>Hazrat adam alaihissalam ki toba ka waqiya in urdu Hindi Hazrar Aadam Alayhesalam ki Touba :-
“Fir Shikh liye Aadam ne Apne RABB se Kuch kalme to ALLAH TA’ALA ne uski Touba Kabool ki Beshaq Wohi hey Bahot Touba Kabool Karnewala Maherbaan
(Surah Bakra, Aayat-37)
Wo Touba ke Kalamat kya the, Ahle Ilm se Chand Aqwaal Mankoul he
1) “Rabbana Zalamna Anfoshna Wain lam Tagfirlana Warhamna lanakkunanna Minal Khasereen”
2) “Subhanakallaahumma Wabehamdeka Watamarakasmoka Wa Ta’ala Jaddoka Walaillaha Geiruk”
3) “Subhanakallaahumma Wabehamdeka Amilto Su’an Wazlamto Nafshi Fagfirli innka Kheul Gaaferin”
4) Ek koul ye he ki Aadam Alayhesalam ne Saak Arsh par MOHAMMAD RASOOLLALLAH Sallallaho Alayhe Wasallam likha hua deikha to unhone ishi ism Mubarak ko Apni Safa’at ka Zariya banaya
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-77)
4 koul ke Mutabik ye Hadees he
HUZOOR SARWARE QAAYENAAT Sallallaho Alayhe Wasallam ne Farmaya Jab Hazrat Aadam Alayhesalam se khtaa hui to
Hazrat Aadam Alayhesalam ne Arz ki
“Ay Mere RABB AZZWAZAL me MOHAMAD Sallallaho Alayhe Wasallam ke Waseele se Tuz se Maafi ka Talabgaar hu”
ALLAH TA’ALA Ne Irsaad Farmaya Ay Aadam Tune MOHAMMAD (Sallallaho Alayhe Wasallam) ko Keishe jana Halanki Mene Unhe peida bhi nahi kiya to Aadam Alayhesalam ne Arz ki Ay mere RABB AZZAWAZAL Jab Tune Muje Apne Daste Qudrat se Peida Farmaya Aur mere Andar Rooh Daali to mene Apna Sar Uthaya Aur Arsh ke paayo par
“Laillaha Illallah Mohammadur Rasoollallah”
likha hua deikha to Mene Jaan liya ki Jis ka Naam Tune Apne Naam ke Sath joda he Yakinan Makhlukaat me se Jyada Aziz he,
ALLAH TA’ALA ne Farmaya Ay Aadam Tune Sach kaha Beshaq wo (Yaani HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam) Muje Makhlukaat me se Sab se Zyada Pyaare he Tumne Ushi Mehbub ke Waseela se Muje pukara pas Mene Tumhe Maaf Farma diya Aur Agar MOHAMMAD (Sallallaho Alayhe Wasallam) Na ho te to Me Tuze Peida na karta”
(Al Mustadrak, Khsasul Kubra, Mawahibbul Laduniya)
SubhanAllah,
Hazrat Adam Alayhesalam ki Touba Kis Din Qabool hue :-
Hazrat Aadam Alayhesalam ki Touba Jumma ko Qabool hui, Aap ki Peidaish Aur Jannat se Bahar Tasreef lana bhi Jumma ka Din hi tha Aur Wo Aashura tha (Yaani 10 Moharram ka Din)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-78)
Hazrat Aadam Alayhesalam ka Zariya e Ma’aash :-
Tafseere Azizi me he ki Sabse Awwal Kapda Bunne ka Kaam Aadam Alayhesalam ne kiya Aur Baad me Kheti-baadi ke kaam me Mashgool rahe,
Hazrat Adam Alayhesalam ne Kuwe ka Paani kabhi nahi piya Balqi Aap Hamesha Baarish ka Paani Piya Karte the, Aur
Sab se Pehle Aadam Alayhesalam ne Chandi Se Rupe Aur Sone se Ashrafiya banayi.
(Tazkiratul Amabiya Alayhesalam, Safa-76)
>> Hazrat Adam Alayhesalam Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ki Mulakaat :-
Jab Zamin par Tasrif laaye to Hazat Aadam Alayhesalam Hindustan ke ilaka Srandip (Sri-lanka) ke Pahad par Utre Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha Jidda me,
Touba Qabool hone ke baad dono ki Mulakaat Arfaat(Medaane Arfaat) ke makam par hui, Dono ne ek Dusre ko Pehchana is liye us Meidaan ko Arfaat kehte he Yaani Pehchanne ki Jagah,
Jab Hazrat Aadam Alayhesalam Jannat se Aaye the to Un se Arabi Jaban bhi le li gayi thi Yaani Bhula di gayi thi itne Rouz Tak Siryaani Zaban me kalam Farmaya, Touba Qabool hone ke baad Arabi Zaban fir Ata hui,
Fir Hazrat Zibrail Alayhesalam ne Tamam Aalam ke Jaanwaro ko Aawaz di ki Ay Jaanwaro HAQQ TA’ALA ne Tum par Apna Khlifa Bheja he us ki Ita’at Aur Farmabardari karo, Daryaai Jaanwaro ne Sar utha kar
ita’at Jaher ki Aur Khusk ke Jaanwaro Aap ke Aas-Paas Jama ho gaye, Aadam Alayhesalam Un Par Hath Ferne lage, Jis par Aap ka Hath Mubarak Pahonch gaya wo Ahli Aur Khangi Ban gaye Jeishe Ghoda, Unt, Bakri, Kutta, Billi, Wageira Aur Jis par Aap ka Hath Na Pahoncha wo Jangli wa Hassi raha jeishe Hiran Wageira.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-79)
>> Hazrat Adam Alayhesalam ke 2 Beito ka Zagda :-
Hazrat Aadam Alayhesalam ki Owlaad se Kabil Aur Habil the, Kabil Bada tha Habil chota tha, Kabil Kheti-Baadi karta tha Aur Habil Bakariya Chrata tha,
Kabil ke Sath Peida honewali Ladki ka Naam “Aklima” tha jo Bahot Zyada Hasin va Jamil thi Aur Habil ke Sath Peida honewali Ladki ka Naam “Livva” jo Khubsurati me kuch kam thi,
Hazrat Aadam Alayhesalam ki Sariyat ke Kaanun ke Mutabik Kabil ke Sath Peida Honewali Ladki ka Nikaah Habil se Aur Habil ke Sath Peida Honewali Ladki ka Nikaah Kabil se hona tha leqin Kabil ne Esha karnese inkaar kar diya usne kaha ki mere Sath Peida honewali Ladki ka Nikaah hi mere sath hoga.
(Roohul Ma’ani, Jild-4, Safa-111)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-80)
>> Hazrat Adam Alayhesalam ki Owlaad ke Haqq me Dua :-
Us Wakiya(Pichle Part) ke Baad Hazrat Aadam Alayhesalam ne Arz kiya ki MOULA Meri Owlaad Bahot Kamjor he Aur Iblish ka Fareb Bahot Shakht, Agar Tu Unki Imdaad na kare to wo Iblish se keishe Bach sakenge,
Huqme ILAAHI Aaya
Ay Aadam Tumhare Aur Ahkaam the Aap ki Owlaad ke liye Aur Ahkaam honge, Ham Har Inshan ke Sath Ek Farista Rakhenge Tab Aap ne Khus ho kar Sukr kiya.
(Tafseere Azizi,
Tafseere Naimi, Jild-1, Safa-291)
>> Hazrat Aaam Alayhesalam ki Owlaad :-
Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha 20 Ya 40 Martaba Hazrat Aadam Alayhesalam se Hamela hui he, Har Hamal me do-do Bacche Peida hui, Ek Hamal ke Baccho ka Dusre Hamal ke Baccho ka Esha Huqm tha jeisha ki Mukhtelaf Maa-Baap ke Baccho ka hota he, Yaani Pehle Hamal ke Bacche ka Dusre Hamal ke Bacche se Nikaah hona, is tarah Dusre Hamal ke Ladke ka Pehle Hamal ki Ladki se Nikaah hota.
(Tafseere Saawi, Jild-1, Safa-356)
> Hazrat Aadam Alayhesalam ki do-do Bacche Har Hamal se hui Siway Hazrat Sees Alayhesalam ke,
Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ne Hazrat Sees Alayhesalam ko Sirf Akela hi Jana he, unke Sath Judwa koi Baccha nahi the, ye Sirf NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Ijjat wa Takrim ke liye MAALIQUL MULQ ne Ek Bacche se hi Hamela kiya kyunki NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ka Noor Aadam Alayhesalam se ho kar Hazrat Sees Alayhesalam ke paas Aa gaya.
(Mawahibul Laduniya, Anwar Mohammadiya, Safa-15)
Hazrat Aadam Alayhesalam ne Unhe(Sees Alayhesalam ko) Wasiyat ki ke ye Noore Mubarak Paak Aurat ki Taraf Mantakil karna(Aage Bhejna) he, Fir Hazrat Sees Alayhesalam ne Apne Beite ko yahi Wasiyat ki, ye Silsila Hazrat Abdul Muttalib RadiAllaho Ta’ala Anho tak Chalta raha ki Har Shaksh ne Apne Beite ko Is Noor ke Paak Latan ki Taraf Mantakil karne (Aage Bhejne) ki Wasiyat ki,
Hazrat Aadam Alayhesalam ki Wafaat ke Wakt Aap ki Owlaad Wageira 40 Hazar (40,000) se Zyada ho gaye the, Tafseere Saawi me 1 Lakh (1,00,000) tak Pahonch jane ka Zikr milta he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-79,80)
ALLAHU AKBER,
Ye Jaankari Aage Jarur pahonchaye…share kare
molana ek question tha hazrat adam ali salam kitne baras rate rahe……
es question ka answer is history mai nahi hai…….
please give me a answer in my Email account…
thank you
300 baras tak rote rahe