Bukhar ka elaj bukhar ka taweez naqshye taweez bukhar wale ko pilae or likh kar bandhe.
Tawizat likhne me bhi chand sharte hoti he us ka khyal zarur rakhe ager ye sharait nahi he to kisi amel ya kisi nek shakhsh se likhwae warna aksar taweez to kai log likh lete he magar asar nahi ho ta is ki wajah yahi hoti he k is k bare me koi ilm nahi hota or nahi sharait malum hote he.
In baato ko dhyan me rakh kar taweez likha jae to inshaallah zarur wo taweez kargar sabit hoga.
1)sab se pehle amaliyat ki sharto ko parhle jo hamne likhi he ye amel hazrat k liye bahut zaruri he lekin kuchh sharte bhi paai jae to taweez likh sakta he
2) sabse pehle faraiz ka paband ho namaz roza hajj zakat adaa karta ho.
3)fasiq na ho darhi wala ho
4)jis taweez ko likhna ho us ki kisi amel ya piro murshid se ijazat lele agar ijazat ho k koi bhi taweez likh sakta ho to alag se ijazat ki zarurat nahi.
5) kagaz or pen khud k zaati rupyo ka ho kisi or ka na ho
6)kagaz or qalam paak saaf rahe
7) taweez ko jaha tak mumkin ho wuzu k saath likhe.
8)mumkin ho to mushk ot zafran se likhne warna koi bhi paak siyahi wa qalam se likh sakta he.
9)taweez likhne me sa at ka khyal rakhe ko tawiz nek sa at me to koibbad me likha jata he is ka ilm bhi hasil zarur karle.
10)hamesha taweez likhna sidi taraf se hi shuru kate baae yani ulti taraf se shuru na kare.
11) ho sake to to tawiz likhte waqt durood shareef parhte rahe.