hazarat abu hurairah radi allaho taala anho ki maa abhi tak imaan nahi laaye thi hazarat abu hurera roz is niyyat se gar aate the ke aaka ki mithi mithi baate karunga to meri maa imaan le aayegi roz abu hurera apni maa se huzur ki baate karti thi
lekin unki maa roz muh fer leti
ek baar abu hurairah unki maa se jannat ki huro ki baate karne kaa thana socha baat karunga to jannat ke liye meri maa iman le aayengi lekin unki maa ne fir muh fer liya ab wo bahut naaraz huve dekhye unki maa kuffar hai abhi imaan nahi laayi yhi fir maa se mohabbat dekho kitni haiab wo soche ke aaka alay kassalato wassalam ki baargah me jaakar aaka se meri maa ke liye hidayat ke liye duva karne ko kahunga
is niyat se wo kashana e nabuvvat me gaye aaka se kaha yaa rasullah meri maa ke liye hidayat ki duva kar dijiye
aaka ne duva ke liye haath uthaye or kaha ya allah abu hurera ki maa ko hidayat ata farmaa ye kehna tha abhi huzur ne abhi tak duva khatam nahi ki thi hazarat abu hurera radi allaho taala anho bhaage bhaage apni gar ki taraf jitna tez bhaag sakte the bhaage raste kayyo ne dekh kar pucha ae abu hurera kaha itni jaldi me jaa rahe ho unhone farmaya me dekhna chahta hu ke me pehle pahuchta ki mustafa ki duva pahuchti he ab
wo gar pahuche or aawaz de ae ammi jaan aawaz aayi e bete tho da theher jaa ab hazarat abu hurera khush huve kyonki maa ke bolne ki style badal gayi fir darwaza khula maa ne kaha tu nahi balke mustafa ki duva pehle pahunchi hain maa abu hurera ne dekha maa ke baalo se paani tapak raha hai maa ne gusal kiya tha unki maa ne kaha e bete dafa hoja me parti hu LAA ILAHA ILLAAH MUHAMMADUR RASULALLAH SALLAHO TAALA ALAYHI WASSALAM[/
Leave A Comment