hadis nabi alaihissalam biwi ke huqooq shohar par in hindi
BAAB 94 Mukashifatul Quloob
Biwiyo ke shoharon par bohot saare huqooq hai, unmein se ek yeh bhi hai ke woh un sey husne sulook se pesh aaye, unki aql ki kamzori ko madde nazar rakhte huwe unse
meherbaani ka sulook karein aur unke dukh-dard ko door karein aur ALLAH TA’ALA ne unke huqooq ki azmat mein farmaya hai ;
“Aur Liya hai unhone tumse qaul e mustahkam”
aur mazeed farmaya ke,
“Aur karwat ke saathi par ”
kaha gaya hai ke is saathi se muraad aurat hai.
HUZOOR ﷺ ne in teenon baaton ki us waqt waseeyat farmayi jabke AAPKI zabaan e aqdas wisaal shareef ke waqt ladkhada rahi thi aur kalaam e Anwar mein halkaapan paidaish ho chala tha. AAPNE farmaya namaaz, namaaz aur woh tumhare haath jinke maalik huwe unhein woh takleef na do jiske bardaasht karne ki woh taaqat nahi rakhte, auraton ke muta’alliq ALLAH TA’ALA se Daron, ALLAH se daro, woh tumhare haathon mein qaid hai , yaani woh aisi qaidi hai jinhein tum ne ALLAH TA’ALA ki amaanat ke taur par liya hai aur ALLAH ke kalaam se unki sharmgaahein tum par halaal kar di gayi hai.
HUZOOR ﷺ ka irshaad hai ke jis shakhs ne apni biwi ki bad-khulqi par sabr kiya ALLAH TA’ALA usey masaaib par HAZRATE AIYYUB عليه السلام ke sabr ke ajr ke baraabar ajr dega aur jis aurat ne khaawind ki bad-khulqi par sabr kiya ALLAH TA’ALA usey firaun ki biwi AASIYA ke sawaab ke misl sawaab ataa farmayega.
Biwi se husne sulook yeh nahi ke uski takaaleef ko door kiya jaaye balki har aisi cheez ko us sey door karna bhi shaamil hai jis sey takleef pohonchne ka khadsha ho aur uske gussa aur naaraazgi ke waqt hilm ka muzaahira karna aur is muaamle mein HUZOOR ﷺ ke uswa e hasna ko madde nazar rakhna, HUZOOR ﷺ ki baaz azwaaj e mutahraat AAPKI baat ko ( ba-taqaaza e qudrat) (sooratan) naa bhi maanti aur UNMEIN se koi ek , raat tak guftagu naa kiya karti thi magar AAP UNSE husne sulook hi se pesh aaya karte the.
Ek martaba HAZRATE UMAR رضي الله عنه ki biwi ne AAPKI baat ko naa maana to AAPNE farmaya ke aye laundi ! Tu MERE saamne badh kar baat Karti hai,
UNHONE arz ki HUZOOR ﷺ ki azwaaj e mutahraat UNHEIN de liya karti, haalaanke WOH AAPSE behtar the, HAZRATE UMAR رضي الله عنه ne farmaya HAFSA khaaib wa khaasir huwi agar Usne HUZOOR ﷺ ki baat radd kar di, phir AAPNE HAZRATE HAFSA se farmaya IBNE ABI QAHAAFA (HAZRATE SIDDIQUE E AKBAR رضي الله عنه) ki beti par gairat naa karna kyunki WOH HUZOOR ﷺ ki mehbooba hai aur phir AAPNE UNHEIN HUZOOR ﷺ ki baat ko radd karne se daraaya.
Marwi hai ke azwaaj e mutahraat mein se kisi ne HUZOOR ﷺ ke seena e anwar par haath rakh kar AAPKO peeche hataaya to unki waalida ne unhein tahdeed ki, HUZOOR ﷺ ne unki maa ki baatein sunkar farmaya ke unse dar-guzar Karo, yeh is sey bhi zyaada kuch kiya karti hain.
Ek baar HAZRATE AYESHA رضي الله عنها aur HUZOOR ﷺ ke darmiyaan kuch baat ho gayi yahaan tak ke HAZRATE ABU BAKR رضي الله عنه daakhil huwe aur UNHEIN faisal banaaya gaya. jab UNHONE baat sunna chaahi to HUZOOR SARWARE KAAINAAT ﷺ ne HAZRATE AYESHA رضي الله عنها se farmaya, TUM baat karogi yaa MAIN ? HAZRATE AYESHA boli ke baat AAP hi karein magar durust, yeh sun kar HAZRATE ABU BAKR رضي الله عنه ne UNKE munh par aisa tamaacha maara ke UNKE munh se khoon jaari ho gaya aur AAPNE kaha aye apni jaan ki dushman ! Kya HUZOOR ﷺ naa-haq baat kahenge ? HAZRATE AYESHA رضي الله عنها ne HUZOOR ﷺ ki panaah talaash ki aur AAPKI pusht e Mubaarak ke peeche baith gayi. HUZOOR ﷺ ne HAZRATE ABU BAKR رضي الله عنه se farmaya ke HUMNE TUMHEIN is liye nahi bulaaya tha aur naa hi HAMARA yeh iraada tha ke HUM TUMSE yeh baat chaahein.
Ek martaba HAZRATE AYESHA رضي الله عنها kisi baat mein HUZOOR ﷺ se khafaa ho gayi aur kaha ke kya AAP wohi hai jo samajhte hai ke MAIN ALLAH ka NABI hun ? AAP yeh baat sun kar muskuraa diye aur hilm wa karam ki bina par yeh baat bardaasht kar gaye.
HUZOOR ﷺ HAZRATE AYESHA رضي الله عنها se farmaya karte the ke MAIN TUMHARI naaraazgi aur khushi pehchaanta hun. HAZRATE AYESHA ne arz ki HUZOOR woh kaise? AAPNE farmaya jab TUM raazi hoti ho to kehti ho RABB E MOHAMMED (ﷺ) ki qasam ! HAZRATE AYESHA رضي الله عنها ne arz ki YAA RASOOLALLAH ﷺ ! AAPNE sach farmaya , MAIN sirf AAPKA naam hi chordti hun, Aur yeh bhi kaha gaya hai ke islaam mein sabse pehli mohabbat HUZOOR ﷺ ki HAZRATE AYESHA رضي الله عنها se mohabbat thi, aur HUZOOR ﷺ HAZRATE AYESHA رضي الله عنها se farmaya karte the ke MAIN TUMHARE liye aisa hun jaisa ABU ZUR’AA , UMME ZUR’AA ke liye the magar MAIN TUM ko talaaq nahi doonga aur AAP APNI AZWAAJ E MUTAHHRAAT se yeh bhi farmaate ke MUJHE AYESHA ke baare mein takleef naa do, ba-Khuda USKE siwa TUM mein se kisi ke bistar par MUJH par WAHI naazil nahi hoti.
HAZRATE ANAS رضي الله عنه se marwi hai ke HUZOOR ﷺ aurton aur bachchon par sab logon se zyada maherbaan the.
Har insaan ke liye munaasib yeh hai ke woh khush-tabaee , mizaah aur bazla- sanji se apni aurton se unki takaaleef ko rafaa kare kyunki in cheezon se aurton ke dil khush huwa karte hai.
HUZOOR ﷺ APNI AZWAAJ E MUTAHHRAAT se mizaah bhi farma liya karte the aur UNSE UNKI aqalon ke mutaabiq aqwaal wa af’aal farmaya karte the yahaan tak ke HUZOOR ﷺ HAZRATE AYESHA رضي الله عنها se daud mein muqaabla karte, kabhi HAZRATE AYESHA AAPSE aage nikal jaati aur kabhi AAP sabqat le jaate aur farmaate ke ye us din ka badla hai.
Hadees shareef mein hai ke HUZOOR ﷺ APNI AZWAAJ E MUTAHHRAAT se sabse zyaada khush-tab’ee farmaane wale the.
HAZRATE AYESHA رضي الله عنها farmaati hai MAINE habshi aur doosre logon ki aawaazein suni jo aashura ke din khel rahe the, HUZOOR ﷺ ne farmaya; aye AYESHA ! Kya TUM unka khel dekhna chaahti ho? MAINE arz ki haan. AAPNE unki taraf aadmi bheja, jab woh aagaye to HUZOOR ﷺ do darwaazon ke darmiyaan khade ho gaye aur Apna dast e aqdas darwaze par rakh diya aur haath lamba kar liya, MAINE apni thhodi AAPKE haath par jamaa di, woh log khelte rahe aur MAIN dekhti rahi , RASOOL E AKRAM ﷺ MUJHSE poochte bas kaafi hai ? MAIN arz karti zara chup rahiye, AAPNE do yaa teen martaba poocha phir farmaya AYESHA ! ab bas Karo, MAINE arz ki theek hai, tab HUZOOR ﷺ ne unhein ishaara farmaya to woh waapas chale gaye aur HUZOOR ﷺ ne farmaya mominon mein kaamil tareen imaan waala woh hai jiska khulq oomda ho aur jo apne gharwalon par nihaayat maherbaan ho.
NABI E KAREEM ﷺ ka irshaad hai ke tum mein se behtar woh hai jo apni aurton se behtar hai aur MAIN APNI AZWAAJ ke saath tum sabse behtar sulook karnewala hun.
HAZRATE UMAR رضي الله عنه ne farmaya ke gusse ke baawajood insaan ke liye munaasib hai ke woh apne gharwalon ke saath bachche jaisa ho aur jab gharwale ussey kuch talab karein jo uske paas maujood ho to woh usey mard paayein ( yaani woh matlooba shaiy mein bukhl (kanjoosi) naa kare.)
JANAAB e LUQMAAN ne farmaya aqalmand ke liye munaasib hai ke woh apne gharwalon se Bachche ki Tarah ho aur jab qaum mein ho to jawaanon ki Tarah ho.
Jis Hadees e paak mein RASOOLULLAH ﷺ ka irshaad hai ke har jugutri jawaaz ke saath ALLAH TA’ALA ko bugz hota hai , uski tafseer me kaha gaya hai ke is sey muraad apne gharwalon se sakhti karnewala aur khudbeeni mein mubtala hai aur yeh bhi un ma’ani me se ek maana hai, jo Farmane ILAAHI “Utullin” ki tafseer mein kaha gaya hai ke is sey muraad badkhulq, zabaan daraaz, apne gharwalon par tashadud karnewala hai.
HUZOOR ﷺ ne HA07 Tawazo inkisari ki fazilat fakhr na karo hadise nabawiZRATE JAABIR رضي الله عنه se farmaya TUMNE baakira (kunwaari) se Shaadi kyun naa ki , woh TUMSE khelti aur tum us sey khush tab’ee karte.
Ek badawiya ne apne murda khaawind ki in alfaaz mein taareef ki, baKhuda jab woh ghar mein daakhil hota to sadaa hanste rehta , jab woh baahar nikalta to chup rehta.Jo kuch milta khaa leta aur jo kuch maujood naa hota uske muta’alliq sawaal naa karta.
Insaan ke liye yeh bhi zaroori hai ke woh bazla sanjiyon, husne khulq aur uski khwaahishaat ki mawaafiqat mein is hadd tak naa badhe ke uski aadatein bigad jaayein aur uske dil se mard ki haibat bilkul uth jaaye balki har muaamle mein ayetedaal ko malhooz rakhe aur apni haibat aur dabdaba bilkulliya khatam naa kare, mard par laazim hai ke us se koi naamunaasib baat naa suney aur usey burey kaamon mein dilchaspi naa lene de balki jab bhi usey shariyat wa murawwat ke khilaaf gaamzan paaye uski sarzanish kare aur usey raahe raast par laaye.islamic hiqayat articles on islam in hindi urdu 32
HAZRAT E HASAN رضي الله عنه ne farmaya ALLAH ki qasam jo bhi mard apni aurat ki khwaahishaat e nafsaani ki pairwi karta hai to ALLAH TA’ALA usey jahannam mein oondha daalega.BAAB 86 KHANDA WA GIRYAZAARI (HASNA AUR RONA :
HAZRATE UMAR رضي الله عنه ne farmaya Aurton se mukhaalifat karo kyunki unki mukhaalifat mein barkat hai aur yeh bhi kaha gaya hai ke unse mashwara karo aur unki mukhaalifat karo.
HUZOOR ﷺ ne farmaya aurat ka gulaam halaak hua aur AAPNE yeh isliye farmaya kyunki mard jab aurat ki khwaahishaat e nafsaani ki pairwi karta hai to woh uska gulaam aur banda ban jaata hai kyunki ALLAH TA’ALA ne usey aurat ka maalik banaaya magar usne aurat ko apnaa maalik banaa diya , goya usne bar’aks kaam kiya aur KHUDAAYI faisle ke khilaaf shaitaan ki itaa’at ki jaisa ke usne kaha ” Aur albatta hukm karunga unko pas pher daalenge, KHUDA ki paidaish ko ” aur mard ka haq yeh hai ke woh matboo’ ho, taabe’ muhmal naa bane chunaanche ALLAH TA’ALA ne mardon ko yeh naam diya hai ke;
“Mard aurton par hukmaraan hai.”MAZAMMAT E HAWAA E NAFS WA WASF E ZUHAD in hindi
Aur shohar ko sardaar ka naam diya gaya hai chunaanche farmane ILAAHI hai;
“Un dono ne uske Sardaar (khaawind) ko darwaze ke qareeb paaya.”
Aur jab sardaar taabe’ farmaan ho jaaye to goya usne ne’mate ILAAHI ka kufraan kiya.
Aurat ka nafs bhi tere nafs ki tarah hai agar tu usey mamooli si bhi dheel de dega to woh bohot zyada sarkash ho jaata hai , agar tu usey bharpoor dheel de dega to woh bilkul tere haath se nikal jaayega.
IMAM SHAAFAEE رحمت لله عليه ka qaul hai ke teen hastiyaan aisi hai ke agar tu unki izzat karega to woh tujhe zaleel karenge aur agar tu unki ihaanat karega to woh teri izzat karenge, Aurat , Khaadim aur Ghoda. Inki muraad yeh hai ke agar tu ne inse sirf narmi ka bartao kiya aur narmi ko sakhti se naa milaaya aur meherbani se sarzanish ko naa milaaya to yeh tujhe nuqsaan denge.Namaz ba jamat k fazail hadise nabawi part 2
END OF BAAB 94 Mukashifatul Quloob
Leave A Comment