Hazrat Hizqeel Alaihissalam story in hindi urdu Hazrat Hizqeel Alaihissalam ki Kunniyat ‘Ibne Ajuz’ thi, ‘Ajuz’ Budhi Aurat ko kahaa jata he, Aapki Kunniyat ki wajah ye thi ki Aap ki Waalida Budhape ki Umar me thi to ALLAH TA’ALA se Unhone Awlaad ka Sawaal kiya Haalaanki Budhaape ki Umar thi Lekin ALLAH TA’ALA ne Unki Duaa ko Qabul Farmaya Aur Unko Beita ‘Hazrat Hizqeel Alayhis Salaam’ Ataa kar diya, Isi wajah se Unki Kunniyat ‘Ibne Ajuz'(Budhiyaa ka Beita) ho gayi,
>> Hazrat Hizqeel Alaihissalam ka Laqab :-
Aap ka Laqab ‘Zul-Kifl’ tha,
Unko Zul-Kifl Is wajah se kaha jata tha ki Unhone 70 Nabiyo ki Kefaalat ki Aur Unko Qatal se Bachaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-339)
>> Note : ZulKifl ye Hazrat Hizqeel Alaihissalam ka Laqab he.. Hazrat Zul-kifl Alayhis Salaam Jinka Zikr Aage Aa Chuka he.. Wo Nabi Alag he..
 
>> Hazrat Hizqeel zulkifl Alaihissalam ka Moajiza
Quraane Kareem ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Ay MEHBUB Kya Tumne Na deikha tha Unhe Jo Apne Gharo se Nikle Aur wo Hazaaro the Mout ke Darse to ALLAH TA’ALA ne Unse Farmaya Marjaao Fir Unhe Zinda Farma diya, Beshak ALLAH TA’ALA Lougo par Fazl Karne wala he Magar Aksar Loug Na-Shukre he”
(Surah Al Baqrah, Aayat-243)
Hazrat Ibne Abbas RadiAllaho Ta’ala Anho se Marwi he Bani Israail ke Baadshaho me se ek Baadshah ne Apni Qoum ko Jihaad karne ke liye kaha to Gharo se Baahar Nikal kar wo kehne lage Ham to Us Zameen me Nahi Jayenge jaha tum Hame le Jana Chahte ho kyunki waha Wabaa’a(Bimaari) Feili hui he, Jab Wabaa’a(Bimaari) Waha se Door ho Jaayegi to Fir ham Jaayenge, ALLAH TA’ALA ne Un Tamaam par Jo Hazaaro ki Taadaad me the, Apne Ilaaqa me hi Shahar se Baahar Mout ko Musallat kar diya, wo 8 Din tak Isi Haal me rahe, yahaa tak ki Unke Jism Ful gaye, Dusre Ilaaqe ke Bani Israail ko jab Unki Mout ka Ilm huwa to wo Unko Dafn karne ke liye Aaye Lekin Unki Badbu ki Wajah se wo unhe Dafn karne se Aajiz(Naa-kaam) rahe, Is liye Unhone Unke Ird-Gird ek Diwaar Banaadi,
Ek Aur Riwaayat me ishi tarah Zikr he ki Hazrat Hizqeel Alayhis Salaam ne Apni Qoum ko Da’awate Jihaad di lekin Unhone(Qoumne) Buzdili ka Izhaar kiya Aur Jihaad me Shirkat ko Na-Pasand Samjha to ALLAH TA’ALA ne Un par Mout ko Musallat kar diya Jab Unme se Kasrat se Moute Zaahir hone lagi to Unhone Apne Shaharo se Mout ke Dar ki wajah se Bhaagna Shuru kar diya Jab Hazaaro ki Taadaad me Shaharo se Baahar Nikle hi the to Hazrat Hizqeel Alayhis Salaam ne Duaa ki
“Ay ALLAH Ay Yaaqub Alayhis Salaam ke KHUDAA Aur Ay Musaa Alayhis Salaam ke KHUDAA Tu Apne Bando ki Na-farmaani deikh raha he Tu Unhe Apni koi Nishaani dikha Jisse Unhe Teri Qudrat ka Pata Chal jaaye ki wo Teri Qabzaa e Qudrat se Nahi nikal sakte”,
To Aapki Is Duaa ke Baad ALLAH TA’ALA ne Aap ki Qoum par Mout Musallat kardi, Wo Hazaaro ki Taadaad me Shahar se Nikle hi the ki Mar gaye,
(ALLAHU AKBER…)
Hazrat Hizqeel Alayhis Salaam ne Jab Hazaaro ki Taadaad me Lougo ko Maraa huwa deikha to Aap ko Pareishani Taari hui, Khyaal huwa ki ye Dubara Zinda ho jayenge to ALLAH TA’ALA ne Aap ki Taraf wahi ki ke Ay Hizqeel Tum Haddiyo ko Kaho
‘Ay Haddiyo Tumhe ALLAH TA’ALA Hukm deita he ki Tum Jamaa ho jaao, Aapke Hukm par wo Tamaam Haddiya Ek-Dusre se Mil kar Jismo ke Dhaanche Mukammal ho gaye Lekin Abhi tak Unme Gosht Aur Khun Nahi tha, Fir ALLAH TA’ALA ne Aapki Taraf Wahi ki ke Ab Tum ye Kaho
‘Ay Jismo ALLAH TA’ALA Tumhe Hukm deita he ki Tum Ab Khade ho, Is Tarah ALLAH TA’ALA ne Un Lougo ko Fir se Zinda Kar diya,
(SubhanAllah….)
Zinda hone ke Baad bhi Unpar Mout ke Ashraat Baaqi rahe, Yaha tak ki Jis Tarah Mout ke Waqt Unka Rang Zard(Yellow) huwa tha Ishi Tarah Zard(Yellow) raha,
Aur Unke Marne ki Wajah se Jo Unke Jismo me Badbu peida hui thi Wo Unke Peida hone ke Baad bhi Baaqi rahi Balki Aaj Tak Unki Aulaad me bhi Bu Paai Jaati he,
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-340, 341)
ALLAH TA’ALA ki Ye Azeem Qudrat he ki Us Qoum ke Lougo par Mout ko Zaahir karke Unhe Waapis Zinda kiya…Aqal Waalo ko Is Waaqiye se Nasihat Haasil Karni Chahiye ki Beshaq Hamaara RABB TA’ALA Har Chaahe par Qaadir he…
 

>> Qoum ka Waade se Muqar Jaana

Quraane Paak me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Ay MEHBUB kya tum ne Na deikha Bani Israail ke ek Giroh ko jo Musaa Alayhis Salaam ke Baad huwa Jab Apne ek Nabi se Bole Hamaare liye ek Baadshah Muqarrar karo ki Ham KHUDA ki Raah me Lade, Nabi ne Farmaya kya Tumhaare Andaaz eyshe Nahi Ma’alum hote he ki Tum par Jihaad Farz kiya Jaaye to tum Jihaad na karo Bole Hame kya huwa he ki ALLAH TA’ALA ki Raah me Na Lade Haalaanki Ham Nikaale gaye Apne Watan Aur Apni Aulaad se to Fir Jab Un par Jihaad Farz kiya gaya Moonh Feir kiye magar Unme se Thode Aur ALLAH TA’ALA Khub Jaanta he Zaalimo ko”
(Surah Al Baqraah, Aayat-246)HAZRAT MUSA ALAIHASSALAM STORY IN HINDI URDU PART 17
Jab Hazrat Ashmueel Alayhis Salaam Nabi ban kar Apni Qoum me Aaye to Qoum ne kahaa ki Agar Tum Apne Da’awe me Sacche ho to Hamaare liye ek Baadshah Muqarrar karo Jiski Zeire Qayaadat Ham Qoume Amaalqa se Jihaad kare, lekin ALLAH TA’ALA ke Nabi ne Farmaya Tum Wa’ada ko Pura nahi kar Sakoge, Unhone kaha ki Ham Zarur Jihaad karenge, Hame Apne Gharo se Nikaala Gaya he, Hamaari Aulaad ko Qeidi Banaya gaya he,
Lekin Jeishe ALLAH TA’ALA ke Nabi ne Farmaya tha Eysha hi huwa ki wo Sab Loug Apne Daawe se fir gaye the, Sirf 313 the jo Saabit Qadam rahe the.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis09 Husne akhlaq k bare me nabi ki hadis part 2 in hindi Salaam, Safa-34
Hazrat isa alaihissalam 3 aap ko masih kehne ka raaz3)