Meraj nabi alaihissalam in hindi
BAAB 92 Mukashifatul Quloob
BUKHAARI ne QATAADAA se , UNHONE HAZRATE ANAS BIN MAALIK رضي الله عنهم se, UNHONE HAZRATE MAALIK BIN SA’SA’A رضي الله عنه se riwaayat ki hai ke HUZOOR ﷺ ne UNHEIN mea’raaj ki raat ka waaqiya sunaaya aur farmaya ke MAIN Hateem e Kaaba mein tha aur yeh bhi farmaya ke MAIN maqaame hajar mein letaa hua tha ke yakaayak MERE paas ek aanewala aaya aur usne kuch kaha , MAINE suna woh keh raha tha phir us jagah aur us jagah ke darmiyaan chaak kiya gaya (raawi kehta hai MAINE JAAROOD رضي الله عنه se poocha, WOH MERE qareeb baithe huwe the ke us jagah aur us jagah se kya muraad hai ? UNHONE kaha halqoom se naaf tak ) phir UNHONE MERA dil nikalaa aur MERE paas ek sone ka tasht laaya gaya jo Imaan se labrez
tha, uske baad MERA dil dhoya gaya phir usey ilm wa Imaan se labrez karke waapas rakh diya gaya , phir MERE paas ek safed jaanwar laaya gaya jo khachchar se past aur gadhey se oonchaa tha ( JAAROOD ne HAZRATE ANAS رضي الله عنه se poocha ke Aye ABU HAMZA ! kya woh buraaq tha? HAZRATE ANAS رضي الله عنه ne jawaab diya haan, woh apna qadam muntahaaye nazar par rakhta tha ) MAIN uspar sawaar huwa aur JIBRAEEL MUJHE lekar chale yahaan tak ke aasmaan e duniya tak pohonche, JIBRAEEL ne uska darwaaza khulwaaya, poocha gaya kaun hai? UNHONE kaha JIBRAEEL, kaha gaya aur TUMHARE saath kaun hai ? JIBRAEEL ne kaha MUHAMMED (ﷺ) poocha gaya WOH bulaaye gaye hai ? JIBRAEEL ne kaha haan , kaha gaya UNHEIN khush-aamdeed ho, UNKA aana mubaarak ho, phir darwaaza khol diya gaya. Jab MAIN wahaan pohoncha to wahaan AADAM عليه السلام maujood the. JIBRAEEL ne kaha YEH AAPKE baap AADAM hai, INHEIN salaam kijiye lihaaza MAINE salaam kiya , UNHONE salaam ka jawaab diya aur kaha SAALEH BETE AUR SAALEH NABI ko khush-aamdeed ho.
Phir JIBRAEEL MERE saath upar chadhe yahaan tak ke doosre aasmaan par pohonche aur JIBRAEEL ne darwaza khulwaaya, poocha gaya kaun hai ? Kaha JIBRAEEL , poocha gaya TUMHARE humraah kaun hai ? UNHONE kaha MUHAMMED( ﷺ), poocha gaya kya woh bulwaaye gaye hai ?JIBRAEEL bole haan, kaha gaya UNKA aana mubaarak ho aur darwaaza khol diya, jab MAIN wahaan pohoncha to MAINE HAZRATE ISAA عليه السلام aur HAZRATE YAHYA عليه السلام ko wahaan paaya aur WOH donon aapas mein khaala-zaad bhai hai, JIBRAEEL ne kaha ke yeh YAHYA aur ISAA عليه السلام hai , INHEIN salaam kijiye, MAINE UNHEIN salaam kiya UNHONE salaam ka jawaab diya aur kaha SAALEH BHAI aur SAALEH NABI ko khush-aamdeed ho.
Phir JIBRAEEL MUJHE teesre aasmaan par le gaye aur darwaaza khulwana chaaha, poocha gaya kaun? Kaha JIBRAEEL, poocha gaya TUMHARE saath aur kaun hai ? kaha MUHAMMED (ﷺ), kaha gaya kya WOH bulaaye gaye hai ? JIBRAEEL ne kaha haan, kaha gaya khush-aamdeed, UNKA aana bohot achcha aur mubaarak hai aur darwaaza khol diya gaya. jab MAIN wahaan pohoncha to MUJHE YUSUF عليه السلام mile, JIBRAEEL ne kaha YEH YUSUF عليه السلام hai , INHEIN salaam kijiye, MAINE UNHEIN salaam kiya ,UNHONE Salaam ka jawaab diya aur kaha SAALEH BHAI aur SAALEH NABI ko khush-aamdeed ho. Phir JIBRAEEL MUJHE chauthe aasmaan par le gaye aur darwaaza khulwaana chaaha , poocha gaya ke kaun hai ? UNHONE kaha JIBRAEEL, poocha gaya TUMHARE saath aur kaun hai ? JIBRAEEL bole MUHAMMED (ﷺ) kaha gaya kya UNHEIN bulaaya gaya hai ? JIBRAEEL ne kaha haan, darbaan ne kaha khush-aamdeed, UNKA aana bohot mubaarak hai aur darwaaza khol diya gaya. Jab MAIN wahaan pohoncha to MAINE HAZRATE IDREES عليه السلام ko dekha , JIBRAEEL ne kaha YEH IDREES عليه السلام hai, INHEIN salaam kijiye, MAINE UNHEIN salaam kiya , UNHONE salaam ka jawaab diya aur kaha SAALEH BHAI aur SAALEH NABI ko khush-aamdeed ho.
Phir MUJHE JIBRAEEL saath lekar upar chadhe yahaan tak ke paanchwein aasmaan par pohonche, UNHONE darwaza khulwaya, poocha gaya kaun hai ? Kaha JIBRAEEL, poocha gaya TUMHARE saath kaun hai ? Kaha MUHAMMED (ﷺ) poocha gaya kya UNHEIN bulaaya gaya hai ? JIBRAEEL ne kaha haan, kaha gaya UNHEIN khush-aamdeed ho, UNKA aana mubaarak ho, jab MAIN wahaan pohoncha to HAZRATE HAROON عليه السلام miley , JIBRAEEL ne kaha YEH HAROON عليه السلام hai, INHEIN salaam kijiye, MAINE UNHEIN salaam kiya, UNHONE salaam ka jawaab diya aur kaha SAALEH BHAI aur SAALEH NABI ko khush-aamdeed ho.
Phir JIBRAEEL MUJHE upar le gaye yahaan tak ke HUM chhatey aasmaan par pohonche, UNHONE darwaza khulwaya, poocha gaya kaun hai ? Kaha JIBRAEEL, poocha gaya TUMHARE saath aur kaun hai? Kaha MUHAMMED (ﷺ), kaha gaya kya WOH bulaaye gaye hai ? JIBRAEEL ne kaha haan, Us farishtey ne kaha UNHEIN khush-aamdeed ho, UNKA aana mubaarak hai. Jab MAIN wahaan pohoncha to HAZRATE MOOSA عليه السلام se mulaaqaat hui, JIBRAEEL ne kaha YEH MOOSA عليه السلام hai INHEIN salaam kijiye, MAINE UNHEIN salaam kiya, UNHONE salaam ka jawaab diya aur kaha SAALEH BHAI aur SAALEH NABI ko khush-aamdeed ho, phir HUM jab aagey badhey to WOH roye , UNSE kaha gaya AAP kyun rotey hai ? To UNHONE kaha MAIN isliye ro raha hun ke MERE baad ek NAU-JAWAAN mab’oos kiya gaya hai JISKI ummat ke log MERI ummat se zyada Jannat mein jaayenge.
Phir JIBRAEEL MUJHE saatwein aasmaan par chadha le gaye aur uska darwaza khulwaya, poocha gaya kaun hai ? kaha JIBRAEEL, poocha gaya TUMHARE saath aur kaun hai ? kaha MUHAMMED (ﷺ) poocha gaya kya WOH bulaye gaye hai ? Kaha haan , kaha gaya UNHEIN khush-aamdeed ho, UNKA aana mubaarak hai, jab MAIN wahaan pohoncha to HAZRATE IBRAHIM عليه السلام miley, JIBRAEEL ne kaha YEH AAPKE waalid e giraami IBRAHIM عليه السلام hai INHEIN salaam kijiye , MAINE UNHEIN salaam kiya, UNHONE salaam ka jawaab diya aur kaha SAALEH BETE AUR SAALEH NABI ko khush-aamdeed ho.
SIDRATUL MUNTAHAA KI KAIFIYAT :
Phir MUJHE sidratul muntahaa tak le jaaya gaya ,uske phal maqaam e hijr ke matkon ki tarah aur uske pattey haathi ke kaanon jaise the ,wahaan chaar nehrein thi, do zaahir aur do poshidaa, MAINE JIBRAEEL se poocha yeh nehrein kaisi hain ? UNHONE kaha, jo do poshidaa hai woh Jannat ki nehrein hai aur jo do nehrein zaahir hai woh neel aur furaat hai , phir baitul ma’moor MERE saamne zaahir kiya gaya jismein 70,000 farishte har roz daakhil hote hai. phir MUJHE ek sharaab (sharbat) ka bartan, ek doodh ka aur ek shehed ka bartan diya gaya , MAINE doodh ka intekhaab kar liya , JIBRAEEL ne kaha yahi fitrat hai , AAPKI aur AAPKI ummat is par qaaim rahenge, uske baad MUJH par har roza ki pachaas-pachaas namaazein farz qaraar de di gayi.
Phir jab MAIN waapas hua to MOOSA عليه السلام ne kaha AAPKO kis baat ka hukm diya gaya hai ? MAINE kaha har din mein pachaas namazon ka, MOOSA عليه السلام ne kaha AAPKI ummat rozana pachaas namazein nahi padh sakegi, MAIN AAPSE pehle logon ko aazmaa chuka hun aur MAINE Bani Israel se sakht bartao kiya hai, lihaaza APNE RAB ke paas laut jaaiyye aur APNI ummat ke liye takhfeef karaaiyye, chunaanche MAIN lauta aur (do baariyon mein) dus namazein maaf kar di gayi , phir MAIN MOOSA عليه السلام ke paas aaya, UNHONE pehle ki tarah kaha ,MAIN phir laut gaya aur phir dus namazein maaf kar di gayi , MAIN phir MOOSA عليه السلام ke paas aaya ,UNHONE pehle ki tarah kaha, MAIN phir laut gaya aur phir dus namazein maaf kar di gayi, MAIN phir MOOSA عليه السلام ke paas aaya to UNHONE usi tarah kaha MAIN phir waapas laut gaya aur MUJHE har roz paanch namazon ka hukm diya gaya. MAIN jab MOOSA عليه السلام ke paas laut kar aaya to UNHONE poocha ke AAPKO kya hukm mila hai ? MAINE kaha rozaana paanch namazon ka hukm mila hai, UNHONE kaha ke AAPKI ummat rozana paanch namazein bhi nahi padh sakegi, MAINE AAPSE pehle logon ka tajarbaa kiya hai aur bani Israel se sakht bartao kar chuka hun lihaaza AAP phir APNE RAB ke huzoor jaayein aur APNI ummat ke liye takhfeef ki darkhwaast karein, HUZOOR ﷺ ne farmaya ke MAIN APNE RAB se kayi baar darkhwaast kar chuka hun , ab MUJHE sharm aati hai lihaaza ab MAIN raazi hun aur RAB ke hukm ko tasleem karta hun , HUZOOR ﷺ farmate hai ke jab MAIN aage badhaa to kisi pukaarnewale ne aawaaz di ke MAINE APNA hukm jaari kar diya aur APNE bandon se takhfeef kar di hai.
END OF BAAB 92 Mukashifatul Quloob
Leave A Comment