BAAB  52 Mukashifatul Quloob
GUNAAHON SE KHAUFZADA HONE KI FAZEELAT :
 
Yeh baat achchi tarah zahen nasheen kar lijiye ke gunaahon se mutanabbeh karnewaali baaton mein khauf e ILAAHI, Uske inteqaam ka andesha , Uski haibat aur shaan o shaukat, Uske azaab ka darr aur uski giraft bohot numaaya haisiyat rakhti hai.
Farmane ILAAHI hai ke :
"Jo log ALLAH TA'ALA ke ahkaamaat ki mukhaalifat karte hai woh is amr se darein ke unhein fitnaa yaa dardnaak azaab pohonche."
Marwi hai ke HUZOOR ﷺ ek jawaan ke paas tashreef laaye jo nazaa' ke aalam mein tha, AAPNE farmaya apne aap ko kis aalam mein paate ho ? Arz kiya YAA RASOOLALLAH ! main ALLAH ki rehmat ka ummeedwaar hun aur apne gunaahon se khaufzada hun. HUZOOR ﷺ ne yeh sun kar farmaya ke kisi bande ke dil mein aisi do baatein jamaa nahi hoti magar ALLAH TA'ALA us bande ki ummeed poori kar deta hai aur gunaahon ke khauf se usey be-niyaaz kar deta hai.
 
Wahab ibnulwarad se marwi hai, Hazrat e ISAA عليه السلام farmaya karte the ke Jannat ki mohabbat aur Jahannam kar darr museebat ke waqt sabr deta hai, aur yeh do cheezein dunyawi lazzaton, khwaahishaat aur Naafarmaaniyon se door kar deti hai.
Janaabe Hasan رضي الله عنه ka qaul hai, Ba-Khuda tum se pehle aise log ho guzre hain jo gunaahon ko itna azeem samajhte the ki woh be-had wa be-hisaab sone chaandi ki bakhshishon ko bhi apne ek gunaah se najaat ka zariya nahi samajhte the.
 
Farmane NABAWI ﷺ hai ke jo kuch MAIN sunta hun , kya tum sunte ho ? aasmaan charcharaata hai aur uska haq hai ke woh charcharaaye , RABB E ZULJALAAL ki qasam aasmaan mein chaar angul jagah nahi hai ,  jis mein farishta baargaah e ILAAHI mein sajda rez , qiyaam karne wala ya ruku karne wala na ho , jo kuch MAIN jaanta hun agar tum jaante to kam hanste aur zyada rote aur nikal jaate ya pahaadon par chadh jaate aur ALLAH TA'ALA  ke shadeed inteqaam aur haibat wa jalaal ke khauf se ALLAH TA'ALA  ki panaah dhoondte.
Ek riwaayat me JANAAB BAQR BIN ABDULLAH MAZNI رحمت لله عليه ka qaul hai jo log hanste huwe gunaah karte hain woh rote huwe jahannam mein jaayenge.
 
 
Hadees shareef mein hai ke agar momin ALLAH TA'ALA ke taiyyaar karda tamaam azaabon ko jaanta to kabhi bhi jahannam se bekhauf na hota.
Sahiheen mein hai , jab yeh aayat naazil hui :
"Aur apne qareebi rishtedaaron ko daraa"
To AAP khade ho gaye aur farmaaya aye giroh e quraiysh ! ALLAH TA'ALA  se apne nafson ko khareed lo , MAIN tumhein ALLAH TA'ALA  ke muaamlaat mein kisi cheez se beparwaah nahi karunga , Aye BANI ABDE MANAAF  (HUZOOR ﷺ ke rishtedaar ) MAIN tumhein ahkaam e KHUDAWANDI mein se kisi cheez se beparwaah nahi karunga ! Aye ABBAS ! (RASOOL E KHUDA ﷺ ke chacha ) MAIN AAPKO ALLAH TA'ALA ke azaab se kisi cheez se beparwaah nahi karunga , Aye SAFIYA ! (RASOOL E KHUDA ﷺ ki phupi) MAIN TUMKO ALLAH ke saamne kisi cheez se beparwaah nahi karunga . Aye FATIMA  ! (HUZOOR ﷺ ki beti ) MERE maal se jo chaahe maang lo magar MAIN ALLAH ke saamne TUMHE kisi cheez se beparwaah nahi karunga.
 
 
HAZRAT E AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنها ne yeh aayat padhi  :
"Aur jo log ALLAH ki ataa karda cheezon se dete hain aur unke dil is baat se darte hain ke woh ALLAH TA'ALA ki taraf lautne wale hain."
aur poocha YAA RASOOLALLAH ! kya yeh woh shakhs hai jo zina karta hai , chori karta hai , sharaab peeta hai magar khauf e KHUDA bhi rakhta hai ? AAPNE  farmaaya aye ABUBAKR  ki beti ! aisa nahi hai balke is se muraad woh shakhs hai jo namaaz padhta hai ,roza rakhta hai , sadqa deta hai magar is baat se darta hai ke kahin woh na-maqbool na ho , ise Ahmed ne riwaayat kiya hai.
JANAB E HASAN BASRI رضي الله عنه se kaha gaya , Aye ABU SAEED ! TUMHARI kya raai hai , hum aise logon ki majlis mein baith-te hain jo hamein rehmate KHUDAWANDI se ummeedein waabasta rakhne ki aisi baatein sunaate hain ke hamaare dil khushi se udne lagte hain , AAPNE farmaya baKhuda tum agar aisi qaum mein baith-te jo tumhe khauf e KHUDA ki baatein sunaate aur tumko azaab e ILAAHI se daraate yahan tak ke tum aman paa lo woh tumhare liye behtar hai us cheez se ke tum aise logon mein baitho jo tumko bekhaufi aur ummeed mein rakhe yahan tak ke tumko khauf aa ghere.
 
 
FAROOQ E AAZAM AUR KHASHIYYAT E ILAAHI :
 
HAZRAT E FAROOQ E AAZAM UMAR BIN KHATTAAB رضي الله عنه ko jab neze se zakhmi kar diya gaya aur UNKI wafaat ka waqt qareeb aaya to UNHONE apne bete se kaha bete ! Mera chehra zameen par rakh do afsos aur shadeed afsos ! agar ALLAH ne MUJH par rehem na farmaaya.
HAZRAT E IBN E ABBAS رضي الله عنهما ne kaha AMEERUL MOMINEEN ! AAPKO kis cheez ka khauf hai ? ALLAH TA'ALA ne aapke haath se futoohaat karaaye , shehar aabaad karaaye , UNHONE kaha MAIN is baat ko pasand karta hun ke Mujhe baraabar hi mein chhord diya jaaye yaani na nuksaan aur na nafaa diya jaaye.
HAZRAT E ZAINUL AABIDEEN BIN ALI BIN HASAN رضي الله عنهم jab wuzu se faarig hote to kaanpne lag jaate , logon ne sabab poocha to AAPNE farmaya tum par afsos hai , tumhe pata nahi Main KISKI baargaah mein jaa raha hun aur KIS se munajaat ka iraada kar raha hun.
HAZRAT E AHMED BIN HAMBAL رضي الله عنه ne farmaya khauf e KHUDA ne mujhe khaane peene se rok diya , ab mujhe khaane peene ki khwahishaat nahi hoti.
Sahiheen ki riwaayat hai , HUZOOR ﷺ  ne un saat aadmiyon ka zikr kiya ke jis din koi saaya nahi hoga to unhe Apne arsh ke saaye mein jagah dega , un mein se ek woh aadmi hai jisne tanhaayi mein ALLAH TA'ALA ke azaab aur wa'eed ko yaad kiya aur apne kusoor yaad karke khauf e ILAAHI se uski aankhon se aansu beh nikle aur khauf e ILAAHI ki wajah se woh na-farmaani aur gunaahon se kinaara-kash ho gaya.
 
 
AZAAB E JAHANNAM SE MEHFOOZ DO AANKHEIN
:
 
HAZRAT E IBN E ABBAS رضي الله عنهما se marwi hai , HUZOOR ﷺ ne farmaaya do aankhein aisi hai jinhe aag nahi chuegi , ek woh aankh jo aadhi raat mein ALLAH ke khauf se royi aur doosri woh aankh jisne raah e KHUDA mein nigehbaani karte huwe raat guzaari .
HAZRAT E ABU HURAIRA رضي الله عنه se marwi hai , HUZOOR ﷺ ne farmaya qayamat ke din har woh aankh roegi magar jo aankh ALLAH ki haraam karda cheezon se ruk gayi , jo aankh raah e KHUDA mein bedaar rahi aur jis aankh se khauf e ILAAHI ki wajah se makkhi ke sar ke baraabar aansu nikla woh rone se mehfooz rahegi.
 
 
KHAUF E ILAAHI SE RONEWALA JAHANNAM SE AAZAAD HAI :
 
 
Tirmizi ne Hasan aur Saheeh keh kar HAZRATE ABU HURAIRA رضي الله عنه se riwaayat ki hai ke RASOOL E KHUDA  ﷺ ne farmaya woh shakhs jahannam mein hargiz daakhil nahi hoga jo ALLAH ke khauf se roya yahan tak ke doodh dobaara than mein laut aaye aur raahe KHUDA ka gubaar aur dhuwaan ek jagah nahi honge.
HAZRATE ABDULLAH BIN AMAR BIN AL-AAS رضي الله عنه ka qaul hai ke hazaar dinaar raahe KHUDA mein kharch karne se MUJHE khauf e KHUDA se ek aansoo bahaa lena zyada pasand hai.
JANAAB E  AWN BIN ABDULLAH رضي الله عنه kehte hai ,MUJHE ye riwaayat mili hai ke insaan ke khauf e KHUDA se behnewale aansoo insaan ke jism ke jis hisse par lagte hai, us hisse ko ALLAH TA'ALA jahannam par haraam kar deta hai aur HUZOOR ﷺ ka Seena e Anwar rone ki wajah se aise josh maarta tha jaise haandi ubalti aur josh maarti hai ( yaani jaise bhadakti aag par haandi josh maarti hai ).
Kindi ka qaul hai ke khauf e KHUDA se ronewale ka ek aansoo samandaron jaisi taweel wa areez aag ko bujha deta hai.
 
IBNE SIMAAK KI APNE NAFS KO SARZANISH :
 
JANAAB E IBNE SIMAAK رحمت لله عليه apne nafs ko sarzanish karte aur farmate ke kehne ko tu zaahidon jaisi baatein karte ho aur amal munaafiqon jaisa karte ho aur is kaj-rawi ke bawajood Jannat mein jaane ka sawaal karte ho , door ho ! Janaat ke liye doosre log hai jinke aamaal HAMARE aamaal se qatayi mukhtalif hain.
 
 
HAZRATE JAAFAR KI NASEEHATEIN :
 
HAZRATE SUFIYAAN SAURI رضي الله عنه kehte hai ke HAZRATE JAAFAR SAADIQ رضي الله عنه ki khidmat mein Main haazir huwa ! Aur arz ki aye RASOOL e KHUDA ﷺ ke lakhte jigar ! Mujhe waseeyat kijiye ! AAPNE farmaya SUFIYAAN , jhoote mein murawwat nahi hoti, haasid mein khushi nahi hoti , gamgeen mein bhai-chaara nahi hota aur bad-khulq ke liye sardaaari nahi hoti. MAINE kaha aye RASOOL e KHUDA ke farzand ! Kuch aur naseehat farmaiyye ! AAPNE farmaya aye SUFIYAN !  ALLAH TA'ALA ki manaa kardah cheezon se ruk jaa to aabid hoga , ALLAH ki taqseem par raazi ho to musalmaan hoga, jaisi tum logon se dosti chaahte ho tum bhi unke saath waisi dosti rakho, tab tum momin honge, buron se dosti naa rakh warnaa tu bhi bure amal karne lagega, chunaanche Hadees mein hai ke aadmi apne dost ke tareeqe par hota hai ,tum yeh dekho ke tumhari dosti kis se hai aur apne kaamon mein un logon se mashwara lo jo khauf e KHUDA rakhte ho, MAINE arz kiya aye RASOOL e KHUDA ke farzand ! kuch aur naseehat kijiye ! AAPNE farmaya jo bagair qabile ke izzat aur bagair hukumat ke haibat chaahe usey chaahiye ke KHUDA ki naafarmaani ki zillat se nikalkar ALLAH ki farmabardaari mein aa jaaye.
MAINE kaha aye RASOOL e KHUDA ke farzand ! Kuch aur naseehat farmaiyye ! AAPNE farmaya MUJHE mere waalid ne teen behtareen adab ki baatein sikhlaayi aur farmaya aye bete ! Jo buron ki sohbat ikhtiyaar karta hai , salaamat nahi rehta , jo buri jagah jaata hai muttahim (badnaam) hota hai aur jo apni zabaan ki hifaazat nahi karta sharmindagi uthaata hai.
 
 
IBNE MUBARAK رضي الله عنه ka kehna hai ke MAINE WUHEEB BIN WARAD رضي الله عنه se poocha ke jo shakhs ALLAH ki naafarmaani karta hai , kya woh ibaadat ka mazaa paata hai ? Unhone kaha nahi aur maasiyat ka iraada karnewala bhi nahi.
IMAAM ABUL FARJ BIN JAUZI رحمت لله عليه ka qaul hai ke khauf khwahishaate nafsaani ko jalaanewali aag hai , jis qadar ye aag shahwaat ko jalaayegi aur gunaahon se rokegi , us qadar ye behtareen hogi, isi tarah jis qadar ye khauf ibaadat par bura nateejaa karega usi qadar ye behtareen hoga aur khauf saahib e izzat kaise nahi hoga ,isi se hi to Paak Daamani , Taqwaa , Parhezgaari, Mujaahidaat aur aise umdaah aamaal ka zuhoor hota hai, jinse ALLAH TA'ALA ka qurb haasil hota hai jaisa ke Aayaton wa Ahaadees se saabit hota hai chunaanche irshaad e ILAAHI hai :
"Un logon ke liye hidaayat aur rehmat hai jo apne RAB se darte hai."
 
 
Aur farmane ILAAHI hai :
 
"ALLAH unse raazi aur woh ALLAH se raazi huwe"
ye uske liye hai jo apne RAB se daraa.
 
Nez farmane ILAAHI hai :
 
"Aur MUJHSE daro agar tum imaandaar ho."
 
Mazeed irshaad hua :
 
"Aur jo shakhs apne parwardigaar ke aage khade hone se darta hai ,uske liye do jannatein hai."
 
Aur irshaad farmaya.:
 
"Albatta naseehat haasil karega jo shakhs darta hai."
 
Farmane ILAAHI hai :
 
"Siwaaye iske nahi ke ALLAH ke bandon mein se aalim darte hai."
Aur har woh aayat yaa hadees jo ilm ki fazeelat par dalaalat karti hai woh khauf ki fazeelat par bhi dalaalat karti hai kyunki khauf ilm hi ka samra (phal ) hai.
 
 
IBNE ABI ALDUNIYA ki riwaayat hai, HUZOOR ﷺ ne farmaya jab khauf e KHUDA se bande ka jism kaanpta hai aur uske raungte khade ho jaate hai to uske gunaah aise jhadte hai jaise sookhe darakht se patte jhadte hai.
HUZOOR ﷺ ne farmaya ALLAH TA'ALA farmata hai
"MUJHE izzat wa jalaal ki qasam ! MAIN APNE bande par do khauf aur do aman jama nahi karta , agar woh duniya mein MUJHSE aman mein (bekhauf ) hota hai to MAIN qayamat ke din khaufzada karunga aur agar duniya mein woh MUJHSE darta hai to MAIN use qayamat ke din bekhauf karunga."
ABU SULAIMAAN DURRAANI رحمت لله عليه ka qaul hai ke har woh dil jismein khauf e KHUDA nahi hai, veerana hai,
aur farmane ILAAHI hai :
"Pas KHUDA ki tadbeer se bekhauf nahi hote hai magar khasaara paanewali qaum hi bekhauf hoti hai."