hadees hindi hasna or rona kaise or kyun Baaz mufassireen ne is farmane ILAAHI;
“Kya pas is baat (quran ) se ta’ajjub karte ho (jhutlaate ho) aur hanste ho (mazaaq karte ho ke
yeh ALLAH ki taraf se gaafil huwa hai) aur rotey nahi ho (khauf aur wa’eedon ki un tambihaat ko sun kar jo ismein waarid huwi hai ) aur tum gaflat mein ho, un aamaal se gaafil ho jinka tumse taqaaza kiya gaya hai.” ki tafseer me likhte hain ki ;
Is aayat ke nuzool ke baad HUZOOR ﷺ kabhi nahi hanse, sirf tabassum farmaya karte the. Ek riwaayat mein hai ke Is aayat ke nuzool ke baad HUZOOR ﷺ ko hanste aur muskurate huwe nahi dekha gaya yahaan tak ke AAP duniya se tashreef le gaye.
HAZRATE IBNE UMER رضي الله عنهما se marwi hai, ek din HUZOOR ﷺ masjid se baahar tashreef laaye to AAPNE logon ki aisi jamaa’at dekhi jo hans-hanskar baatein kar rahe the AAP unke paas theher gaye , unhein salaam kaha aur farmaya duniyawi lazzaton ko munqata’ karnewaali (maut ) ko aksar yaad kiya karo. phir ek martaba AAPKA guzar ek aisi jamaa’at se huwa jo hans rahe the , AAPNE unhein dekhkar farmaya ba-khuda agar tum woh jaante jo MAIN jaanta hun to tum kam hanste aur zyaada rotey.
Jab HAZRATE KHIZR عليه السلام se HAZRATE MOOSA عليه السلام ne alaahida hona chaaha to UNHONE kaha MUJHE naseehat kijiye , HAZRATE KHIZR عليه السلام ne kaha Aye MOOSA ! Khud ko jhagdon se bachaaiyye, zaroorat ke bagair qadam naa utha, ta’ajjub ke bagair mat hans , gunaahgaaron ko unki khataaon ke sabab sharminda naa kar aur APNI taraf se RAB ke huzoor rota reh.
RASOOLALLAH ﷺ ne farmaya ke zyada hansna dil ko maut se hamkinaar kar deta hai, mazeed irshaad farmaya ke jo shakhs jawaani mein hansta hai, budhaape mein rota hai, jo maaldaari mein hansta hai , faqr mein rota hai aur jo zindagi mein hansta hai, maut ke waqt rota hai.
Irshaad e NABAWI ﷺ hai ke Quran padho aur ro’o, agar rona naa aaye to ronewale shakhs jaisa chehra banaao.
JANAAB HASAN رضي الله عنه is farmane ILAAHI;
“Pas chaahiye ke thoda hanso aur zyada ro’o.”
ki tafseer mein farmaya hai ke duniya mein kam hanso warna aakhirat mein bohot rona padega aur yeh tumhare aamaal ki jazaa hogi. mazeed farmaya ke MUJHE us hansnewale par ta’ajjub hota hai jiske peeche jahannam hai, aur us masroor wa shaadmaañ par ta’ajjub hota hai jiske peeche maut lagi huwi hai.
AAPKA ek aise jawaan ke qareeb se guzar huwa jo hans raha tha, AAPNE poocha Aye bete ! kya tu ne pul-siraat ko uboor kar liya hai ? Usne kaha nahi , AAPNE farmaya to kya tujhe yeh maaloom ho gaya hai ke tu jannat mein jaayega ? AAPNE phir poocha, woh jawaan naa bola, AAPNE farmaya phir kisliye hans rahe ho ? uske baad us jawaan ko kabhi bhi hanste huwe nahi dekha gaya.
HAZRATE IBNE ABBAS رضي الله عنه ka farmaan hai ke jo hanste huwe gunaah karta hai woh rote huwe jahannam mein jaayega.
ALLAH TA’ALA ne ronewalon ki taareef ki hai chunaanche irshaad e ILAAHI hai;
“Aur woh rotey huwe thodiyon ke bal gir padte hai.”
JANAAB E AUZAAYI رضي الله عنه is aayat;
“Kya hai is kitaab ko ke nahi chordti choti baat aur naa Badi baat magar usko gin liya hai.”
ki tashreeh mein farmate hai ke choti baat se muraad tabassum aur Badi baat se muraad qahqahaa lagaana hai.
HUZOOR ﷺ farmate hai ke qayamat ke din sab aankhein ronewaali hongi magar teen aankhein nahi royegi, jo khauf e KHUDA se royi, jo ALLAH TA’ALA ki haraam ki huwi cheezon se band ho gayi aur jo raahe KHUDA mein bedaar huwi.
Kaha gaya hai ke teen cheezein dil ko sakht karti hai , bagair kisi ta’ajjub ke hansna , bhook ke bagair khaana aur bagair kisi zaroorat ke baatein karna.
LIBAAS :
HUZOOR ﷺ ko tehband, chaadar , qameez yaa jubba wagairah se jo kapda bhi mayassar aa jaata, pehen lete the aur AAPKO sabz libaas pasand tha lekin aksar auqaat AAP safed libaas zeb e tan farmaya karte the aur farmate yahi libaas apne zindon ko pehnao aur isi mein apne murdon ko kafan do.
HUZOOR ﷺ ki reshmi qaba thi. AAPKE jism e athar par iska sabz rang bohot bhala lagta tha. AAPKE tamaam kapde takhnon ke upar hotey the aur AAPKA tehband unse upar nisf saaq (pindli ) tak hota tha.
AAPKE paas ek siyaah kambal tha jo AAPNE kisi ko baksh diya , HAZRATE UMME SALMA رضي الله عنها ne arz ki YAA RASOOLALLAH ﷺ ! MERE maa baap AAP par qurbaan hon , siyaah kamli ka kya huwa ? AAPNE farmaya woh MAINE pehnaa di, HAZRATE UMME SALMA رضي الله عنها boli YAA RASOOLALLAH ﷺ ! MAINE AAPKE safed jism par us kaale kambal se zyada haseen cheez nahi dekhi.islamic hiqayat articles on islam in hindi urdu 32
HUZOOR ﷺ libaas ko daahini taraf se pehenna shuru farmate aur padhte;
Hamd hai US ALLAH ko jisne MUJHE libaas diya jis se MAIN APNA jism dhaanptaa hun aur logon mein zeenat ke saath jaata hun.BAAB 50 TABQAAT E JAHANNAM AUR UNKE AZAb
AAP apna libaas hamesha baayein taraf se utaarte the , jab naya kapda zeb e tan farmate to puraana kapda kisi miskeen ko de dete aur farmate, jo kisi musalmaan ko apna puraana kapda razaa e ILAAHI ke husool ke liye pehnaata hai woh apne is amal ki badaulat zindagi aur maut dono mein ALLAH TA’ALA ki amaan, panaah aur rehmat mein hota hai.
HUZOOR ﷺ ka ek jubba mubaarak tha, AAP jahaan aaraam farmaate !usey neeche do tahon mein bichaa dete, AAP chataayi par aaraam farmaya karte the, chataayi ke bagair aur koi cheez AAPKE jism e athar wa aqdas ke neeche nahi hoti thi.
END OF BAAB 86
Leave A Comment