Aur Maanne se Aadi hi rahi,
Hazrat Hood Alayhesalm ne Qoum ko Un 3no ke Zariye Kehlaya
ki ALLAH TA’ALA Par Imaan Laao, RABB TA’ALA Se Magfirat Talab karo Aur ALLAH TA’ALA ki Taraf Khushu wa Khuzu se Rajooe karo, to ALLAH TA’ALA Tumhe Zour ki Baarish Aata kar deiga Aur Tumhe Kaseer Maal Ataa Karega Aur Tumhe Beite Ataa karega Aur Tumhare liye Baarish se Nahere Aur Baagaat banayega Aur Tumhe Pehle se Zyada Taaqatwar Banaayega.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-241, 242)
 

>> Qoume Aaad ki Taaqat Aur Unke Kaam :-

Quraane Majeed me he ki
“Woh Jo Aaad the Unhone Zamin me Na Haqq Takabbur kiya, Aur Bole Hamse Zyada Kiska Zour Aur Kya Unhone Na Jana ke ALLAH Jisne Unhe Banaya Unse Zyada Kawi he Aur Hamari Aayato ka Inkaar karte the”
(Surah Haammim As-Sajda, Aayat-15)
Qoume Aaad ke Chhote Qad 60 Zaraa(90 Feet) Aur Bade Qad 100 Zaraa(150 Feet) thi, Ishi Wajah se Apne Jismo Aur Taaqat ke Ghumand me ye kehte the ki Ham se koi Taaqatwar nahi Ham Pahaad se Bade Bade Patther, Chattane Utha kar ek Jagah se Dusri Jagah le Jaate he, Agar Azaab Hamare Saamne Aagaya To Ham Ushe Apne Haatho se Rouk leinge,
ALLAH TA’ALA ne Farmaya
“Tum Apni Taaqat par Naaz karte ho Kabhi Meiri Taaqat ko bhi Tasawwur me laya karo, Meri Taaqat ke Mukaabil kishi ko koi Majaal nahi.
(Tafseere Jalalein, Safa-398)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-243)
Hazrat saleh Alayhesalam story in hindi urdu part 2

>> Qoume Aaad Lougo ke Saath Mazaak ke liye Buland Nisaan Banate

Quraan Sareef me he ki
“Kya Har Bulandi Par Ek Nisaan Banate ho Raahgiro se Hasne ko”
(Surah As-Shu’ara, Aayat-128)
Wo Buland Maqaamaat Par Buland Imaarate Ta’amir karte the Taaki Wo Raasta se Guzar ne walo se Mazaah kar Sake, Unka Mazaak Uda sake Aur Unhe Tang kar sake.

>> Qoume Aaad Rehne ke Liye Mazboot Mahal Banate :

Quraan Sareef me he ki
“Aur Mazbut Mahal Chunte ho Is Ummid par ke Tum Hameisha Rahoge”
(Surah As-Shu’ara, Aayat-129)
Hazrat Hood Alayhesalam ne Qoum ko Samjaya ki Tumhare Tour-Tareeqe Ayshe he ki Tum ye Samajte ho (ki) Tumhe Hameisha Duniya me rehna he Halanki Duniya Faani he Isme Hameisha ke liye Dil na lagaao.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-244)
 
>> Hazrat Hood Alayhesalam ki Qoum ke Jawabaat :
Quraane Majeed me he ki
“Uski Qoum ke Sardar Bole Beshaq Ham Tumhe Bewkuf Samazte hei Aur Beshaq Ham Tumhe Zutho me Gumaan Karte hei”
(Surah A’araaf, Aayat-66)
Hood Alayhesalam ne Qoum ka Radd karte hue FarmaHAZRAT YOUSUF STORY IN HINDI URDU PART 6ya
“Kaha Ay Meri Qoum Muze Bewakufi se Kya Ilaka Mei to PARWARDIGAARE AALAM ka Rasool hu, Tumhe Apne RABB ki Risalate Pahunchata hu Aur Tumhara Mo’tamid(Bharoshe wala) Kheir-Khwaah(Bhalaai Chahne wala) hu”
(Surah A’araaf, Aayat-67, 68)
(Ambiya e Kiraam ko Unki Qoumo ne (Ma’azAllah) Gumraah Aur Bewakuf kaha, Lekin Ambiya Kiraam ne Unka Jawab Unki Tarah Nahi diya Balki Husne Akhlaaq se Unhe Raahe Haqq par Laane ki Koshis ki Kyu ki Ambiya e Kiraam ki Shaan Bahot Buland hoti he, Unka Har Kalaam Unki Shaan ke Laayak hota he.)
Hazrat Hood Alayhesalam ne Qoum ko Shidhi Raah Par Lane ki Har Tarah se Koshis ki Lekin Qoum ne Hameisha Kaj-Roi ki,
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-246, 247)
 

>> Qoum ki Hemaakat :

Quraane Majeed me he ki
“Bole Ay Hood (Alayhesalam) Tum koi Dalil le kar Hamare Paas na Aaye Aur Ham Khaali Tumhare Kehne se Apne Khudao ko Chhodne ke Nahi Na Tumhari Baat par Yakin Laaye, Hamto Yahi kehte he ke Hamare Kishi Khuda ki Tumhe Buri Zapat Pahunchi”
(Surah Hood, Aayat-53, 54)
Qoum ne Kaha Ki Ham Tumhare Kehne Par Apne Ma’abudo ko Chhodne wale nahi, Ham Tum Par Imaan Laane wale Nahi, Ye Sirf Hasad va Enaad tha, Warna Bazaahir Inkaar ki koi Wajah na thi, Balki wo Khud Iqraar bhi Karte the ki Nafaa wa Nukshaan Sirf ALLAH TA’ALA hi ke Qabza e Qudrat me he, Ye Butt Nafaa Nukshan ke Malik nahi,
Qoum ka ye Kehna ki Hamare Ma’abudo ki Buraai Tum Bayan karte ho, Un(Ma’abudo ne) Tumhe (MaazAllah) Diwana Bana diya he, Tumhari Aqal ko Zaya Kar diya he,
Qoum Udhar ye kehti he ki Butt Nafaa wa Nuqshan ke Malik Nahi Aur Idhar Kehte Hamare Butto ne Tumhe Musibat Pahonchadi,
Ye Inki Himaakat Thi.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-247)
Hazrat musa alaihassalam story in hindi urdu part 20
 
HAZRAT YOUSUF STORY IN HINDI URDU PART 7