farmaan e NABAWI ﷺ hai ke hukma aur ulama apni fiqah ki wajah se is amr ke qareeb huwe ke NABI ho jaayein. Hadees shareef mein hai ke us shakhs ke liye khushkhabri hai jisey islaam ki hidaayat mili aur woh apni maamooli guzar auqaat par raazi raha.
farmaane NABAWI ﷺ hai ke jo shakhs ALLAH TA’ALA se maamooli rizq par raazi ho gaya ALLAH TA’ALA uske aamaal par raazi ho jaata hai , aur farmaaya jab ALLAH TA’ALA kisi bande se raazi ho jaata hai to usko aazmaaish mein daal deta hai agar woh sabr kare to ALLAH TA’ALA us bande ko pasand kar leta hai aur agar woh aazmaaish par raazi ho jaata to ALLAH TA’ALA usey (apne khaas bandon mein ) chun leta hai.
Farmaan e NABAWI ﷺ hai , jab qayamat ka din hoga ALLAH TA’ALA MERI ummat ke ek giroh ke par paida farmayega aur woh un paron se udh kar qabron se nikalte hi seedhe jannat mein jaa pahonchenge , woh jannat ki ne’maton se lutf-andoz honge aur jahaan chaahenge aaraam karenge , farishte unse kahenge kya tum hisaab dekh aaye ho ? woh kahenge ke hum ne hisaab nahi dekha , farishte poochenge kya tum pul siraat paar kar aaye ho ? woh kahenge hum ne siraat ko nahi dekha. farishte kahenge kya tumne jahannam ko dekha hai ? woh kahenge hum ne kisi cheez ko nahi dekha , tab farishte kahenge tum kiski ummat mein se ho ? woh kahenge hum MUHAMMAD (ﷺ) ki ummat hain , farishte kahenge hum tumhe ALLAH ki qasam dete hain yeh batao tum duniya mein kya amal kiya karte the ? woh kahenge ke hum mein do (2) aadatein thi jinhone hamein is manzil tak pahonchayaa hai aur ALLAH ka fazl wa rehmat hamaare shaamil e haal hai , farishte kahenge woh do aadatein kaunsi thi aur woh kahenge hum jab tanha hote to gunaah karte, hamein sharm aati thi che jaaike hum ailaanaayi gunaah karte aur hum ALLAH TA’ALA ke ataa karda maamooli rizq par raazi ho gaye the , farishte yeh sun kar kahenge , tab to tumhara yeh hi badla hona chaahiye tha.Hazrat isa alaihissalam par hawareen ka iman lana
HUZOOR ﷺ ne farmaya Aye giroh e fuqra ! Tum dil ki gehraaiyon se ALLAH ki ataa par raazi ho jao to apne faqr ka sawaab paa loge warna nahi.
MOOSA عليه السلام ke waaqiyaat mein hai ke BANI ISRAEL ne UNSE kaha ALLAH TA’ALA se hamare liye koi aisa amal daryaaft kijiye jiske sabab WOH humse raazi ho jaaye. MOOSA عليه السلام ne baargaah e ILAAHI mein arz ki AYE ALLAH TU ne inki guzaarish sun li, inhone kya kaha hai ? RAB TA’ALA ne farmaya AYE MOOSA ! unse keh do ke yeh MUJHSE raazi ho jaayein yaani MERE Diye huwe kam o besh par raazi ho jaayein , MAIN unse raazi ho jaunga.
Rahe sabr ke fazaail to RAB TA’ALA ne QURAN e MAJEED mein 90 se zyada maqaamaat par sabr ka zikr farmaya hai aur Aksar darjaat aur bhalaaiyyon ko sabr se mansoob kiya hai aur unhein sabr ka phal qaraar diya hai aur saabiron ke liye aise in’aamaat rakhe hai jo kisi aur ke liye nahi rakhe , chunaanche irshaade ILAAHI hai:
“UN logon par unke RAB ki taraf se durood hai aur rehmat hai aur yahi log hidaayat paane wale hai.”
Lihaaza saabit huwa ke hidaayat , rehmat aur salwaat teen cheezein saabireen ke liye makhsoos hain.
Choonke ismein tamaam aayaat e RABBANI ka laana naamumkin hai lihaaza is sey sirf nazar pherte huwe sirf chand Ahaadees darj ki jaati hai.MAZAMMAT E HAWAA E NAFS WA WASF E ZUHAD in
Farmane NABAWI ﷺ hai ke sabr aadha Imaan hai , mazeed farmaya ke thodi si woh cheez jo tumhe yaqeen aur pukhta sabr se mil jaaye aur jis shakhs ko unmein se kuch hissa marhamat kar diya jaaye us sey agar raat ki ibaadat aur din ke roze faut ho jaayein to koi parwaah nahi, ( waazeh rahe ke yahaan ibaadat aur rozon se muraad nafl ibaadat aur roze hai ) aur tumhara maamooli rizq par sabr karna MUJHE is baat se zyada pasand hai ke tum mein se har ek tamaam ke aamaal par kaarband ho kar aaye lekin MAIN tum par khauf karta hun ke MERE baad tum par duniya khol di jaayegi , pas tum ek doosre ko achcha naa samajhne lago aur is sabab se farishte tumhe achcha naa samajhne lage , jisne sabr kiya aur sawaab ki ummeed rakhi usne sawaab ke kamaal ko paa liya , phir AAPNE yeh aayat padhi :
“Jo kuch tumhare paas hai tamaam ho jaata hai aur jo kuch ALLAH ke yahaan hai baaqi rehnewala hai aur albatta HUM sabr karnewalon ko jazaa denge.”
HAZRATE JAABIR رضي الله عنه se marwi hai ke HUZOOR ﷺ se imaan ke muta’alliq poocha gaya, AAPNE farmaya imaan, sabr aur sakhaawat ka naam hai ,aur farmaaya sabr , jannat ke khazaanon mein se ek khazaana hai.
Ek martaba AAPSE daryaaft kiya gaya ke imaan kya hai? AAPNE farmaya sabr ! aur yeh baat HUZOOR ﷺ ke us farmaan ke misl hai jis mein HUZOOR ﷺ se daryaaft kiya gaya tha ke Hajj kya hai ? to AAPNE farmaya ‘wuqoof e arfaa’ , yaani ahem rukne wuqoof e arfaat hai.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke sabse oomda amal woh hai jisey nafs bura samajhta hai.
Marwi hai ke ALLAH TA’ALA ne HAZRATE DAWOOD عليه السلام ko Wahi farmaayi ke MERE akhlaaq jaise apne akhlaaq banao aur MERE akhlaaq mein se yeh hai ke MAIN SABR karnewala hun.
ATAA’ رضي الله عنه ne IBNE ABBAS رضي الله عنهما se riwaayat ki hai ke HUZOOR ﷺ jab Ansaar mein tashreef laaye to farmaaya kya tum Momin ho ? WOH chup rahe , HAZRATE UMAR رضي الله عنه bole, haan YAA RASOOLALLAH ﷺ !AAPNE farmaya TUMHARE imaan ki alaamat kya hai ? UNHONE ne arz ki, hum faraakh-dasti mein ALLAH ka shukr adaa karte hai, masaaib mein sabr karte hai aur qaza e ILAAHI par raazi rehte hai, AAPNE yeh sunkar farmaya RABBE KAABA ki qasam tum momin ho.
Leave A Comment