Hazrat adam story of habil qabil history in urdu Hindi 4>> Hazrat Aadam Alayhesalam ka Dono Beito ko Maswara :-
agar aap ne part 3 nahi parha to parhle Jab Kabil ne Hat Dharmi Suru kardi to Hazrat Aadam Alayhesalam ne kaha ki Tum dono ALLAH ki Raah me koi na koi Chiz peish karo, Jo Saccha Hoga unki Qurbaani wa Sadka Qabool ho jayega Aur jo Jhuta hoga uski Taraf se peish kiya gaya Sadka Qabool nahi hoga,
Us Wakt Qabuliyat ki ye Alaamat thi ki jis ka Sadka Qabool ho jata ushe Qudrati Tour par Aanewali Aag Kha Jati Aur Jo Qabool nahi hota tha, ushe aaag nahi Khati thi,
Kabil ne ek Ambaar Gandum (Genhu) Aur Habil ne Ek Bakri ya Dumba RABB TA’ALA ki Raah me Peish kiya dono ne ye Keh kar Peish kiya ki
“Ay ALLAH jo Kalma ka Jyada Haqdaar he uski Qurbaani Qabool Farma”
Aasmani Aag ne Habil ke Sadke ko kha kar Qabuliyat Bakhs di Aur Kabil ke Sadke ko Aag ne na kha kar door kar diya,
Kabil ke Dil me Hasad Badhkar utha usne Habil ko Katl karne ki Dhamki di,
ALLAH TA’ALA ne Quraan Shareef me Irsaad Farmaya
“Un Logo ko Aadam(Alayhesalam) ke Dono Beto ka Saccha kissha Sunado jabki Dono ne (ALLAH TA’ALA ke liye) ek Qurbaani peish ki To ek ki Qabool hui Dusre ki Qabool na hui (to jiski Qabool na hui yaani Kabil ki to) usne Dusre se kaha ki kism he me Tuze Zarur Qatal Karung to Is(Dusre) ne Jawab diya ki ALLAH TA’ALA To Sirf Parhejgaaro ki Qurbaani deina Qabool Farmata he”
(Surah Al Maida, Aayat-27)
Is Wakiye ko Zikr Karne ka ye Matlab tha ki Hasad ki Badai ho Aur NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam se Hasad Karnewalo ko Sabak hasil ho Aur Qayamat tak Loug Hasad ko Bura Samje,
Habil Haqq par the unke Taqwe ki peish Nazar Unka Sadka Qabool ho gaya, unhone kaha me Chahta hu Mera Aur Tumhara Gunah Tumhare hi Palle pade, iska Makshad ye he ki Tumne Apne Baap ki Nafarmaani ki wo Gunaah bhi Tumhare Jimme he Aur Agar Muje Qatl karna Chaho to Karlo, Mere Qatl ka Gunaah bhi Tumhare Jimme hi hoga.
(Roohul Maani, Jild-4, Safa-111, 112)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-81)
Aakhirkaar qabil ne Habil ka Qatl kar diya :-
ALLAH RABBUL IJJAT Quraan Sareef me irsaad Farmata he
“Fir uske Dil ko Apne Bhai ka Maar Dalna hi Pasand Aaya lihaja usne Usko Maar dala to wo Khud hi Nukshaan uthanewalo se ho gaya”
(Surah Al Maida, Aayat-30)
Hazrat Aadam Alayhesalam Makka e Muajjama gaye hue the usne Unke piche Apne Bhai ko Qatl kar diya,
Ye Ruhe Zamin par Pehla Qatl tha is liye Kabil Janta nahi tha ki wo Apne Bhai ko keishe Qatl kare, to Seitaan Lain ne uske Saamne Ek Parinda ka Sar Patther par Rakh kar Dusre Patther se Foud diya, Kabil ko pata chal gaya ki is tarah Qatl karna he,
Habil Chunke Bakariya Chraate the ek Darakht ke niche Soye hue the Kabil ne Un ke Sar par Patther maar kar Unhe Qatl kar diya us wakt Habil ki Umar 20 Saal thi
(Roohul Maani, Jild-4, Safa-114)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam Safa – 81)
Allahu Akber,
>> Kawwa qabil ka Sahara kis tarah bana :-
Allama Raazi Rahmatullah Alay ne is Makam par 3 wajah baya ki he,
1) ALLAH TA’ALA ne 2 Kawwe Bheje wo dono lade, ek ne Dusre ko Qatl kar diya Aur Apni Chonch Aur Panjo se Zamin ko Khrerta(Khouda) Aur Murda Kawwe ki laash ko Us Gaddhe me Daal kar Upar Mitti Daal di us se Kabil ko bhi ye Pata chal gaya ki mene bhi esha hi karna he Aur Bahot Pachtawa hua ki me us kawwe se bhi Zyada Aajij ho gaya itna kaam bhi na kar saka,
2) Kabil ne Tang aakar Habil ki Laas ko feink diya, ALLAH TA’ALA ne Kawwe bheje, jinhone Mitti khoud Khoud kar Laas par Daali Aur ushe Chupa diya, ye deikh kar Kabil ko Bahot Afshos hua ki Habil ko ALLAH TA’ALA ne kitni Ijjat Bakhshi he Aur Me Kitna Jalil ho gaya,
3) Kawwe ki Aam Aadat ye he ki koi Khaane ki chiz uske Paas ho to wo ushe Dusre wakt ke liye Zamin me Daba deita he, usne jab Kishi Chiz ko Zamin me Chupaya to Kabil ko pata chal gaya ki mene Apne Bhai ki Laash ko Eyshe chupana he Aur Saath Saath Kawwe se kam Ilm Rakhne ki Wajah se Bahot Pachtawa bhi huwa ki Mujse to Kawwa hi Accha he, jishe Chizo ko Chupana Aata he.
(Tafseere Kabeer, Jild-11, Safa-209, 210)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-84)
Qatl ke Baad Kabil kiPareshani :-
Kabil ne Jab Habil ko Qatl kar diya to ye nahi janta tha ki kya kare…
is tarah chod dene par ushe ye khtra tha ki Darindey kha jayenge to wo Apne Bhai ki Laash ko Boure me daal kar firta raha, yaha tak ki laash Badbudaar ho gayi, ushe Chupaane ka Tarika Malum nahi ho raha tha ki me kya karu….?
Bahot hi Pareshan tha,
Quraan Paak me he ki
“Fir ALLAH TA’ALA ne ek ko bheja jo (Apni Chonch se) Jamin khrerta tha ki us ko dikhaye ki Apne Bhai ki Laash ko kis tarah Chipaaye wo (Katil bhai) bola ha Afshos kya me us koi jeisha bhi na ho saka ki me Apne bhai ki laash ko chipata fir to wo Pachta ta hi rah gaya”
(Surah Maida, Aayat-31)
Duniya me pehli Mout thi Kabr khoud ne Dafan karne se wo Be-khber tha, ALLAH TA’ALA ne us ki Muskil ko Hal karne ke liye uska Sahara Kawwe ko Banakar bheja
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-83)
Habil ko kis tarah Dafn kiya gaya wo Agle Part me aayega…
>> Qatl ke Baad qabil ki Duniya me Jillat :-
Abdul Rahman Bin Fazala ze Marwi he ki Kabil ne Habil ko Qatl kar diya to uski Aqal Jahil ho gayi, Dil me Samajne ki Salahiyat Khtm ho gayi, is tarh Paagal ho raha Yaha Tak ki Mar gaya, Qatl karne se pehle Rang Uska Safeid tha Aur Qatl ke Baad Uska Tamam Jism Kala ho gaya,
Hazrat Aadam Alayhesalam ne Makka E Mukarrama ki Sar Zamin se Wapis hone par Kabil se Pucha Tumhare Bhai kaha he..?
usne kaha me koi uska Jimmedar to nahi tha,
Aap ne Farmaya Tune Ushe Qatl kar diya he is liye Teira Jism Saya(kala) ho chuka he.
(Roohul Maani, Jild-4, Safa-115)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-82)
>>> qabil ko Azaab :-
Hazrat Ibne Masud RadiAllaho Ta’ala Anho se Marwi he ki HUZOOR SARWARE QAAYENAAT Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya Jo Shaksh Bhi Zulma-Qatl hoga, us ke Qatl ka Azaab Aadam Alayhesalam ke Pehle ‘Qatil Beite’ par bhi hoga, kyunki Sabse Pehle Ushi ne Qatl ki Ibteda ki Yaani Jis tarah Qatl karnewale ko Qatl ka Azab hoga Ushi tarah Qatl ki ibteda karnewale ko bhi Azaab hota Rahega.
(Roohul Maani, Jild-4, Safa-115)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalm)
ALLAHU AKBER,
>> Bete ke Qatl par Hazrat Adam Alayhesalam ka Gam :-
Hazrat Aadam Alayhesalam Beite ke Qatl par Itna Jyada Gamzada hui ki 100 Saal tak Aap Muskuraye Nahi, 100 Saal ke baad Aap ko ek Aur Beite ki Basarat di gayi,
Aap ko kaha gaya
“ALLAH TA’ALA Aap ko Zinda Rakhe ALLAH TA’ALA Aap ko ek Aur Beita Aata Farmane wala he to Aap Muskuraaye.
(Roohul Maani, Jild-4, Safa-115,
Tafseere ibne Kabeer, Jild-11, Safa-208)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-82)
>> Hazrat Adam Alayhesalam ki Wafaat :-
Jab Hazrat Aadam Alayhesalam ka Aakhri Wakt Aaya to Aap ko Jannati Mewe Khane ki khwaish hui, Aapne Farzando se kaha ki KABA E MU’AJJAMA jawo Aur Waha Dua Karo ki ALLAH TA’ALA Meri ye Tamanna Puri kare,
Hazrat Aadam Alayhesalam ke Farzand ye Huqm Paa kar Waha Pahonche, Hazrat Zibrail Alayhesalam Aur Dusre Fariste Mile, Jinse Unhone Aadam Alayhesalam ki Farmaaish ka Zikr Kiya Faristo ne Kaha Hamare Sath Aaw, Jannat ke Mewe Apne Sath Laye he,
Chunanche ye Sab Aadam Alayhesalam ke Paas Pahonche, Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha un Faristo ko Deikh kar Darne lagi Aur Chaha ki Aadam Alayhesalam ki Daaman me Chup jaaye, Unhone Farmaya Ki Hawwa Ab Tum Muzse Alag Raho Mere Aur RABB ki Kaasro ke Darmiyaan Aaar na Bano, us tarah Faristo ne Aadam Alayhesalam ki Rooh Kabz karli.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-84)
>> Hazrat Aadam Alayhesalam ki Tajdik va Takfir Faristone ki :-
Faristo ne Hazrat Aadam Alayhesalam ke Beito ko kaha Jis tarah Ham Tumhare Baap ka Kafan Dafan karenge ushi tarah Tum Fout Hone wale logo ka Kafan Dafan karna,
Zibrail Alayhesalam Jannati Khusbo Aur Jannati Jode ka Kafan Aur Jannati Kuch Patte Apne Sath laye the, Unko Khud Gusl diya Aur Kafan Pahenaya Aur Khusbu Lagayi Aur Malaika Unka Jism Mubarak Kaba Sareef me Laye Aur Un par Saare Faristo ne Namaze Janaza Ada ki jis me Hazrat Zibrail Alayhesalam Imaam the Aur Saare Fariste Muktadi,
Namaz me 4 Takbire Kahi Jeishe ki Aaj hoti he, Fir Makka e Mua’jjama se 3 Meel Ke Fasle par Makam Mani me le gaye Jaha Haji Qurbaani karte he Aur us Jagah Hazrat Ibhraahim Alayhesalam ne Hazrat Ismail Alayhesalam ki Qurbaani ki, Waha Masjide kheif ke Karib Bagli Kabr Khoud kar un ko Dafan karke Unki Kabr ko Unt(Camel) ki Kouhaan ki tarah Thalaan Banaya, Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anho ki Kabr jidda me he, Baaj Riwayat ke Mutabik Dono ki Kabr Kaba e Muajjama me Tawaf ki jagah me he.
(Tafseere Azizi, Tafseere Naimi, Jild-1)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-84) share kare
HAZRAT YOUSUF STOHazrat musa alaihassalam story in hindi urdu part 19RY IN HINDI URDU PART 8
Leave A Comment