Bani israeel Par Allah Ka Gazab bani israel history in hindi 15 hazrat musa alaihissalam ki qom bani israeel par azab iske Baad Un par Qummal ka Azaab Aaya, Qammal se Muraad Ghan ya Jue ya Koi Chhota sa Kida he, Us Kide ne Jo Khetiya Aur Fal Baaki Bache wo Kha liye, Kapdo me Ghus jata tha Aur Khaal(Chamdi) ko Kaat-ta tha, Khaane me Bhar jata tha, Agar Koi 10 Bori Genhu Chakki par le jata to 3 Seir Waapis lata Baaqi Sab Kide Kha Jaate, ye Kide Firouniyo ke Baal, Bhanve, Palke Chaat Gaye, Jism par Chenchak ki Tarah Aable Padhte Fir Nishaan Pad Jaate, Sona Dushwaar kar Diya tha, Is Musibat se Firouni Chikh Padhe Aur Unhone Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Arz kiya Ham Touba karte he, Aap Is Balaa ke Dafa hone ki Duaa Farmaaiye, Aap Alayhis Salaam ki Duaa se ALLAH TA’ALA ne Unki Is Musibat ko Bhi 7 Roz(Din) ke Baad Door Farmaaya, Lekin Firouniyo ne Fir Wa’ada Tod Diya Aur Imaan Na Laaye Balki Pehle se Zyada Bure Aamaal Shuru kar diye Ek Maah Unka Fir Aaaram se Guzar gaya,Fir ALLAH TA’ALA ne Unpar “Meinda
bani israel history, History of bani Israel in Urdu Hindi
k (Frog)” Bheije Aur Ye Haal ki Aaadmi Beithta tha to Uski Majlis me Meindak Bhar Jate the, Baat karne ke liye Moonh Kholta to Meindak kud kar Moonh me Daakhil ho jata, Haandiyo me Meindak, Khane me Meindak Aur Chulho me Meindak Bhar Jate the (Jis se) Aaag Bujh Jaati thi, Leit-te to Meindak Upar Sawaar ho Jaate the, Is Musibat se Firouni Ro Padhe Aur Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Arz ki Is Dafa Ham Pakka Wa’ada karte he ki Touba Karenge Imaan Laayenge, Aap Duaa Kare ye Musibat Hamse Tal jaaye, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Unse Ahad le kar Fir Duaa Farmaayi 7 Roz(Din) ye Azaab bhi Un par Raha Aakhir Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Duaa se ye Bhi Door huwa, 1 Maah(Mahina) Unka Fir Aman wa Aafiyat me Guzar gaya Lekin Unhone Fir Wa’ada Tod Diya Aur Apne Kufr par Bar-qaraar rahe,
Fir ALLAH TA’ALA ne Unpar Khun ka Azaab Naazil kiya Unke Tamaam Kunwo ka Paani Neharo Aur Chashmo ka Paani Darya E Neel ka Paani Yaha tak ki Unke liye Har Paani Taaza Khun Ban gaya, Unhone Firoun se Iski Shikaayat ki to kehna laga ki Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Apne Jaadu se Tumhaari Nazar-Bandi ki he, Unhone kaha Nazar-Bandi keise Hamaare Bartano me Khun ke Siwaa Paani ka Naam wa Nishaan hi nahi to Usne Hukm Diya ki Qibti Aur Bani Israaeel Ek hi Bartan se Paani liya Kare, Lekin Iska bhi Unhe Koi Faayda Na huwa, Bani Israaeel Jab Nikaalte to Paani hi Nikalta Lekin Jab Isi Bartan se Qibti Nikaalte to Khun Nikalta, Yaha Tak ki Firouni Aurate Pyaas se Aajiz ho kar Bani Israaeel ki Aurato ke Paas Aayi Aur Unse Paani Maanga to Wo Paani Unke Bartan me Aate hi Khun ho gaya To Firouni Aurate Kehne lagi ki Paani Apne Moonh me le kar Meire Moonh me Daal de, Jab tak wo Paani Israaeeli Aurat ke Moonh me Raha Paani tha Aur Jab Firouni Aurat ke Moonh me Aaya Khun Ban gaya, Firoun ka Pyaas ki Siddat ki Wajah se Bura Haal tha, Darakhto ka Ras Chus Raha tha, wo Bhi Moonh me Pahonchte hi Khun Ban jata, Fir Is Musibat se Tang Aakar Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Duaa ki Darkhwaast ki Aur Imaan Laane ka Wa’ada Farmaya, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Duaa ki, Is Tarah ye Azaab bhi 7 Roz(Din) Rehne ke Baad Khatm ho gaya Magar ye Loug Fir Bhi Imaan Na Laaye, Inke Baar Baar Imaan Laane ke Daawe Aur Musibat Uth Jaane par Wa’ade ko Todne ka Zikr Is Aayat me kiya gaya(Jo Uper Peish ki gayi he),
Unpar Tamaam Azaab Ek Ek Hafta rahe Jab bhi Koi Azaab Aata Hazrat Musaa Alayhis Salaam se Imaan Laane ka Wa’ada karte ki Tum Duaa karo ki Agar ye Azaab Hamse Utha liya Jaaye to Ham Imaan Le Aayenge, Azaab Jab Utha liya Jata Fir Wa’ada Tod deite Ek Mahina Unka Aaram se Guzar jata Fir Dusre Azaab me Mubtila ho Jaate Har Baar Unhone Imaan Laane ka Wa’ada kiya Lekin Tod diya.
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-422, 423, 424)
ALLAHU AKBER..
Jaha Azaab Naazil kiya gaya Waha Bani Israaeel bhi the Aur Firouni(Qibti) bhi the, Magar Ye ALLAH RABBUL IJJAT ki Shaan he ki Azaab Sirf Firouni (Qibtiyo) par hi Naazil hota…
Beshak ALLAH TA’ALA Har Chiz par Qaadir he..
Aur Uska Fazl he ki Hame Duniya ki Sabse Badi Doulat “Imaan” Nasib Farmaaya..
Beshak Uska Jitna Shukr kiya Jaaye Utna Kam he..
*>> Bani Israaeel ko Misr se le jaane ka Hukm :-
Quraane Kareem me ALLAH TA’ALA Irshaad Farmata he
“Aur Beshak Hamne Musaa ko Wahi ki Raato Raat Meire Bando ko le Chal Aur Unke liye Dariya me Shukha Raasta Nikaal de Tujhe Dar Na hoga Ki Firoun Aa le Aur Na Khatra”
(Surah Taahaa, Aayat-77)
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko RABB TA’ALA ne Hukm Diya ki Bani Israaeel ko Raat me Misr se Nikaal kar le Jaao Yaani Ab Bani Israaeel ki Najaat Aur Firoun Aur Uski Qoum ki Tabaahi ka Waqt Aa Chuka he,
Raat ko Nikalne ka Hukm Diya Taaki Bani Israaeel ka Ijtemaa E Dushman ka Saamna Na ho Aur wo Unki Muraad ki Takmil me Maan’e Na Bane, Raat ko Nikaalne ki Dusri Wajah ye Bhi thi ki Firoun Aur Uska Lashkaraan Unka Pichha karke Unko Rouk Na Sake Aur Firoun ke Azeem Lashkar ko Deikh kar Bani Israaeel Khouf Na Kare, Chaandani Raat me Hazrat Musaa Alayhis Salaam Apni Qoum ko Saath Lekar Chale, Bani Israaeel ke Paas Kaafi Miqdaar me Sone(Gold) Aur Chandi(Silver) ke Zeivraat bhi the Jo Unhone Qibtiyo se Maang kar liye hue the ki Ham Unhe Apni Eid me Istemaal Karenge, wo Pehle bhi Unse Zeivraat leite rehte the,
Jab Hazrat Musaa Alayhis Salaam Apni Qoum ko Saath le kar Chale to Raasta Bhul gaye, Is par Heiraangi se Ek Dusre se Puchhne lage ye Kya huwa…??
Kuchh Lougo ko Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Wasiyat ka Ilm tha to Unhone kaha ki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ne Apni Wafa’at ke Waqt Hamaare Aaba wa Ajdaad (Baap-Daada) se Pukhta Wa’ada liya tha ki Misr se Nikalte Waqt Meira Taabut Zarur Saath le Jana, Hamaare Bhul ne ki Yahi Wajah ho Sakti he, Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Farmaya Tum me se Kon he Jo Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Qabr ko Janta he..?? Unhone Bataya ki Ham me se Ek Budhi Aurat ke Bageir Koi Bhi Nahi Jaanta ki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Qabr Kis Jagah par he,
Hazrat Musaa Alayhis Salaam ne Us Aurat ko Bula kar kaha ki Tum Bataao ki Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ki Qabr kaha he..?
Usne kaha Mei Us Waqt tak Nahi Bataaungi Jab tak Meiri Ek Shart Na Puri karo, Aap Alayhis Salaam ne Puchha wo Kya he…?
Usne kaha Meiri Sirf ye Khwaaish he ki Mei Jannat me Aap ke Saath rahu, Musaa Alayhis Salaam Kuchh Soch me Pade to ALLAH TA’ALA ne Aap ki Taraf Wahi Naazil ki ke Ay Musaa Us se Wa’ada karlo, Aap Alayhis Salaam ne kaha Thik he Tumhaari Darkhwaast Manzur he, Hazrat Musaa Alayhis Salaam Jab Us Aurat ke Saath Chale to Usne Qabr ki Nishaan-dehi ki, Jab Hazrat Yusuf Alayhis Salaam ke Taabut ko Nikala gaya to Andheri Raat Roushan ho gayi, Is Tarah Unhe Raasta Mil gaya.
(Tafseere Kabeer, Jild-12, Safa-12)
(Tafseere Ibne Kaseer, Jild-3, Safa-335)
(Tazkiratul Ambiya Alayhis Salaam, Safa-425, 426)musa
Leave A Comment