\Hazrat ayub alaihis salam ka waqiya in hindi Story 2Hazrat Ayyub Alayheslam ki Biwi Neik Aur Sabir thi Aur ALLAH TA’ALA ke Nabi Hazrat Yusuf Alayhesalam ki Pouti thi.
 
>> Zovja(Biwi) ki Galti par Naaraazgi ka Izhaar
Quraane Kareem me he ki
“Muze Seitaan ne Takleef Aur Izaa Laga di”
(Surah Saad, Aayat-41)
Ek Martaba Hazrat Ayyub Alayhesalam ne Zovja(Biwi) ko Talab kiya to Deir se Hazir hone par Aap Naaraaz ho gaye,
(Mumkin he Bimaari ki Wajah se Tabiyat me Shakht Mizaaji Aagayi ho, Zyadaa Munasib ye Baat Ma’alum hoti he ki Itni Badi Naaraazgi ki Wajah bhi Yaqinan koi Badi hogi,)
Muffassirin ne ek Wajah Bayaan ki he ki Seitaan Aapki Zovja(Biwi) ke Paas Tabeeb(Doctor) ki Surat me Aaya Aur Kehne laga ki Tumhare Sohar Bahot Badi Takleef me Mubtila he, Agar Tum Chahti ho to Mei Unhe Dawaa deita hu Jis se wo Thik ho Jaayenge, Jab wo Sehat-Mand ho jaaye to wo Iske Badle me Meira Sukriya Sirf in Alfaaz me Adaa kare
“Tune Muje Shifaa di he”
Aapki Zovja(Biwi) ne ye Baat Ma’amuli Samji Aur Unka Khyaal ban gaya ki Is Par Amal karna to Aashaan he,
Jab Hazrat Ayyub Alayhesalam ke Saamne Aakar Pura Maajra Bayaan kiya to Hazrat Ayyub Alayhesalam ne Samaj liya ki Seitaan Meire Imtehaan me Muje Naakaam karna Chahta he, Hazrat Ayyub Alayhesalam Apni Zovja se Naaraaz ho gaye Aur Farmaya Agar Mei Thik ho gaya to Tumhe 100 Kode Maarunga, Abhi Tumhaare Haatho se koi Chiz nahi Khaaunga,
Ishi Wajah se Hazrat Ayyub Alayhesalam ne RABB TA’ALA ki Baargaah me Arz ki
“Muze Seitaan ne Takleef Aur Izaa Laga di”
(Surah Saad, Aayat-41)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-266)
 

 Aazmaish ka Waqt Khatm hona :

Quraane Kareem me ALLAH RABBUL IJJAT Irsaad Farmaata he
“Aur Aiyyub(Alayhis salam) ko (Yaad karo) Jab Usne Apne RABB ko Pukara ke Muje Taklif Pahuchi Aur Tu Sab Maherwalo (Raham Karne waalo) se Badh kar Maherwala (Raham karne waala) he, to HAMNE Uski Dua Soon li to HAMNE Door kar di Jo Taklif Ushe thi Aur HAMNE Ushe Uske Gharwale Aur Unke Saat Itne hi Aur Ataa kiye Apne Paas se Rahmat Farma kar Aur Bandagiwaalo ke liye Nasihat”
(Surah Ambiya, Aayat-83, 84)
Hazrat Ayyub Alayhis salam ne Bahot hi Pyaari Lateef Andaaz me Apni Pareshaan-haali, Taklif ka Tazkira(Zikr) kiya, RABB TA’ALA ki Be-Hisaab Rehmat ka Zikr kiya gaya,
Lekin ye Arz Nahi kiya ki Ay PARWARDIGAARE AALAM Meri Taklif ko Door farma.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-266, 267)

 Chasma e Shifa :

Quraane Paak me ALLAH TA’ALA Irsaad Farmaata he ki
“Zamin par Apna Paanv(Peir) Maar ye hei Thanda Chasmaa Nahaane Aur Pine ko Aur HAMNE Ushe Uske Gharwale Aur Unke Baraabar Aur Ataa Farma diye Apni Rahmat karne Aur Aqalmand ki Nasihat ko”
(Surah Saad, Aayat-42, 43)
Hazrat Ayyub Alayhis Salam ko Hukm huwa ki Aap Apna Peir Zameen par Maaro, to Is se Chasma(Fawwaara) Jaari hoga, Us se Paani Piwo Aur Nahaav, Tumhe Shifaa Hasil hogi,
Hazrat Ayyub Alayhis Salam ko Nahaane se Zaahiri Jism ki Tamaam Bimaariyo se Shifaa Hasil ho gayi, Aur Paani Pine se Andh-runi(Jism ke Andar) Tamaam Bimaariyo se Shifaa Mil gayi, ALLAH TA’ALA ne Aapko Jannati Libaas Ataa farmaya, Hazrat Ayyub Alayhis Salam Libaas Zeib-tan(Pehan) kar ke ek Taraf ho kar Beith gaye, Aapki Zovja(Biwi) Aayi to Usne Aapko Na Pehchana, wo Aap hi se Puchhne lagi Ay ALLAH ke Bande Yahaa ek Bimaar Shaksh tha wo kaha gaya…??
Pareshaan ho kar Puchha Kahi Bhediye to Nahi le gaye, Baar Baar Pareshaani se Jab Puchh rahi thi to Hazrat Ayyub Alayhis Salam ne Farmaya ALLAH TA’ALA Tum par Raham kare Mei hi Ayyub(Alayhis Salam) hu, ALLAH TA’ALA ne Muje Shifaa Ataa kardi he, Maal wa Aulaad Waapis mil gaye,
Aage Mukhtelaf Qowl he..
1) ALLAH TA’ALA ne Aapki Tamaam Fowt Aulaad ko Zinda kar diya Aur Marizo ko Aafiyat(Kheriyat) de di Aur Tamaam Bikhre huwo ko Jama’a kar diya,
(Roohul Maani, Jild-9, Hissa-2, Safa-80)
2) Aapko Dubaara Sabaab (Jawaani) Ataa Farmaayi Aur phir Pehli Aulaad ki Tarah Aur Aulaad Ataa farma di, Ishi Tarah Aapko Kaseer Maal wa Dowlat Ataa farmayi,
3) Ek Riwayat me ye bhi he ki Aap par ALLAH TA’ALA ne Sone(Gold) ki Makadiya(Spiders) ki Baarish ki, Hazrat Ayyub Alayhis Salam Pakad Pakad kar ek Kapde me Daalte rahe, Yahaa tak ki Aapne ek Chaadar Bichha kar Usme Jamaa karna Suru kiya to ALLAH TA’ALA ne Aapki Taraf wahi ki ke
Ay Ayyub Tum Seir(Itmenaan) nahi hote..?”
Aapne Arz kiya Ay PARWARDIGAARE AALAM Tere Fazl se Koun Seir(itmenaan) ho sakta he..?
Hazrat Ayyub Alayhis Salam ne 18 Saal Bimaari Aur Takleef me Guzaare the.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-267, 278)
SubhanAllah.. Beshaq,
Ambiya Alayhesalaam par Bahot Shakht Aazmaaish Hui he..
Aur Ye RABB TA’ALA ki Qudrat he ki Usne Ek Chasme se Hazrat Ayyub Alayhis Salam ki Saari Bimaari Door Kardi..
Hazrat Hizqeel zulkifl Alaihissalam story in hindi urdu

>>Hazrat ayub alaihis salam ki Zovja ki Muskil RABB TA’ALA ne Aashan kardi

Hazrat Ayyub Alayhis Salam ne Sarai Azr Aur ALLAH TA’ALA ki Raza Mandi ki Khaatir Apni Zovja(Biwi) se Naaraz ho kar Qasam Uthaa di thi ki Mei Durust ho kar Tumhe 100 Kode Maarunga, Ab Tandurast hone par Qasam ko Pura karna Laazim tha, ALLAH TA’ALA ne Apni Rehmat se Hazrat Ayyub Alayhis Salam ki Zovja ko Kodiya se Bacha liya,
Kyunki ALLAH TA’ALA ke Nabi Hazrat Ayyub Alayhis Salam ne bhi Uski Raza ke liye Qasam Uthaayi thi, Lekin Unki Zovja ne bhi RABB ki Raza ke Khaatir hi Apne Shohar ki Us Waqt Khidmat ki Jab Sab loug Chhod Chuke the, Is tarah RABB TA’ALA ne Dono ki Adaa ko Pasand kiya, Na Nabi ko Manaa kiya Aur na unki Zovja ko Kode lagne diye,
ALLAH TA’ALA ne Irsaad Farmaya
“ke Apne Haath me Ek Jhaadu (Sweep) lekar Us se Maar de Aur Kasam na tod Beshak Hamne Ushe Saabir Paaya kya Accha Banda Beshak woh Bahot Ruju’a Karnewala he”
(Surah Saad, Aayat-44)Hazrat maryam Alaihissalam kon story in hindi part 1
Hazrat Ayyub Alayhis Salam ko ALLAH TA’ALA ne Hukm diya ki Aap Sutaliyo wala ek Jhaadu(Sweep) le kar Apni Zovja ko Maar de, Is tarah Aapki Qasam Puri ho jaayegi,
Ye ALLAH TA’ALA ki Shaan-e-Karimi he ki Usne Khud Apne Fazl wa Karam se Hazrat Ayyub Alayhis Salam ko ye Ijaajat di, warna Koi Aur Inshaan Eyshi Qasam Uthaaye to Is Tarah Jhaadu Marne se (Qasam) Puri Nahi hogi Balki Uske liye ye Laazim hoga ki wo Qasam ko Tode Aur Kaffara Adaa kare.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-268)
>> Yaha Hazrat Ayyub Alayhis Salam ke Waqiyaat Khatm Hote he…
InshaAllah Aage ALLAH TA’ALA ke Pyaare Ambiya Alayhis Salam ke Waqiyaat Jaari he…
hazrat isa alaihis salam in hindi urdu 2 aap ki paidaish