adam aHazratlaihissastory ilam hin urdu Hindi part Hazrat adam alaihissalam history in urdu Hindi part 2ko Hazrat Aadam AlayheSalam ke Samne Sajda ka Huqm :-
agar aap ne se pehle part nahi parha to parhle taki samaj me aajae hazrat adam alihissalam ki paidaishHazrat Aadam AlayheSalam ki Takhlik se Pehle hi ALLAH TA’ALA ne Faristo ko Huqm de rakha tha ki Tum he Mere Khlifa ke Saamne Sajda karna he, Aadam AlayheSalam ki Takhlik ke baad Faristo par Tamam Chizo Ko Peish karke unke Naam puche, Jab Faristo ne Apni Aazizi ka Izhar kar diya, To Fir Aadam AlayheSalam se pucha Aapne Tamam Chizo ke Naam Bata diye to Fir Huqm Diya,
Irsaade Baari Ta’ala he
“Aur Yaad karo Jab Hamne Faristo ko kaha Aadam Ko Sajda karo, Sabne Sajda kiya Siway Seitan ke Usne Inkaar kiya Aur Takabbur kiya Aur wo Kafiro se ho gaya”
(Surah Bakra)
Farishto ko Sajda Taazimi ka Huqm diya gaya,
Hazrat Yusuf AlayheSalam ke Samne Aap ke Bhaiyo ne Tazima Sajda kiya,
Hamare NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ki Sariyat me Sajda Taazimi Haram karar diya gaya,
Ibadat ke Garj se Sajda Siway ALLAH TA’ALA ke kishi Sariyat me Jayaz nahi,
“Taham Fir bhi Sabse Pehle Sajda Hazrat Zibrail Alayhesalam ne kiya fir Mikail Fir Israafil fir Izrail AlayheSalam ne fir Tamam Faristo ne,
is liye Hazrat Zibrail AlayheSalam ko Sabse Bada Darja Aata kiya gaya Yaani Ambiyae Kiraam AlayheSalam ki Khidmat unke Paas wahi Lane ka Ajim kam unke Supurd hua”.
(Tafseer Khajainul)
Baaz Hazrat ne kaha ki Sabse pehle Sajda Hazrat Israfil AlayheSalam ne kiya is liye iski Peishani par Sara Quraan Sareef likh diya gaya.
(Roohul Bayan, Jild-1, Safa-141)
(Tazkiratul Ambiya AlayheSalam, Safa-56)
Hazrat Adam Alayhesalam ko Sajda karne ka Sabab kya tha :-
Agarche Jahiri Tour par Sabse pehle Khlifa Hazrat Aadam Alayhesalam he leqin Dar Haqiqi Sabse pehle Khlifa Hamare NABI E KAREEM HUZOOR MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam he kyu ki Aap ka Apna Irsaade girami ye he
“Me us Wakt bhi NABI tha Jab Aadam Alayhesalam Rooh Aur Jism ke Darmiyan the”
(Abu Naeem, Tabkaat ibne Saeed,
Tibraani, Jamiul Sageer, Jild-2, Safar-96)
“Hazrat jiibrail Alayhesalam ALLAH TA’ALA ke Huqm se NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ke Roza e Anwar ki jagah se Mitti li gayi, Aabe Tasneem se ushe Gonda gaya, Jannat ki Nehro me Goute diye gaye Zamino Aasmano me Firaya gaya, is Wajah se Hazrat Aadam Alayhesalam se pehle hi Faristo ne NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam ko pahechan liya tha, fir is Mitti ko Aadam Alayhesalam ke jism se Mila diya gaya Aur NOORE MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam se Aadam Alayhesalam ki peshani ko chamkaya gaya”
(Taksh Tafseere Sa’aabi, Az khlasatul Tafaseer, Jild-1, Safa-25)
Wahi Noore MOHAMMOAD Salllallaho Alayhe Wasallam DarAsal Faristo se Sajda karane ka Sabab Bana tha,
Imaam Raazi Rahmatullah Alay ne Tafseere Kabeer me Farmaya
” beshaq Faristo ko Aadam Alayhesalam ko Sajda Karne ka Huqm is liye diya gaya ki Aap ki Peishani me HUZOOR MOHAMMAD Sallallaho Alayhe Wasallam ka Noor Rakha gaya tha”
(Tafseere Kabeer, Jild-2, Safa-455)
Allama Aalushi Rahmatullah Alay farmate he
“Yaani Dar haqiqat HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam hi ALLAH TA’ALA ki Makhluk me ALLAH TA’ALA ke Khalifa e Aazam me Aur Zamino Aur Buland Aasmano me Sabse Mukaddam Imaam HUZOOR Sallallaho Alayhe Wasallam hi he Agar HUZOOR sallallaho Alayhe Wasallam na Hote to na Aadam Alayhesalam peida hote na Inke Alawa koi Aur Cheez”
(Roohul Ma’ani, Jild-1, Safa-218)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-55, 56)
>> Iblish Takabbur ki Wajah se Mardud ho gaya :-
ALLAH TA’ALA ke Huqm se Inkar ki wajah Iblish ka Takabbur tha, Jab RAB TA’ALA ne us se Pucha ki Tune Sajda kyu nahi kiya, Halanki Mera Huqm tha…??
To usne Jawab dete hue ye kaha..
“Me Usse Behtar hu kyunki Tune Muje Aaag se Peida kiya Aur Ushe Mitti se”
(Surah A’araf)
Yaani jo Shaan ke lehaj se bada ho wo Gatya ke Saamne (MaazAllah) Sajda Nahi karta,
Iblish Haqiqat me Hazrat Aadam AlayheSalam ki Shaan ko Samajne se Kaasir raha, Usshe ye Ma’alum na ho saka ki ALLAH ke NABI ki Shaan Faristo se Buland Hoti he,
RABB TA’ALA ne Irsaad Farmaya
“Tu Jannat se Nikal ja, Tu Mardud he Aur Beshaq Qayamat Tak Tuz par La’anat he”
(Surah Hajr)
Kai Saalo Tak Ibadat karnewala RABB ka Mukarrab NABI ki Shaan me Gustakhi karne se ek Pal Bhar me Mardud ho gaya, Jannat se Nikal diya gaya, Qayamat Tak La’anat ka Mustahkik Thehra diya gaya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-58)
Share kare …
Hazrar Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ki Peidaish :-
Jab Hazrat Aadam Alayhesalam ko Faristo ne Sajda kiya Aur iblish inkaar va Takbbur ki wajah se Mardud ho gaya to Aadam Alayhesalam jo khaak se peida hue the Aapka Jannat me koi Ham Jinsh na tha,
kyuki Faristo ne
Alayhidaah Jinsh the is liye ALLAH TA’ALA ne Aap par Nind ko Musallat kiya,
Fir Aap ki Baayi Pasali se Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ko peida kiya Aur uski jagah Gost rakh diya gaya,
Jab Aadam Alayhesalam Bedaar hue to Aap ne Apne Sar ke Paas Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ko Beithe hue paya
Pucha ki Koun ho…??
Unhone kaha ki Me Aurat hu,
Fir Aapne kaha Tumhe kyu Peida kiya gaya….??
to Unhone Arz kiya Taaki Muzse Sukun Hasil karo,
Faristo ne Hazrat Aadam Alayhesalam ke Ilm ka Imtehaan lene ke liye pucha ye Koun he..??
Aap ne Farmaya ye Aurat he,
Fir Unhone pucha Ishe Amraat(Aurat) kyu kaha gaya he…??
To Aapne Farmaya Kyuki ye Marra(Mard) se Bani he,
Fir Unhone Sawal kiya is ka Naam kya he..??
Aap ne farmaya Hawaa,
Fir Unhone kaha is ka Naam Hawwa kyu Rakkha gaya…??
Aapne Farmaya ki Zinda chiz ko ‘Hey’ kaha jata he, ye bhi Zinda se Peida hue is liye iska Naam Hawwa Rakha gaya”
ek Rivayat ke Mutabik Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ki Peidaish Faristo ke Sajdo ke Baad Jannat me hue Aur Dusri Riwayat ke Mutabik Hazrat Aadam Alayhesalam ka Jism Jamin me Taiyaar kiya gaya Aur us me Rooh ko Dakhal bhi Jamin me hi kiya gaya, Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ki Peidaish bhi Jameen par hi hui fir Dono ko Jannat me le jaya gaya.
(Roohul Ma’ani, jild-1, Safa-233, 234)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-62)
>> Saitaan ki Darkhwast Aur Uski Mout :-
“Bola Muje Furshat de us Din tak ki Loug uthaye jaye, Farmaya Tuje Mohallat he, Bola Tu kism iski ki Tune Muje Gumraah kiya Me Jarur Tere Shidhe Raste par Unki Taak me Bethunga,
Fir Jarur me unke paas Aaunga Unke Aage Aur Unke piche Aur Unke Dayne Aur Unke Baaye se Aur Tu un me se Aksar ko Sukrgujaar nahi payega”
(Surah A’araf)
Saitaan ye Mohallat logo ke uthaye jane tak Talab karna Chahta tha ki Mout ki Shakhti se bach jaye, Leqin Saitaan ki ye Baat to na maani gayi, Ab bhla pehli Martaba Soor Funk ne tak usko Mohallat di gayi,
Pehli Martaba Soor Funk ne par Saitaan bhi Marjayega Albatta Us Wakt Tak Ushe Mohallat he ki wo Charo Taraf se Ghera Daal kar Inshano ke Dilo me Waswase dalta rahe Aur unhe Baatil Raah ki taraf Maail karta rahe Aur Kuch Logo ko ita’at se Roke Aur Gumraahi me Daal sake,
Agarche Saitaan ki Sabhaat Aur Badaiyo me Waaki karne ka Pakka Irada kar chuka tha Aur ushe Ummid bhi thi ki wo Apni Makshad me Kaamyaab hoga leqin fir bhi usne kaha ki Tu in me se Aksar ko Shukr Gujaar nahi payega, Dusre Makam par Saitaan ne Neik logo par Apna Daav chlane se Aaziz hone ka yu Zikr kiya,
“Bola Ay RABB Meri Kism iski ke Tune Muje Gumraah kiya Me unhe Zamin me Bhlaave Dunga Aur jarur me un sab ko BeRaah karunga Magar jo unme Teire chune hue Bandey he”
(Surah Hajr)
Saitaan ne kaha ki me Logo par Bure Aamal Ache Aur Majin karke peish karunga is tarah wo mere behkaane se Sidhi raah Hat jayenge, Albatta Ay ALLAH Tere Neik Makhlus Aur Bargujida Bando par Meri Dargulane ka Koi Asar nahi hoga,
ALLAH TA’ALA ne Bhi Saitaan
ko bata diya tha,
“Beshaq Jo mere Bandey he un par Teira kuch kaabu nahi”
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-58, 59)
>> Hazrat Adam Alayhesalam ka Nikaah Aur Maher :-
Jab Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ko Peida kiya gaya to Hazrat Aadam Alayhesalam ne Unki Taraf Milaan karna Chaha Aur irada Farmaya ki Daste Mohabbat badaye,
To Faristo ne kaha, Ay Aadam Thehar jaav Pehle ‘Mehar’ Aada karo,
Aap ne Farmaya Wo ‘Maher’ kya he…??
Faristo ne kaha ye ki Tum NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam par Doorud Padho..
(SubhanAllah)
Ek Rivayat me 3 Martaba Aur ek Me 17 Martaba Doorude paak Padhne ka Huqm diya gaya, Yaani Is Masle me Ittefaak he ki Aadam Alayhesalam ka Maher Yahi tha ki NABI E AKRAM Sallallaho Alayhe Wasallam par Doorud Paak padhe, Aap ne Doorud Padha Aur Faristo ki Gawahi se Nikaah hua..
(Hasiya Jalalein, Safa-8)
Dusri Riwayat ke Mutabik Hazrat Aadam Alayhesalam Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ko Nikaah ke Baad Fariste Sone(Gold) ke Takht par Bitha kar is tarah Jannat me le gaye, Jis Tarah Baadshaho ko Ijjat ke Khatir utha kar le jate he, Goya ki Baarat ke Wapishi par Faristey Sonheri Doli me Dono Miya-Bibi ko Utha kar la rahe he.
(Roohul Ma’ani, Jild-1, Safa-234)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-62)
>>> Hazrat Aadam Alayhesalam Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ka Darkht ko khana :-
Hazrat Aadam Alayhesalam ko Jab Faristo ne Sajda kar liya to Aap Aur Aap ki Jowja(Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha) ko Jannat me Rehne ka Huqm hua Aur Irsaad hua ki Aap yaha jo Chahe Ba-faragat khae leqin Us Darkht ke Karib Na Jaaye Aur Irsaade ilaahi he ki
“Aur us Dakht ke Karib na Jana ki Had se Badnewalo me se ho jaoge”
(Surah Baqra)
> Seitaan ka Waswasa :-
“Seitaan ne Unhe Is Dakht ke Zariye Fislaya Aur jaha woh rehte the waha se unhe Alag kar diya”
(Surah Baqka)
Hazrat Aadam Alayhesalam Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ke liye ye Huqm tha ki us Darkht ke Karib Na jana, Seitaan ne unshe Us Farmane ILAAHI ki Na-Farmaani Karana Chaha Isliye Waswase ki Jaban me dono se kaha ki me Tumhe Esha Darkht na Dikhau jiske khane se tum Hamesha Jannat me Raho Aur Tumhi esha Badshah Nasib ho jaye jis me Kabhi kishi kism ki Kamjori peida na ho,
Saitaan ne unke Dilo me Baar baar Waswasa Peida kiya Aur Waswase ki Jaban me Kism Kha kar Unko Kaha ki me Tumhara kheir-khwah hu us Dakht ke Khane se Tumhare RABB ne Sirf Is liye Tumhe Rouka ki Tum Faristey na ho jawo Ya Hamesha Tumhe Jannat me Rahena Nasib na ho jaye,
Aakhir kaar Dhoke se Unhe Is Darkht ke khane par Aamda kar liya Aur Hazrat Aadama Alayhesalam Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ne Darkht se kha liya Aur Khate hi Unka Jannati Libaas Unse Utar gaya Aur Jannati Darkhto ke Patto se Apne Apne Jismo ko Dhanpa, Aur Wo Jannat se Jamin ki Taraf utaar diye gaye.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-65)
>> Hazrat Aadam Alayhesalam Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ka Zameen par Tasreef lana :-
Hazrat Aadam Alayhesalam Sarandip(Sri Lanka) me Utare gaye Aur Hazrat Hawwa RadiAllaho Ta’ala Anha ko ‘Jidda’ me Aur Seitaan ko pehle hi Duniya me utar diya gaya tha
(Roohul Maani, Jild-1, Safa-236)
Hazrat Aadam Alayhesalam Jab Zameen par Tasreef laye to Aap ka Jannati Libaas Utaar liya gaya tha Aur Jannat ke Darkhto ke Patte Apne Jism par Dhanp kar Tasrif laaye,
Hazrat Ali RadiAllaho Ta’ala Anho Farmate he ki Hindustan ki Zameen is liye Umda Aur Hari bhari Loung(laving) Wageira Is liye Waha par Peida hote he ki Hazrat Aadam Alayhesalam Jab is Zameen par Aaye to Unke Jism par Jannati Darkht ke patte the wo Patte Hawa se Ud kar Jis Darkht par Pahonche wo Hamesha ke liye Khusbudaar ho gaye.
(Tafseere Naimi, Jild-1, Safa-284)
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-74)
>> Hazrat Aadam Alayhesalam Jannat se kya laaye :-
Hazrat Aadam Alayhesalam Jannat se Mukhtelaf Kism ke Biz Aur 3 kism ke Fal Aur Hazre Aswad(Saya Patther jo khana e Kaba me laga hua he) Aur wo Asa jo Baad me Musa Alayhesalam ke Hath Aaya jis ki Lambai 10 Gaj thi Apne Sath le Kar Aaye the Aur kuch Sona, Chandi, Aur kuch Kheti Baadi Wageira ke Aujaar bhi Sath laye,
Hazrat Aadam Alayhesalam is Kadr Girya va Jaari me Masgul hue ki Un Takhmo se bekhabar ho gaye, Seitaan ne Mouka pa kar unko Apna Hath Laga ya Jab Takhm par uska Hath laga wo Jehrila ho gaya jo us ke Hath se mehfuz raha uska Nafa Barkarar raha,
Saiyyedna Aadam Alayhesalam ke Sath 3 kism ke Jannati meve Aaye,
1 wo jo Pure Kha liye jate he,
2 wo jinka Upar ka Hissa kha liya jata he Aur Gutli Fenk du jati he, jeishe Khjoor, Aam Wageira..
3 wo Jinka Upar ka chilka Feink diya jata he Aur Andhuni Hissa kha liya jata he.
Riwayat me he ki Unke Sath Lohe ki Aujaar bhi the
1 Saanshi jise Loha pakadte he
2 Hathoda,
Hazre Aswad Jab Jannat se Aaya to uski Roshni kai Mil tak jati thi Jaha uski Sa’aayi Pahonchti thi us Hadd tak Haram Sareef ki Hade Kayam hui.
(Tazkiratul Ambiya Alayhesalam, Safa-75)
Share kare…
Leave A Comment