Aap ki wilaadat hijrat ke 2 Hijri me (Hijrat ke 1 saal aur 8 mahine baad) (624 A.D.) Madeena me hui.Jab aap ki waalida Makka se Madeena hijrat karke ja rahi thi to Madeena ahuchne par aap ko dard shuru ho gaya aur beta paida hua. Is tarah aap hijrat ke baad paida hone wale sab se
pehle muslim bache hain. Aap ko Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ke paas laayagaya to pyare Aaqa ne aap ko chuma aur phir khajoor
chabakar kar us ke munh me rakhi (Tahneek). Aap ke waalid ka naam Hazrat Zubair ibn Awwam radi- Allāhu ta’ala anhu aur waalida ka naam Hazrat Asma binte Abu Bakr Siddeeq radi-Allāhu ta’ala anha hain.Aap ke waalid Ashra e mubashara me se hain. Aap Bani Asad qabeele se ta’alluq rakhte hain. Aap bachpan se hi ibaadat guzaar aur parhezgaar the.
********
Aap bahot bahaadur the.27 baras ki umr me Africa, Spain aur stanbul (Constantinople) ke khilaaf jang me aap ne apna shuja’at dikhaai.
Hazrate Umar Faarooq radi-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane me Jang e Ifriqiyah (Tunisia) me jab 20000 Musalmano ne 120000 ke kaafiro ke lashkar ka muqaabala kiya. Us me aap ne bahaaduri ke saath kaafir baadshaah aur us ke
muhaafiz pehredaaro ko qatl kar diya aur ‘Allāhu akbar’ kanaara buland kiya. Is se musalmano ke hosle buland ho gaye aur phir musalmano ko fateh haasil hui.
Jab muslim lashkar ke sardar Abdullāh ibn Abi Sarh radi- Allāhu ta’ala anhu ko is baat ka pata chala to unho ne aap ko mubarakbaad di aur Ameer ul mo’mineen Hazrate UmarFaarooq radi-Allāhu ta’ala anhu ko is fateh ki khushkhabari sunane ka sharf aur izzat ata farmai.
********
Hazrate Ameer Muawiyah ke wisaal ke baad jab Yazeed ne aap ko us ki bai’at aur khilaafat qubool karne ke liye kahato aap ne inkaar kiya. Aap ne Imaame Husain radi-Allāhu ta’ala anhu ko apne saathiyo ke saath Makka jaane ke liye aur Yazeed ka muqaabala karne ke liye mashwara diya. Aur aap bhi unke saath Makka tashreef le gaye. Jab Karbala me Imaam e Husain radi-Allāhu ta’ala anhu aur jaan-nisaar e ahle bait ke shaheed hone ki khabar mili to aap ne ahle Makka ko jama karke taqreer ki ke ‘Iraqi se zyada bure koi nahi hain aur un me ahle Kufa sab se badtar hain. Pehle unho ne baar baar khat likhkar Imaame Husain ko Kufa aakar bai’at ke liye kaha aur jab Ibne Ziyad aa pahuncha to uske saath milkar Imaame Husain aur un ke saathiyo ko shaheed kar diya, jo nek the aur pyaase the.’ Is ke baad ahle Makka ne bai’at karke aap ko khalifa banaya. Phir aap ne Muslim ibn Shihab ke saath aahista aahista. Arab mumaalik, Iraq, Shaam aur Misr ke ilaako me islaamihukoomat haasil ki. Yazeed ne aap ko rokne ke liye Madeena par hamla kiya aur Jang e Harrah hui aur phir us ne Makka ko gher liya. Magar us dauraan Yazeed ki maut ho jaane se ye jang bandhui.
Lekin Marwan ke zamaane me us ne aap ko haraakar Misr aur Shaam par qabza kar liya. Aur phir Iraq me bhi Khaarjiyo ne baghaawat karke qabza kar liya. Sirf Hijaaz par Abdullāh ibne Zubair ki hukoomat rahi. Phir Abdul Malik ibn Marwan ne Hajjaj ibn Yousuf ko bheja. Us ne Maah e Ramazaan 72 Hijri me Makka ko gher liya aur phir Maah e Safar me jang me aap ko shaheed kar diya aur phir sooli par latkaaya aur Ka’aba ko bhi nuqsaan
pahunchaya aur phir se Banu Ummayya ko hukoomat mil
gai.
Is tarah aap ashaaba me se aakhri khalifa hain.(Khilafat e raashida Hazrat Ali ibne Abi Taalib radi-Allāhu ta’ala anhu ke zamaane ke baad khatm ho gai thi.)
********
Aap ka wisaal 9 Safar 73 Hijri (692 A.D.) me hua. Aap ka mazaar Jannatul Mualla, Makka mukarrama me hai.
*********
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Hazrat Abdullāh ibn Zubair radi-Allāhu ta’ala anhu aur Ashaaba ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab keEimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.