Aap ki wilaadat hijrat ke 2 Hijri me (Hijrat ke 1 saal aur 8
mahine baad) (624 A.D.) Madeena me hui.
Jab aap ki waalida Makka se Madeena hijrat karke ja rahi
thi to Madeena pahuchne par aap ko dard shuru ho gaya
aur beta paida hua. Is tarah aap hijrat ke baad paida hone
wale sab se pehle muslim bache hain.
Aap ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke paas laaya
gaya to pyare Aaqa ne aap ko chuma aur phir khajoor
chabakar kar us ke munh me rakhi (Tahneek).
Aap ke waalid ka naam Hazrat Zubair ibn Awwam radi-
Allāhu ta’ala anhu aur waalida ka naam Hazrat Asma binte
Abu Bakr Siddeeq radi-Allāhu ta’ala anha hain.
Aap ke waalid Ashra e mubashara me se hain.
Aap Bani Asad qabeele se ta’alluq rakhte hain.
Aap bachpan se hi ibaadat guzaar aur parhezgaar the.
********
Aap bahot bahaadur the.
27 baras ki umr me Africa, Spain aur Istanbul
(Constantinople) ke khilaaf jang me aap ne apna shuja’at
dikhaai.
Hazrate Umar Faarooq radi-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane
me Jang e Ifriqiyah (Tunisia) me jab 20000 Musalmano ne
120000 ke kaafiro ke lashkar ka muqaabala kiya. Us me
aap ne bahaaduri ke saath kaafir baadshaah aur us ke
muhaafiz pehredaaro ko qatl kar diya aur ‘Allāhu akbar’ ka
naara buland kiya. Is se musalmano ke hosle buland ho
gaye aur phir musalmano ko fateh haasil hui.
Jab muslim lashkar ke sardar Abdullāh ibn Abi Sarh radi-
Allāhu ta’ala anhu ko is baat ka pata chala to unho ne aap
ko mubarakbaad di aur Ameer ul mo’mineen Hazrate Umar
Faarooq radi-Allāhu ta’ala anhu ko is fateh ki khushkhabari
sunane ka sharf aur izzat ata farmai.
********
Hazrate Ameer Muawiyah ke wisaal ke baad jab Yazeed ne
aap ko us ki bai’at aur khilaafat qubool karne ke liye kaha
to aap ne inkaar kiya.
Aap ne Imaame Husain radi-Allāhu ta’ala anhu ko apne
saathiyo ke saath Makka jaane ke liye aur Yazeed ka
muqaabala karne ke liye mashwara diya. Aur aap bhi unke
saath Makka tashreef le gaye.
Jab Karbala me Imaam e Husain radi-Allāhu ta’ala anhu
aur jaan-nisaar e ahle bait ke shaheed hone ki khabar mili
to aap ne ahle Makka ko jama karke taqreer ki ke ‘Iraqi se
zyada bure koi nahi hain aur un me ahle Kufa sab se badtar
hain. Pehle unho ne baar baar khat likhkar Imaame Husain
ko Kufa aakar bai’at ke liye kaha aur jab Ibne Ziyad aa
pahuncha to uske saath milkar Imaame Husain aur un ke
saathiyo ko shaheed kar diya, jo nek the aur pyaase the.’
Is ke baad ahle Makka ne bai’at karke aap ko khalifa
banaya.
Phir aap ne Muslim ibn Shihab ke saath aahista aahista
Arab mumaalik, Iraq, Shaam aur Misr ke ilaako me islaami
hukoomat haasil ki.
Yazeed ne aap ko rokne ke liye Madeena par hamla kiya aur
Jang e Harrah hui aur phir us ne Makka ko gher liya.
Magar us dauraan Yazeed ki maut ho jaane se ye jang band
hui.
Lekin Marwan ke zamaane me us ne aap ko haraakar Misr
aur Shaam par qabza kar liya. Aur phir Iraq me bhi
Khaarjiyo ne baghaawat karke qabza kar liya. Sirf Hijaaz
par Abdullāh ibne Zubair ki hukoomat rahi.
Phir Abdul Malik ibn Marwan ne Hajjaj ibn Yousuf ko bheja.
Us ne Maah e Ramazaan 72 Hijri me Makka ko gher liya aur
phir Maah e Safar me jang me aap ko shaheed kar diya aur
phir sooli par latkaaya aur Ka’aba ko bhi nuqsaan
pahunchaya aur phir se Banu Ummayya ko hukoomat mil
gai.
Is tarah aap ashaaba me se aakhri khalifa hain.
(Khilafat e raashida Hazrat Ali ibne Abi Taalib radi-Allāhu
ta’ala anhu ke zamaane ke baad khatm ho gai thi.)
********
Aap ka wisaal 9 Safar 73 Hijri (692 A.D.) me hua.
Aap ka mazaar Jannatul Mualla, Makka mukarrama me hai.
*********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke
sadqe me
Aur Hazrat Abdullāh ibn Zubair radi-Allāhu ta’ala anhu aur
Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke
Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki
taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae
aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
Leave A Comment