Parosi k haq in islam misskin ka haq hadis nabi in hindi
Hamsaayegi akhuwwat e islami se zyada kuch huqooq ki bhi muqtaza hai lihaaza har musalmaan hamsaaya ke akhuwwat e islami ke sulook ke ilaawaa bhi kuch huqooq hongeBAAB 90 Mukashifatul Quloob
chunaanche NABI E KAREEM ﷺ ka farmaan hai ke hamsaaye teen hain, ek hamsaaya ka ek haq , doosre ke do haq aur teesre ke teen huqooq hai, jis hamsaaye ke teen huqooq hai woh rishtedaar musalmaan hamsaaya hai, uska Hamsaayegi ka haq, islam ka haq aur rishtedaari ka haq hai, jis hamsaaya ke do haq hai woh musalmaan hamsaaya hai, uske liye Hamsaayegi ka haq aur islam ka haq hai aur jis hamsaaya ka ek haq hai woh mushrik hamsaaya hai, gaur kijiye ke islam ne mushrik hamsaaye ka bhi haqqe Hamsaayegi rakha hai.
Farmaane NABI E KAREEM ﷺ hai ke apne hamsaayon ke saath achcha bartao kar tab to musalmaan hoga aur farmaya JIBRAEEL MUJHE hamesha hamsaaya ke muta’alliq waseeyat karte rahe yahaan tak ke MAIN samjha ke anqareeb hamsaaya ko bhi waaris banaa diya jaayega. HUZOOR ﷺ ne farmaya ke jo shakhs ALLAH aur qayamat par imaan rakhta hai woh apne hamsaaya ki izzat kare. Mazeed farmaya ke banda us waqt tak musalmaan nahi hota jab tak ke uska hamsaaya uski aafaton se mehfooz naa ho, ek aur farmaan hai ke qayamat ke din sabse pehle jhagda karnewale do hamsaaye honge. Aur irshaad farmaya ke jab tu ne hamsaaya ke kutte ko maara to goya tu ne hamsaaya ko takleef di.
Marwi hai ke ek aadmi ne HAZRATE IBNE MASOOD رضي الله عنه se aa kar kaha mera ek hamsaaya hai jo mujhe bohot takleef deta hai , gaaliyaan deta hai aur tang karta hai, AAPNE yeh sunkar farmaya jao agar woh tumhare muta’alliq ALLAH ki naafarmani karta hai to tum uske baare mein ALLAH ki itaa’at karo. HUZOOR ﷺ se arz ki gayi YAA RASOOLALLAH ﷺ ! falaan aurat din ko roza rakhti hai , raat ko ibaadat karti hai magar apne hamsaayon ko dukh deti hai , AAPNE yeh sunkar farmaya woh jahannam mein jaayegi.
Ek shakhs ne HUZOOR ﷺ ki khidmat mein apne hamsaaya ka shikwa kiya, HUZOOR ﷺ ne us sey farmaya sabr karo, teesri yaa chauthi baar AAPNE farmaya apna saamaan raaste mein phaink de. raawi kehte hai ke logon ne jab uske saamaan ko baahar raaste par padaa dekha to poocha kya baat hai? Usne kaha mujhe hamsaaya sataata hai ,log wahan se guzarte rahe, poochte rahe aur kehte rahe ALLAH TA’ALA us hamsaaya par laanat kare, jab us hamsaaya ne yeh baat suni to aaya us sey kaha apna saamaan waapas le aao,
BAKHUDA main phir tumhein kabhi takleef nahi dunga.
ZOHRI ne riwaayat kiya hai ke ek shakhs ne HUZOOR ﷺ ki khidmat mein hamsaaya ki shikaayat ki HUZOOR ﷺ ne hukm farmaya ke masjid ke darwaze par khade hokar elaan kardo ke saath ke 40 ghar Hamsaayegi mein daakhil hai. ZOHRI ne kaha 40 idhar , 40 udhar, 40 idhar, aur 40 udhar , aur chaaron samton ki taraf ishaara kiya.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke aurat , ghar aur ghodey mein barkat aur nuhoosat hai, aurat ki barkat thoda meher , aasaan nikaah aur uska husne khulq wala hona hai, uski nuhoosat bhaari meher, mushkil nikaah aur badkhulqi hai. Ghar ki barkat uska khula hona aur uske hamsaayon ka achcha hona hai , uski nuhoosat, uska tang hona hai aur uske hamsaayon ka bura hona hai, ghodey ki barkat uski farmabardaari aur achchi aadatein hai aur uski nuhoosat uski buri aadatein aur sawaar naa hone dena hai.
HAMSAAYE KE HUQOOQ :
Hamsaaya ka haq sirf yeh nahi ke aap us sey uski takleefein door karein balki aisi cheezein bhi us sey door karni chaahiye ke jinse usey dukh pohonchne ka ehtemaal ho, hamsaaya se dukh door karna ,usey dukh denewaali cheezon se door rakhne ke ilaawa kuch aur bhi huqooq hai, us sey narmi aur husn e sulook se pesh aaye, us sey neki aur bhalaayi karta rahe isiliye kaha gaya hai ke qayamat ke din faqeer hamsaaya maaldaar hamsaaye ko pakadkar ALLAH se kahega Aye ALLAH ! Is sey pooch, isne apne ataayaa mujhse kyun roke the aur apna darwaza mujhpar kyun band kiya tha ?
IBNUL MUQAFFA’ رحمت لله عليه se kisine kaha ke TUMHARA hamsaaya sawaari ke qarz ki wajah se apna ghar bech raha hai, ibnul Muqaffa’ us shakhs ki deewaar ke saaye mein baithta tha, usne yeh sunkar kaha ke gar usne tangdasti ki wajah se apna ghar bech diya to goya MAINE uski deewaar ke saaya ki izzat nahi ki chunaanche uske paas raqam bheji aur kehla bheja ghar ko naa becho.
Kisi shakhs ne ghar mein choohon ki kasrat ki shikaayat ki to sunnewale ne kaha ke tum ek billi rakhlo, to us shakhs ne jawaab mein kaha mujhe is baat ka andesha hai ke choohe billi ki aawaaz sunkar hamsaaiyon ke gharon mein Bhaag jaayenge to goya main aisa aadmi ban jaaunga jo khud to ek takleef ko pasand nahi karta magar doosron ko wohi dukh pohonchana chaahta hai.
Hamsaaya ke huqooq mein se yeh bhi hai ke usey dekhte hi salaam kare, us sey taweel guftugu naa kare, us sey aksar maangta naa rahe , marz mein uski ayaadat kare, museebat mein usey tasalli de, agar aapke yahan maut ho jaaye to uske saath rahe , khushi mein usey mubaarak baad kahe aur uski khushi mein baraabar ka shareek rahe, uski galtiyon se Darguzar kare, chhath se uske ghar mein naa jhaanke, apne ghar ki deewaar par shahteer wagairah rakhne se naa roke, uske parnaale mein paani naa undele , uske ghar ke sehen mein mitti naa phenke , uske ghar ke raaste ko tang naa kare, woh ghar ki taraf jo kuch lekar jaa rahaa ho usey naa ghooore , uske uyoob ki parda-poshi kare, jab usey koi museebat laahiq ho to uski madad kare, uski Adam maujoodgi mein uske ghar ki dekhbhaal se gaafil naa ho, uski geebat naa sune , uski izzat se aankh band kare, uski laundi ko aksar naa dekhta rahe, uski aulaad se narmi se guftugu kare , jin deeni aur duniyawi umoor se woh naawaaqif ho unmein uski rehnumayi kare. Yeh woh huqooq hai jo aam o khaas har musalmaan ke liye zaroori hai.
HUZOOR ﷺ ne farmaya jaante ho hamsaaya ka kya haq hai? Jab woh tujh se madad talab kare uski madad kar, agar woh teri imdaad ka taalib ho uski imdaad kar, agar woh tujhse qarz maange to usey qarz de, agar woh muflis ho jaaye to uski haajat-rawaai kar, agar woh beemaar ho jaaye to uski ayaadat kar, agar mar jaaye to uska janaaza utha, agar usey khushi haasil ho to usey mubaarakbaad keh, agar usey museebat pesh aaye to usey sabr ki talqeen kar, uske makaan se apna makaan ooncha na bana taake uski hawa na ruke, agar woh ijaazat de de to koi harj nahi, usey takleef na de, jab mewe khareed kar laaye to uske ghar bataaure tohfa bhej warna khufiya lekar aa, mewe apni aulaad ke haath me dekar baahar na bhej taaki uske bachhe naaraaz na hon, haandi ki khushbu se apne hamsaaya ko izaa na de magar yeh ke ek chullu shorba usey bhi bhej de.
Phir AAPNE farmaya jaante ho hamsaaya ka haq hai ? BaKhuda hamsaaya ke huqooq ko koi poora nahi kar sakta magar jis par ALLAH TA’ALA ne rehmat ki ho, usi tarah AMR BIN SHOEB رحمت لله عليه ne apne baap aur dada se aur unhone NABI E KAREEM ﷺ se riwaayat ki hai.
JANAAB E MUJAHID رضي الله عنه ka kehna hai MAIN HAZRATE ABDULLAH BIN UMAR رضي الله عنهما ke paas baitha tha aur AAPKA gulaam bakri ki khaal utaar raha tha, AAPNE kaha aye gulaam ! Jab bakri ki khaal utaar le to sabse pehle hamare hamsaaya ko gosht dena , AAPNE yahi baat mutaadid baar kahi to gulaam ne kaha ab aur kitni martaba kahenge? Tab AAPNE farmaya HUZOOR ﷺ HAMEIN baraabar hamsaaiyon ke muta’alliq waseeyat farmaya karte the yahaan tak ke hamein andesha hua ke kahin hamsaaiyon ko waaris naa bana diya jaaye.
HAZRATE ABU ZARR رضي الله عنه ne farmaya MUJHE MERE HABEEB ﷺ ne waseeyat farmayi ke jab tum haandi pakao to usmein zyada paani daal do, phir apne hamsaaiyon ke gharon par nigaah daudaao aur unhein chullu bhar shorbaa bhej diya karo.
END OF BAAB 90 Mukashifatul Quloob
Leave A Comment