firon history in hindi and hazrat musa alahissalam PART 12Imaan Chhupane waale Shaksh ne kaha :-*Quraane Kareem me he ki
“Aur Bola Firoun Waalo me se Ek Mard Musalmaan ki Apne Imaan ko Chhupata tha Kya Ek Mard ko Ispar Maar Daalte ho ki Wah kehta hei Meira Rabb ALLAH hei Aur Beshak Wah Roushan Nishaaniya Tumhaare Paas Tumhaare RABB ki Taraf se Laaye Aur Agar Farz karo wo Galat Kehte hei to Unki Galat Goi ka Wabaal Unpar Aur Agar wo Sacche he to Tumhe Pahunch Jaayega Kuchh Wah Jiska Tumhe Wada deite he Beshak ALLAH Raah nahi deita Use Jo Hadd se Badhne waala Bada Jhuta ho, Ay Meiri Qoum Aaj Baadshahi Tumhaari he Is Zamin me Galba Rakhte ho to ALLAH ke Azaab se Hame Koun Bacha Lega Agar Ham par Aaye Firoun Bola Mei to Tumhe Wahi Samjhata hu Jo Meiri Sujh he Aur Mei to Tumhe Wahi Batata hu Jo Bhalaai ki Raah hei”
(Surah Al Momin, Aayat-28, 29)


Qibti Qoum ka Ek Shaksh Hazrat Musaa Alayhis Salaam par Imaan La Chuka tha Lekin Usne Apni Qoum ko Apne Imaan se Aaagaah nahi kiya tha, Usne Jab Soona ki Firoun Apne Hawaariyo se Mil kar Musaa Alayhis Salaam ko Qatl karne ka Mansuba Bana Raha he to Usne Unko Us Iraade se Baaz Aane ki Talqeen Shuru’a ki, Pehle to Unhe Jhadka ki Tum Musaa Alayhis Salaam ke Darpe Aaazar kyu ho..?? Usne Konsi Qaanun-Shikni(Qaanun Toda) he…?? Mahaz Is Liye Tum Use Qatl karna Chahte ho ki wo kehta he ki Meira Parwardigaar ALLAH TA’ALA he…? Aur Usne Apne Aqeede ki Haqqaaniyat Dalaail wa Mo’ajizaat se Saabit kardi he, Tumhaara Ma’ashara(Community) to Bada Taraqqi Yaafta he, Tum Uske Zaati Aqeede me Dakhal deite ho..?? Usko Uske Haal par Chhod do, Agar Bil-farz wo Galat Keh Raha he to Khud hi Anjaam ko Pahunch Jaayega, Hame Apne Haath Uske Lahu se Shurkh(Laal/Red) karne ki Kya Zarurat he..??
Agar Musaa Alayhis Salaam (Nauzobillah) Jhute he to KHUDA Hadd se Badhane wale se Khud Nipat leiga Aur Agar wo Saccha he Aur Hamne Use Qatl kar Diya to Yaad rakho KHUDA ka Gazab Joush me Aayega Aur Aysh wa Ishrat Ulat Jaayega, Is liye Maslehat ka Yahi Taqaaza he ki Ham Musaa Alayhis Salaam ko Na Chhedenge, Usko Apne Haal par Chhod de Aur Hosh Kho kar Koi Aysi Galti Na kar Beithe ki KHUDA ke Azaab me Yu Giraftaar ho jaaye ki Bach kar Nikalne ki Fir Koi Surat Na rahe,
Iske Jawaab me Firoun ne Apni Qoum se kaha ki Meine Tumhe Jo Mashwara Diya he Meire Nazdik wo Durust he Aur Mei Tumhe Is Raah par Gaamezan karna Chaahta hu Jis me Tumhaari Bhalaai he.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-415, 416)


.*>> Imaan Chhupaane waale Shaksh(Mard e Momin) ka Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ka Zikr Karna :-*

Quraane Azeem me he ki
“Aur Beshak Isse Pehle Tumhaare Paas Yusuf(Alayhis Salaam) Roushan Nishaaniya Lekar Aaye to Tum Unke Laaye Hue se Shak hi me rahe Yaha Tak ki Jab Unhone Intiqaal Farmaya Tum Bole Hargiz Ab ALLAH Koi Rasool Na Bheijega ALLAH Yu hi Gumraah karta he Use Jo Had se Badhne Wala Shak Laane Wala he, wo Jo ALLAH ki Aayato me Jhagda karte he Be Kisi Sanad ke ki Unhe Mili ho Kis Qadr Shakht Bezaari ki Baat he ALLAH ke Nazdik Aur Imaan Waalo ke Nazdik ALLAH Yuhi Muhar kar deita he Muta’akbbir Sarkash ke Saare Dil par”
(Surah Al Momin, Aayat-34, 35)

(Imaan Chhupaane Wale(Marde Momin) ki Baat me) Pehle Jin Qoumo ka Zikr huwa wo Door-daraaz Ilaaqo me Basne Waali thi, Ab Us NABI Aur Uske Munkiren ka Zikr ho Raha he Jo Kuchh Arshe Pehle Isi Mulk ke Rehne waale the, Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Naam se Kon Aysa Misri tha Jo Waaqif na tha..? Unka Dour E Hukumat Misr ki Taarikho me Bahot Door na tha Jab Har Taraf Adl wa Inshaaf ka Noor Baras raha tha, Qanoon Qaayam tha, Garibo Aur Mafluk-Alhaal Lougo ki Is Tarah Dil Daari ki Jaati thi ki Subhan Allah…  Us Shadeed Qahat se Unhe Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Husn e Intezaam ke Baais Panaah Mili thi, Us Nabi ke Saath Uski Qoum ne Jo Bartaav kiya tha wo Mard e Momin Uska Zikr Farma kar Unhe(Firouniyo ko) Tanbia(Warning) kar Raha he ki Be-Daag Seerat Unke Adl Nizaame Hukumat ko Apni Aankho se dekh leine ke Bawajood Unko NABI Maanne ke liye Taiyyar Na hue, Balki Unki Sari Umr Isi me Guzar gayi ki ye NABI he ki nahi..?
Qatai Aur Yaqini Dalaail ke Bawajood Shak ki Waadiyo me Bhatakte Bhatakte Umr Guzaar di Aur Jab wo Wisaal Farma gaye to fir Afsos karne lage Aur kehne lage Aysi Hasti Ab Dobara Peida nahi hogi, Unke Baad Koi NABI nahi Aayega,

Pehle Hidaayat se Mehrum rahe Ab ho Sakta to Koi Dusra NABI Tashreef Laaye to Ye Apni Guzishta(Pichhli) Gaflat Aur Kotaahi ki Talaafi karle.



(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-417)

Mard e Momin ne Firouniyo ko Samjha ne ki Koshis ki ke Be-Daleel Baat Tumne Ya’ani Tumhaare Pehlo ne Khud gadhi Taaki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Baad Aane Waale Nabiyo ko Jhutlaao Aur Unka Inkaar karo to Tum Kufr par Qaayam rahe, Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Nabuwwat me Shak karte rahe Aur Baad Waalo ki Nabuwwat ke Inkaar ke liye Tumne Yah Mansuba(Plan) Banaya ki Ab ALLAH TA’ALA Koi Rasool hi Na Bheijega.