Hazrat ayub alaihis salam Story part 1ALLAH TA’ALA ke Nabi Hazrat Ayyub Alayhesalam ke Baare me Wakiyaat Aayenge..
Aap Lougo se Gujarish he ki Post Padhte rahe Aur Dusre Musalman Bhaiyo tak Pahonchate Rahe..
Taaki Hamare Bhaiyo ke Ilm me Izafa hota rahe Aur Sawaab Paane me Aap bhi Saamil ho Jaaye..
Hazrat Ayyub Alayhesalam ke Waalid ka Naam ‘Anush’ he, Aap Hazrat Ishaaq Alayhesalam ke Beite ‘Eysh” ki Aulaad se he, Hazrat Ayyub Alayhesalam ki Walida
href=”http://www.nabwi.com/hazrat-loot-alayhi-salam-story-in-hindi-urdu/”>Hazrat Loot Alayhesalam ki Aulaad se he, Aapki Zovja(Biwi) ka Naam ‘Rahmataa’ he jo Hazrat Yusuf Alayhesalam ke Beite ‘Ifraahim’ ki Beiti thi,

> Hulyaa Mubarak :

Hazrat Aiyyub Alayhesalam ke Baal Mubarak Ghunghariyaale, Aankhe Moti, Khubsurat Sakl wa Surat, Bahot Khubsurat Gardan Chhoti, Sinaa Chouda, Pindaliya Aur Kalaaiya Moti thi Aur Aapka Qad Lamba tha.
(Roohul Maani, Jild-9, Hissa-2, Safa-80)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-263)
 
>> Awsaaf :
Hazrat Aiyyub Alayhesalam Miskeeno par Raham karte the, Yateemo ki Kefaalat Farmate, Beywa Aurato ki Madad karte, Mehmaano ke Saath Ijjat wa Takreem se Peish Aate,
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-203)
ALLAH TA’ALA ne Aazmais se Pehle Aapko Kaseer Maal wa Dowlat de rakha tha, Kheti-Baari, Baag, Garz ye ki Har Qism ke Maal wa Dowlat se Nawaza, Har Qism ke Jaanwar Yaani Bheid, Bakariya, Gaay, Bheinsh, Unt Wageira ki Kasrat(Zyaadati) thi, 500 Jodiya Beylo ke Hal Chalaane wali thi, 500 Gulaam Khidmat Guzaari ke liye, Fir Har Gulaam ki Zovja(Biwi) Aur Aulaad bhi Batoure Khuddam Aapke Paas rehte the,
Hazrat Ayyub Alayhesalam ke 7 Beite Aur 7 Beitiya thi.
(Roohul Maani, Jild-9, Hissa-2, Safa-80)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-263, 264)
 
>> Faristo me Hazrat Ayyub Alayhesalam ki Bulandi ka Charcha :
Hazrat Jibrail Alayhesalam ko ALLAH TA’ALA se Jo Qurb Haasil he wo Dusre Faristo ko Haasil nahi, ALLAH TA’ALA Apne Bando me se jab Kishi ko Pasand Farmata he to Uska Zikr Jibrail e Ameen Alayhesalam se Karta he, wo Mikaail Alayhesalam se Zikr karte he, Wo Dusre Muqarrab Faristo se Zikr karte he, Jab Un Muqarrab Faristo me ALLAH TA’ALA ke Us Khaas Bande ke Zikr ka Charcha ho jata he to Tamaam Fariste Us Par Rehmate Nichhawar karte he, Fir Aasmano ke Tamaam Fariste Rehmate Bheijte he, Fir Zameeno ke Fariste Us Bande par Rehmate Bheijte he,
Hazrat Ayyub Alayhesalam ka bhi Is Tarah Tamaam Faristo me Zikr e Kheir ka Charcha hota rehta tha.
(Tafseere Kabeer, Jild-22, Safa-204)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-265)
 

>> Aazmaish ki Ghadiya :

ALLAH TA’ALA kabhi Apne Muqarrab Bando ko Sadeed Muskilaat me Mubtila Karke Aazmaata he ki wo Meira Banda Kitna Sabr karta he, Masaaib wa Aaalam me koi Sikwaa Zabaan par Nahi Laata Aur Kabhi ALLAH TA’ALA Bahot Maal Wa Dowlat Ataa karke Aazmaata he ki Meira Banda Kitna Sukriya Adaa karta he..?
Hazrat Ayub Alayhesalam ko Pehle Aaram wa Sehat, Maal wa Dowlat, Aulaad Aur Har Tarah ki Khushiya Ataa karke Aazmaya, Isme bhi Aapne Azeem kaamyabi Haasil ki, Hazrat Ayyub Alayhesalam ne Sukriya Adaa karke Be-Misaal Namoona Peish kiya,
Iske Baad Aazmaish ka Dusra Dour Suru huwa ki Zameen ke Niche se Qudrati Aaag ne Aapke Baagaat, Khetiya, Unt, Bakariya, Charwahe Jala kar Raakh kar diye, Jab Aap ko Pata Chala to Aapne kaha
“Ye Sab Maal Wa Dowlat ALLAH ne hi Ataa kiya tha wahi Uska Maalike Haqiqi he Jab Wahi Uska Haqdaar he to Ushe Haqq Pahonchta he Jab Chaahe le le Muje Isme Kuchh Kehne ki koi Majaal nahi”Hazrat Ibhrahim alaihissalam ko aaf me dale ka waqya in hindi 4
(SubhanAllah..)
Hazrat Ayub Alayhesalam ki Aulaad Ek Makaan me thi, Wahaa Zalzalaa Aaya Makaan gir gaya, Aapki Aulaad Fout ho gayi, Makaan ki Chatt Aur Diwaare Gir ne se Aapke Baccho par kya Haal Guzra hoga..? Jism Chikna Chur hue honge, Haddiya Tooti hogi, Sar Fate honge, Khun ke Fawware Chale honge, Lekin ye Haal Soon kar Bhi ALLAH ke NABI ne Sabr ka Kamaal Muzaahira(Zahir) kiya, Wahi Alfaaz Zabaan par Laaye..
“Sab Kuch RABB TA’ALA ka he jo Chaahe kare”
Aapke Jism me Sadeed Haraarat(Garmi) se Aysha Asar huwa, Yu Mehsus hota ki Aapke Jism me Aaag ke So’ale Bhadak Utthe he, Sar se Lekar Qadam tak Aable(Fulliya) Padh gaye, Sadeed Khujli hone lagi, Naakhuno se Jism ko Khujlaate rahe, Yaha tak ki Naakhun Gir gaye, Fir Thikariyo ya Pattharo se Apne Jism ko Khujlaate, Jism Sadeed Zakhmi ho gaya, Zakhmo me Bu Aane lagi, Unme Kide Pad gaye, Saare Jism me Sirf Aankhe, Dil Aur Zabaan Mahfuz rahe the,
(ALLAHU AKBER…)
Ek Riwayat me Bayan kiya gaya ki
Hazrat Ayyub Alayhesalam ke Jism se Agar koi Kidaa Niche Gir jaata to Aap Fir ushe Apni Jagah Louta deite Aur Kehte ALLAH TA’ALA ne Jo Rizq Tumhe diya he wo Khaaye.
(Roohul Maani, Jild-9, Hissa-2, Safa-80)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-264, 265)
ALLAHU AKBER..
Kya Shaan e Mubaarak he Ambiya Alayhesalam ki..
Itni Sadeed Aazmaish me bhi Hazrat Ayyub Alayhesalam ne Sabr kiya…
ALLAHU AKBER…
HAZRAT YOUSUF STORY IN HINDI URDU PART 4
>> Hazrat Ayub Alayhesalam ka Be-Misaal Sabr :
Ek Din Aapki Khidmat-Guzaar, Wafaadaar, Neik Zovja(Biwi) ne Arz ki
“Kaas Tum ALLAH TA’ALA se Duaa karte, ALLAH TA’ALA Tumhaari Taklif Door farma deita”,
Ye Soon kar Hazrat Ayyub Alayhesalam ne Farmaya
“Eysh wa Eisrat, Raahat wa Sukun, Maal wa Dowlat ki Faraawaani me Kitna Waqt Guzra…??
Aapki Zovja(Biwi) ne Arz ki Bahot Waqt Guzraa..(Ek Riwaayat me he ki Aapki Zovja(Biwi) ne Kaha 80 Saal Guzre he.)
To Hazrat Ayyub Alayhesalam ne Irsaad Farmaya
“Muje ALLAH TA’ALA se Sarm Aati he ki Me Us se Duaa karu Jabki Meiri Aazmaish ka Waqt Itna Bhi Nahi huwa Jitna Meri Aaasaish ka Waqt tha”
(Roohul Ma’ani, Jild-9, Hissa-2, Safa-80)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-265, 266)
hazrat ismail ki qurbani ka waqia hindi or ibrahim ka imtihan 7

Muskil Waqt me Saathi :-Hazrat Ayyub Alayhesalam ki Bimaari ne Jab Siddat Ikhtyaar karli to Tamaam Iqraba’a (Relatives) ne Aap ko Chhod diya, Sahar se Baahar Aapko ek Jhupdi bana kar de di gayi ki ye Marz(Bimaari) kahi Dusro Tak bhi na Pahonch jaaye, Jab wo Saare Saath Chhod gaye to Us Waqt Aapki Zovja(Biwi) Jiska Naam ‘Rahmataa’ tha wo Aapke Saath rahi, Aapki Khidmat Guzaari me Rahi, Hazrat Ayyub Alayhesalam ki Deikh-bhaal karti, Aapko Khaana Faraahim karti, Aapki Zaruriyaat ka Har tarah Khyaal karti.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-265)SubhanAllah…