Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾
Zun-Noon.
*******************
Aap ki wilaadat 180 Hijri (796 A.D.) me Akhmim (Misr / Egypt) me hui. Ek baar aap ek jangal se guzar rahe the ki aap ne dekha ke aap ke kuchh dosto ko khazaane ka sandook mila tha.
Unho ne aap ko bhi us me se hissa dene ke liye kaha. Aap ne inkar kiya. Magar us me ek takhti par ALLĀH ka naam likha tha. Aap ne us takhti ko uthaya aur use chuma. Us raat aap ne khwaab me ek aawaaz suni ‘Dusre logo ne dunya ka khazaana chuna aur Tum ne hamara naam chuna. Is liye ham ne tumhare liye ilmo hikmat ke darwaze khol diya hain.’
*******************
Ek baar aap ek kashti me safar kar rahe the. Us me ek taajir ka qeemati moti kho gaya. Us ne aap par moti churaane ka iljaam lagaya. Us ke kehne par logo ne aap ko peetna shuru kiya. Aap ne aasmaan ki taraf dekhkar kaha ‘Aye ALLĀH, Tu jaanta hai ki main chor nahi hu.’ Itne me hazaaro machhliya apne munh me moti lekar paani ke upar aai. Hazrat ne ek machhli ke munh se moti lekar us shakhs ko de diya. Wo tamam log bahot sharminda hue aur aap se maafi maangi. Tab se aap ka laqab ‘Zun-Noon’ ho gaya.
*******************
Ek baar Eid ki raat ko aap ke nafs ne aap se kaha ‘Aap ne kai saal se koi lazeez khaana nahi khaya. Kal eid ka din hai. Kal to kuchh achha khaana kha lo.’ Aap ne us se kaha ‘Main aaj raat me 2 rak’at namaaz padhunga. Jis me pura
Qur’an majeed mukammal karna chaahta hu. Agar us me
tum mujhe saath do to kal main tumhe kuchh achha khaana
khila sakta hu.’
Aap ne raat me 2 rakat namaaz padhi jis me khushu’ wa khuzu’ ke saath pura Qur’an majeed mukammal kiya. Sub-h aap ke nafs ne kaha ‘Aaj 10 saal ke baad achha khaana khaane ki meri khwahish puri hogi.’ Aap ne kaha ‘Ab to main tumhe is me kaamyab nahi hone dunga.’Itne me ek shakhs khaane ka bartan lekar aaya aur kehne laga ‘Hazrat, Main bahot ghareeb hu. Mere pariwar ne kabhi
achha khaana nahi khaaya. Maine bahot mehnat karke aajeid ke din unke liye achha khaane ka intazaam kiya hai.Raat ko mere khwab me Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki ziyarat hui aur aap ne farmaya, agar
roze qayaamat mujh se milna chahte ho to is khaane
ko jaakar Zun-Noon misri ko de do. Aur us se kehna kuchh
lamho ke liye apne nafs se samjhauta kar lo aur is khaane
me se kuchh lukme kha lo.’ Apne Aaqa sallallāhu alaihi wa sallam ka farmaan sunkaraap ne us bartan me se kuchh lukme khaaye aur phir use us shakhs ko waapas diya.
*******************
Ek baar aap apne shaagirdo ke saath Dariya e Nile me kashti me tafreeh (sair) kar rahe the. Kuchh der baad ek dusri kashti me kuchh log aaye jo un hazraat ka mazzaqudane lage. Aap ke shaagirdo ne aap se unke liye bad-dua karne ke liye kaha. Aap ne farmaaya ‘Aye ALLĀH, jis tarah tune inhe is dunya me khush-haali ata farmai hai usi tarah unhe us jahan me bhi bhalai ata farma.’ Sab log ye sunkar hairaan hue.
Magar jab phir se wo kashti qareeb aai aur un me maujood logo ne Hazrat Zun-noon misri ko dekha to wo rone lage aur maafi maangne lage aur ALLĀH se tauba karne lage. Aap ne apne shaagirdo se farmaaya ‘Tauba karne walo ke
liye aakhirat me bhalai hai. Is tarah tum aur wo log dono pareshaani aur nuqsaani se bach gaye.
*******************
Ek baar ek shakhs aap ke paas aaya aur bataya ‘Bhaari qarz ki wajah se bahot pareshaan hu.’ Aap ko raham aaya aur ne ek patthar ko uthaaya. Jaise aap ne patthar uthaaya wo heera ban gaya. Aap ne us shakhs ko de diya aur us ne
use bechkar apna qarz ada kiya.
*******************
Logo ne aap par zindeeq (heretic) hone ka iljaam lagaya aur baadshah ne aap ko qaid kar liya. Aap ko 40 din tak qaid me rakha gaya. Aap ki bahen aap ke liye khaana laati thi magar aap roz mana karte the. Jab aap ko riha kiya gaya to
aap ki bahen ne puchha ‘Aap ne khaana kyun nahi khaaya? Main to halaal kamaai se aap ke liye khaana laati thi.’ Aap ne farmaaya ‘Ye sach hai. Magar tum jis darbaan ke saath
khaana bhejti thi wo zaalim tha.’
Phir baadshah aap se kuchh mushkil sawaal puchhe. Aap ne us ke qaabil e taarif jawaab diye. Use sunkar darbaar me maujood tamam log hairat me pad gaye. Aur baadshah bhi aap ka mureed ho gaya aur aap ki bahut izzat karne laga.
*******************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Insaan ki kharaabi ki wajah yehi hai ki wo ALLĀH ko raazi karne ke bajay logo ko raazi karne me laga rehta hai, shaitaan ke behkaane par bahek jaata hai aur maut ko bahot door manta hai aur nek amal karne me dilchaspi nahi
rakhta aur nafs ko raazi karne ke liye Sunnat e Rasool ko chhod deta hai aur jab koi galti ho jaaye to kehta hai ki akaabir (Auliya wa Ulema) bhi lagzish ho jaati hai jab ki us waqt wo un ke martabe aur kamaalat ko bhool jaata hai.
(2) Ishq e ilāhi ki daleel Sunnat e Rasool ko apnaana hai. Sunnato ko mukammal aur mazbooti se apnaaye bagair ishq e ilāhi mumkin nahi.
(3) Sufi wo hi hai jo us nek amal ke liye kahe jis ko wo khud karta ho.
(4) Khalwat (tanhaai) se behtar koi cheez aisi nahi hai jo Ikhlaas ki raah par le jaaye. Jis ne khalwat ko apnaaya us ne ikhlaas ke sutoon ko mazboot pakad liya.
(4) 4 baaten qalb ki beemari ki nishaani hain :
[1] Wo ALLĀH ta’ala ke khauf se khaali hota hai.
[2] Wo ibaadat ki halaawat (meethaas) mehsoos nahi karta.
[3] Wo dunya ki cheezo aur waardaato se koi sabak haasil nahi karta.
[4] Wo apne ilm ko amal me nahi laata.
(5) Insaan ki Hidaayat milne ki 3 nishaaniya hain :
[1] Museebat aur ranj ke waqt wo Sabr karta hai.
[2] Ne’amat milne par ALLĀH ta’ala ka shukr ada karta hai.
[3] Jab kisi par ghussa aata hai to us shakhs se rishta aur ta’alluq tod nahi deta balke us ke ehsaan aur achhai yaad karta hai.
(6) Maarifat ki 3 qisme hain :
[1] Ma’arifat-e-Tauheed – ALLĀH subhān wa ta’ala ki
wahaadaniyat ki pehchaan, jo har musalman ko hoti hai. (Ilm-ul-Yaqeen)
[2] Ma’arifat-e- Hujjat wa Bayaan – ALLĀH subhān wa ta’ala ke akhaam wa arkaan ki pehchaan, jo Ulema ko hoti hai. (Haq-ul-Yaqeen)
[3] Ma’arifat-e-Sifaat – ALLĀH ta’ala ki Sifaat ki pehchaan, jo Auliya Allāh ko hoti hai. (Ain-ul-Yaqeen).
*******************
Aap ke shaagirdo me Hazrat Sahl al-Tustari rahmatullāhi
alaihi mashhoor hain.
*******************
Aap beemaari ke sabab be-hosh the. Wisaal ke pehle aap ne aankhen kholi to Yousuf bin Husain ne kuchh naseehat ke liye kaha. Aap ne farmaaya ‘Mujhe guftagu me masroof mat karo. Main Rab ta’ala ki rahmato ki baarish dekhkar
hairat me hu.’ Jab log aap ka janaaza lekar ja rahe the tab dekha ki parindo ka ek bahot bada jhund janaaze ke upar aasmaan me aa gaya aur janaaze ke saath saath udta hua saaya karta raha. Raaste me masjid ke paas se janaaza guzra to moazzin ne jab pukaara ‘Ash’hadu al laa ilāha illallāh’ to aap ne apni shahaadat ki ungli ko uthaya. Logo ne jaanch karne ke liye janaaza rakhkar dekha ki shaayad aap waapas zinda hue ho. Magar jab dekha to aap ke jism me koi harkat nahi thi.
Jab aap ki ungli ko sidhi karne ki koshish ki gai to wo nahi hui. Aur qabr me utaarte waqt bhi wo ‘Shahaadat’ deten rahe.
******************
Aap ka wisaal 10 Safar 245 Hijri (859 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Qarafa, Cairo (Misr / Egypt) me hai.
*******************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Saubaan Zun-noon al-Misri rahmatullāhi alaihi aur Tamaam Auliya Allāh ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke  Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae. Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmaeaur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen. —