Hazrat dawood alaihis salam history of in urdu Hindi part 1 Ab se InshaAllah, ALLAH TA’ALA ke Nabi Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke Baare me Waaqiyaat Aayenge..
Aap Lougo se Gujaarish he ki Post Padhte rahe Aur Share karte rahe..
>> Hazrat Daawud Alayhis Salaam
Hazrat Daawud Alayhis Salaam ne 100 Saal Umar Paayi, Aap Musaa Alayhis Salaam se 599 Saal Baad Tashreef laaye(Iske Digar Aqwaal bhi Manqol he)
Hazrat Sulemaan Alayhis Salaam Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke Beite he, Aapne 59 Saal Umar Paayi, Ye HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam se 1700 Saal Pehle Tashreef Laaye.
(Haashiya Jalaalein, Safa-275)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-282)
>> Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Ibaadat
Quraan Shareef me RABB TA’ALA Irsaad Farmata he
“Hamaare Bande Daawud(Alayhis Salaam) Ne’amato waale ko Yaad karo Beshak wah Badaa Ruju karnewala he”
(Surah Saad, Aayat-17)
Hazrat Daawud Alayhis Salaam Ek Din Roza rakhte Aur ek Din Iftaar karte, Ye Dar-Asal Hazrat Daawud Alayhis Salaam ka Nafs ke Khilaaf Jihaad tha Kyunki Inshaan ka ‘Nafs’ Bacche ki Tarah hota he Bacche ko Ek Din Dhudh Pilaaya jaaye Aur Dusre Din na Pilaaya jaaye Ye Bahot Mushkil he, Ishi Tarah Daawud Alayhis Salaam Ne Apne Nafs se Eysha Jihaad kiya jo Aam Aadmi ke liye Bahot Mushkil tha, kyunki Ek Din Nafs ko Khwaahishaat se Rokna Aur Dusre Din Khawaahishaat ki Ijaajat deina Azeem kaam tha,
Hazrat Daawud Alayhis Salaam Aadhi Raat ALLAH TA’ALA ki Baargaah me Nawaafil Adaa karte, Fir Raat ka Tihaai(3) Hissa Sote, Fir Raat ka Chotha(4) Hissa Jaag kar Ibaadat me Mashgul Rehte.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-282)
>> Hazrat Dawud Alayhis Salaam Aur Sulemaan Alayhis Salaam ki Nabuwwat
Quraan e Majeed Me RABB TA’ALA Irsaad Farmata he
“Aur Beshak Hamne Daawud(Alayhis Salaam) Aur Sulemaan(Alayhis Salaam) ko Bada Ilm Ataa Farmaaya Aur Dono ne kaha Sab Khubiya ALLAH ko Jisne Hame Apne Bahot se Imaan waale Bando par Buzurgi Bakhshi”
(Surah Al Naml, Aayat-15)
Yaha Ilm se Muraad Lougo ke Darmiyaan Feishle ka Ilm, Parindo ki Boliya Jaanne ka Ilm Wageira he,
Hame Buzurgi Bakhsi se Muraad Nabuwwat Aur Jinn wa Sheitaano ko Aapke Taabe’a Banaana he,
Ilm se Inshaan ko Fazilat Hasil hui, Inshaan ko Chahiye ki Ne’amato ke Haasil hone par Un ka Sukriya Adaa kare, Kishi Ne’amat ka Izhaar Batoure Takabbur Na-Jaiz he,
Batoure Shukr Zikr karna Mustahab he, Aur Sunnate Ambiya kiraam Alayhis Salaam he.
(Roohul Bayaan, Jild-6, Safa-619)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-283)
>> Hazrat Dawud Alayhis Salaam ki Baadshaahat :
Quraane Kareem me RABBE QADEER irsaad Farmata he
“Ay Daawud(Alayhis Salaam) Beshak Hamne Tujhe Zamin me Naayab Kiya, to Lougo me Saccha Hukm kar Aur Khwaahis ke Pichhe na Jana ki Tuze ALLAH ki Raah se Bahka degi Beshak wo Jo ALLAH ki Raah me Bahkate he Unke liye Shakht Azaab he Is par ki wo Hisaab ke Din ko Bhul beithe”
(Surah Saad, Aayat-26)
Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko Nabuwwat Aur Baadshahat Dono Hasil thi, Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko RABB TA’ALA ne Jo Farmaya “Khawaahisaat ke Pichhe Na Jana”
Iska Matlab ye he ki Aapko Khawaahisaat ke Pichhe Chalne se Ummat ki Ta’alim ke liye Roka gaya he ki wo Gouro Fikr kare, Aur Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko jo Hukm diye gaye he wo Unki Taabedaari kare, Jab ye Hukm Ma’asum ko ho sakta he To Dusro ko to Yaqinan ye Hukm hona hi he.
(Hashiya Jalaalein, Safa-382)
Agar Baadshaah Sarai Ahkaam ke Mutaabiq Feishle kare to Nizaam Aalam Durust ho jata he, Bhalaai ke Darwaaje Achhi Tariqe se Khul jaate he, in Maqsad ke Peishe Nazar Qoum ki Ta’alim Wa Tarbiyat ke liye Hazrat Daawud Alayhis Salaam ko ye Hukm diya gaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-283, 284)
>> Pahaad Aur Parinde Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke Peirokaar :
Quraane Paak me ALLAH RABBUL IJJAT Irsaad Farmata he
“Beshak Hamne Uske Saath Pahaad Musakhkhar Farma diye ki Tasbih karte Shaamko Aur Suraj Chamakte, Aur Parinde Jamaa kiye hue Sab Uske Farmaabardaar the”
(Surah Saad, Aayat-18,19)
ALLAH TA’ALA ne Pahaado ko Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke Saath Musakhkhar kar diya Yaani Pahaad Aap ke Taabe’a (Peirokaar) the,
Hazrat Daawud Alayhis Salaam Jahaa Chalte Pahaad Aapke Saath Chalte Yaa Aap Jis Jagah Pahaado ke liye Jaane ka Iraada Farmate Pahaad Waha Chalte Jaate,
(SubhanAllah…)
Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Aawaz Bahot Haseen thi, Aawaz me Roab Aur Dab-dabaa bhi tha, Jab Hazrat Daawud Alayhis Salaam Haseen Aawaz se “Zabur Shareef” Padha karte to Pahaado se bhi Tasbihaat ki Haseen wa Jameel Gun-Gunaahat Sunaai deiti,
Hazrat suleman or bilqis ka waqiya story in hindi part 3
Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Haseen Aawaz se Zabur Shareef Padhte Aur Tasbihaat Padhne ke Saath Saath Parinde bhi Tasbihaat Padhte the, (Parinde) Hazrat Daawud Alayhis Salaam ke Qareeb Aakar Kaan Lagaa kar Sunte the, Itne Qareeb ho Jaate the ki Aap Parindo ko Gardan se Pakad kar Unse Pyaar Karte, Balki Baaz Hazraat ne Bayaan kiya he ki Hazrat Daawud Alayhis Salaam ki Aawaz me RABB TA’ALA ne Eysha Azeeb Ashar rakha tha ki Aap Jab Zabur Shareef Padhte to Chalta Paani Ruk Jaata, Darakhto par ye Asar hota ki Goyaa wo bhi Zabaane Haal se Aapke Saath Tasbihaat Padh rahe he, Aur Unke Patte Jhadh ne Shuru ho jate.
(Tafseere Kabeer, Jild-9, Safa-171)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-284, 285)
SubhanAllah…
ALLAHU AKBER..
Isme ALLAH TA’ALA ki Qudrat ke Kayi Kaarnaame Mhazrat yunus alaihis salam ka kissa in hindi urduoujud he.. Pahaado ke Jism me Zindagi Peida Farmaana, Fir Unhe Saoor Ataa farmaana, Fir Unhe Qudrat se Nawaajna Fir Bolne ki Taaqat deina ki wo ALLAH TA’ALA ki Tasbihaat Padhte….
Hazrat musa alaihassalam story in hindi urdu part 21
hazrat dawood story in quran
hazrat dawood ali salam story
Leave A Comment