Hazrat dawood alaihis salam k mojizat history >> Hazrat dawood alaihis salam ki Baadshaahat ka Dab-dabaa
Quraan Shareef me ALLAH TA’ALA Irsaad Farmaata he
“Aur Hamne Uski Saltanat ko Mazbut kiya Aur Ushe Hikmat Aur Qoule Feishal diya”
(Surah Saad, Aayat-20)
36 Hazaar(36,000) Aadmi Raat ko Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Khidmat karne waale hote, Subah hoti to Aap Unko Farmaate ki Tum Lout Jaao To Tum par ALLAH ka Nabi Raazi he, Baaz Riwayat me ye Zikr he ki Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko Hifaazat karne waale 40 Hazaar(40,000) ki Ta’adaad me hote the.
Itni Ta’adaad me loug Apne Shoq wa Mohabbat ki Wajah se Aapki Hifaazat ke liye Aate the, Is me Apni Sa’aadat Samajte Aur Baaise Barkat Samajte,
(ALLAH TA’ALA ke Nabi Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko Itni Ta’adaat ki Jarurat nahi thi lekin Aapke Gulaamo ko Aapki Khidmat ki Zarurat thi..)
ALLAH TA’ALA ne Aapko Eyshi Khitaabe Feishal se Nawaaza Jiski Wajahse Aap Lougo ko Kaamil Tour par ALLAH TA’ALA ke Ahekaam Pahonchane ki Qudrat rakhte the,
Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko ALLAH TA’ALA ne Ilm wa Amale Saaleh, Eyteqaate Saaleh Ataa karke Jis Tarah Quwatte Baataniya ko Kamaal Bakhsha Ushi Tarah Khitaabe Feishal Ataa karke Aapki Bolne ki Quwwat ko Kamaal aata kiya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-287, 288)
(Bahot Pyara Waqiya he..)
>> Loohe ka Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke Haath Mubaarak me Narm ho Jana
Quraane Majeed me ALLAH SUBHANA WA TA’ALA Irsaad Farmata he
“Aur Beshak Hamne Daawud(Alayhis Salaam) ko Apna Badaa Fazl diya Ay Pahaado Uske Saath ALLAH ki Taraf Ruzu karo Aur Ay Parindo, Aur Hamne Uske liye Lohaa Narm kiya”
(Surah Sabaa, Aayat-10)
Hazrat Daawud Alayhis Salaam Jab se Bani Israail ke Baadshah Bane To Aapne ye Amal Shuru kiya ki Raat ko Aaam Aaadmi ki Heyshiyat se Baahar Tashreef le jaate, Jo Shaksh Milta Us se Puchhte Daawud Baadshah keisha he…??
Ek Martaba Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Mulaaqaat Ek Fariste se hui Jo Inshaani Shakl me tha, Jab Aapne Usse Sawaal kiya to Usne Kaha Aadmi to Bahot Achha he Sirf Ek Baat Usme Na Paayi Jaaye to wo Bahot hi Kaamil Inshaan he, Hazrat Daawud Alayhis Salaam ne Puchha Wo Kya baat he…?
Usne kaha ki Wo Beitul Maal se Rizk khaate he, Apne Haath ki Kamaai se Khaaye to Unke Fazaail me Takmeel(Izaafa) paaya jaaye,
Hazrat dawood alaihis salam ne ALLAH TA’ALA se Duaa ki
“Ay ALLAH Mujhe Zarah(Kawach /Armor) Banaane ka Ilm Ataa farma de Aur Mujh par Zarah Banaani Aasaan Farma de,
ALLAH TA’ALA ne Aapko Zarah (Kawach) Banaane ka Ilm Ataa Farma diya Aur Lohe ko Aapke Haath me Narm Farma diya, Aap Uski Aaamdani (Income) ka Tihaai Hissa Musalmano ki Maslehat me kharch Farmaate, Ek Zarah (Kawach) Roz Taiyyar Farmate the, 1000, 4000 Aur 6000 Dirham tak Aapki Banaai hui Zarahe(Kawache) Bikti, Uski Aamdani me se Aap Apni Zaat par Kharch karte Aur Apne Ahal Wa Ayaal ka Kharch Ushi se Pura Farmaate, Zarurat-mand Aur Garibo ko bhi Us Maal se deite, 360 Zarahe Aapne Taiyyar farmaayi thi, Unko Beich kar Aapne Itne Dirham Haasil kar liye the ki Aap Beitul Maal ke Mohtaaj na rahe, Balki Usse Kasheer(Jyada) Raqam Garibo ko bhi deite.
(Roohul Maani, Jild-12, Hissa-1, Safa-115, 116)
Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke Haath me Lohaa Moum Aur Gunde hue Aante ki tarah Narm ho jata tha, Aaag me Narm Karne Aur Hathode se Kutne ki Zarurat Peish nahi Aati thi,
Hazrat dawood alaihis salam Jeisha Chaahte Us Tarah Lohe ko Haath se Idhar-Udhar Feir kar Zarah(Kawach) Bana Leite the, ALLAH TA’ALA ke Hukm ke Mutaabik Aap Bahot Khubsurat Zarah Banaate, Na Bahot Badi Na Bahot Chhoti, Isme Keel bhi ek Khaash Miqdaar ki Lagaate, Baaz Mufassiren Kiraam ne Kaha ki Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko keel Lagaane ki Zarurat Hi Darpeish nahi aati thi, Lohaa Narm ho jata jeishe Chahte Usko Ushi Tarah Feir leite.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-288, 289)
SubhanAllah…
Ye Hazrat Daawud Alayhis Salaam ka Mo’ajiza he..
Jis Lohe ko Narm Karne ke liye Aaag Aur Hathode se Pitne ki Jarurat Padhti he, Aur Daawud Alayhis Salaam Aaag wa Hathode ke Bageir Apne Haath Mubaarak se Lohe ko Narm kar deite he…
Aur Ye RABB TA’ALA ki Azeem Qudrat he ki Apne Pyare Nabi ke Liye Lohe ko bhi Narm kar diya…
>> Hazrat dawood alaihis salam ki Khilaafat Aur Adal wa Inshaaf ka Hukm
Quraane Paak me ALLAH AZZAWAZAL Irsaad Farmaata he
“Ay Daawud (Alayhis Salaam) Beshak Hamne Tuzhe Zamin me Naayab Kiya to Lougo me Saccha Hukm kar Aur Khwaahis ke Pichhe Na jaana ki Tuzhe ALLAH ki Raah Se Behka degi Beshak wo Jo ALLAH ki Raah se Behakte he Unke liye Shakht Azaab he Is par ki wo Hisaab ke Din ko Bhul Beithe, Aur Hamne Aasmaan Aur Zamin Aur jo Kuchh Unke Bich he Bekaar na banaaye Ye Kaafiro ka Gumaan he to Kaafiro ki Khraabi he Aaag se, Kya Ham Unhe jo Imaan laaye Aur Achhe Kaam kiye Un Jeisha karde jo Zamin me Fasaad Feilaate he yaa Ham Parhezgaaro ko Sharir Behukmo(Badkaaro) ke Baraabar Thehraaye, Yah ek Kitaab he ki Hamne Tumhaari Taraf Utaari Barkatwaali Taaki Iski Aayato ko Soche Aur Aqalmand Nashihat maane”
(Surah Saad, Aayat-26, 27, 28, 29)firon history in hindi urdu 13 or hazrat musa
Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko Bataya ja raha he ki Aap Kishi Shaahi Khaandaan ke Fard(Inshaan) nahi ho ki Tumhe ye Hukumat Aur Takht Waarsha me mila ho, Tum Ek Geir-Ma’aruf Charwaahe the, Hamne Apne Fazl wa Karam se Aapke liye ye Raah Hamwaar ki Aur Apni Maherbaani se Bani Israail ka Taajdaar Banaya, Aur Badi Saltanat Farmaadi, Aur Musnad wa Khilaafat se Nawaaza, Is Ahesaan ka Shukr Adaa karne ka ye Tariqa he ki Har Feisla Adal wa Inshaaf ke Mutaabik Karo, Aur Apni Pasand wa Naapasand ko Kishi tarah Ashar Andaaz na hone do, Agar Tumne Apni Khwaahish par Inshaaf ko Qurbaan kiya to Yaad Rakhna ALLAH TA’ALA ki Raah se Behak jaaoge, Uski Toufiq ka Daaman Tumhaare Haath se Chhut jaayega, Aur Jo Shaksh Raahe Haqq se Behak jaata he wo ALLAH TA’ALA ke Shakht Azaab me Mubtila kar diya jaata he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-297)Hazrat taloot and jaloot story in hindi urdu
(Hazrat Daawud Alayhis Salaam ka ‘Jaalut’ ko Qatl Karne ka Waqiyaa, Hazrat Taaloot ke Waaqiyaat me InshaAllah Zikr kiya Jayega..)
>> Yaha par Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke Waqiyaat khatm hote he…
InshaAllah..Aage Ambiya e Kiraam Alayhis Salaam ke Waaqiyaat Jaari he…
Hazrat maryam Alaihissalam kon story in hindi part 1
Leave A Comment