namaz tahajjud time namaz tahajjud ka tarika hadis nabi in urdu hindi
namaz tahajjud time Namaza tahajjaud ka waqt isha k baad so jane ka he means pehle isha ada kare phir so jae ek minute ya 15 second bhe so kar uthe us k liye namaz tahajjud ka waqt ho gaya
QURAN e Majeed ki bohot si aayaat se is namaaz ki fazeelat saabit hai ,irshaad e ILAAHI hai:
“Beshak tera RAB jaanta hai ke tu do tihaayi raat ke qareeb khadaa hota hai.”
Farmane ILAAHI hai:
“Tehqeeq raat ka uthna nafs ko kuchalne ke liye bohot sakht hai aur kaam ka bohot durust karnewala hai.”
Farmane ILAAHI hai:
“Unki karwatein (pehlu ) bichaunon se door hoti hai.”
Mazeed farmaan hota hai :
“Kya jo shakhs ke woh raat ke waqt bandagi karta hai.”
Irshaad e ILAAHI hai:
“Aur woh log jo apne RAB ke liye raat ko sajda karte huwe aur qiyaam karte huwe guzaarte hai.”
Mazeed irshaad hota hai :
“AYE imaan waalon! Sabr aur namaaz se madad chaaho.”
Kaha gaya hai ke is namaaz se muraad raat ki namaaz hai jis par mudaawamat (paabandi) karke nafs se jihaad kiya jaa sakta hai.
Ahaadees mein bhi is namaaz ki fazeelat waarid hai chunaanche Farmane NABAWI ﷺ hai ke jab tum mein se koi ek so jaata hai to shaitaan uski guddi mein teen gaanthen deta hai aur har gaanth mein woh kehta hai ke bohot taweel raat baaqi hai abhi kuch der aur so ley, pas agar insaan bedaar ho kar zikr e KHUDA karta hai to ek gaanth khul jaati hai, jab wuzu karta hai to doosri gaanth khul jaati hai aur jab insaan namaaz mein masroof ho jaata hai to teesri gaanth bhi khul jaati hai aur insaan is haal mein subah karta hai ke woh khushi wa musarrat ka paanewala aur halka-phulka hota hai warna woh sust aur badmizaaj ho kar uthta hai.
Hadees shareef mein hai ke HUZOOR ﷺ ki khidmat mein aise shakhs ka tazkira kiya gaya jo saari raat sota hai yahaan tak ke subah ho jaati hai, AAPNE farmaya yeh aisa shakhs hai ke jiske kaan mein shaitaan ne peshaab kar diya hai.
Hadees shareef mein hai ke shaitaan ke paas naak ki dawa , chaatney ki cheez aur chidakne ki cheezein hai, jab woh kisi insaan ki naak mein dawaai daalta hai to woh badkhulq ban jaata hai , jab kisi insaan ko chaatney ki dawa deta hai to woh insaan bad-zabaan ho jaata hai aur jab kisi insaan par dawaayi chidakta hai to woh subah tak sota rehta hai.
HUZOOR ﷺ ka irshaad hai ke aadhi raat mein bande ka do rakatein namaaz padhna, duniya aur uski tamaam ashyaa se behtar hai ,agar MERI ummat par dushwaar naa hota to MAIN yeh do rakatein unpar farz kar deta. saheeh Bukhaari mein HAZRATE JAABIR رضي الله عنه se marwi hai, HUZOOR ﷺ ne farmaya ke raat mein ek aisi saa’at hai ke jab usmein banda ALLAH TA’ALA se bhalaayi ka sawaal karta hai to ALLAH TA’ALA usey ataa kar deta hai. Ek riwaayat mein hai ke woh duniya aur aakhirat ki jo bhalaayi Maangta hai aur yeh saa’at har raat mein hoti hai.
HAZRATE MUGAIRAH BIN SHO’BA رضي الله عنه se marwi hai ke HUZOOR ﷺ ( raat mein namaaz ke liye ) khade huwe yahan tak ke AAPKE paaye mubaarak raat mein khade ho kar ibaadat karne ke sabab soojh gaye, AAPSE kaha gaya YAA RASOOLALLAH ﷺ ! kya ALLAH TA’ALA ne AAPKI agli pichli khilaaf e aulaa baaton ko maaf nahi farma diya? AAPNE yeh sun kar irshaad farmaya, kya MAIN ALLAH TA’ALA ka shukr guzaar banda naa banun?
Is hadees shareef se yeh matlab nikalta hai ke is sey AAPKI muraad mazeed in’aamaat e ILAAHIYA ki talab aur justajoo thi kyunki shukr zyaadati e ne’mat ka sabab hai , farmaane ILAAHI hai:
“Agar tum shukr karo to MAIN albatta tumko zyada dunga.”
HUZOOR ﷺ ne HAZRATE ABU HURAIRAH رضي الله عنه se farmaya ke Kya TUM is baat ko pasand karte ho ke TUM par zindagi , maut , qabr wa hashr mein ALLAH TA’ALA ki rehmat ka nuzool ho , raat ka Kuch hissa baaqi ho aur Tum RAB ki raza ke husool ke liye uthkar ibaadat karo ? Aye ABU HURAIRAH رضي الله عنه ! ghar ke konon mein namaaz padha karo , TUMHARA ghar aasmaan se aisa chamakta huwa nazar aayega jaise ke zameen waalon ko chamakdaar sitaare nazar aaya karte hai.
Farmane NABAWI ﷺ hai tumhare liye laazim hai ke raat ko ibaadat kiya karo kyunki yeh guzashta nek logon ka tareeqa hai , beshak raat ka qayaam ALLAH TA’ALA ke qurb ka sabab , gunaahon ka kaffaara, jismaani beemaariyon ko door karnewala aur gunaahon se rokne waala hai.
HUZOOR ﷺ ka irshaad e giraami hai ke har woh shakhs jo raat ko ibaadat karta aadi ho aur usey neend aa jaaye to uske naama e aamaal mein raat ki ibaadat ka sawaab likh diya jaata hai aur neend ko uspar baksh diya jaata hai. HUZOOR ﷺ ne HAZRATE ABU ZAR رضي الله عنه se farmaya Aye ABU ZAR ! Jab tum safar ka iraada karte ho to zaade raah taiyyaar karte ho ? arz ki jee haan ! AAPNE farmaya qayamat ke taweel raaste ka safar kaise karoge? Aye ABU ZAR ! MAIN TUMHEIN aisi cheez batlaun jo tumko qayamat ke din nafaa de ? ABU ZAR رضي الله عنه ne arz ki MERE maa baap AAP par qurbaan, zaroor batlaaiyye ! AAPNE farmaya qayamat ke din ke liye sakht garmi ke din roza rakh, qabr ki wehshat ko door karne ke liye andheri raat mein nafl do rakat padh , ahem umoor e qayamat ki hujjat ke liye hajj kar , miskeen par sadqa kar yaa haq baat keh aur buri baat kehne se khaamosh reh.
Riwaayat hai ke HUZOOR ﷺ ke zamaane mubaarak mein ek aadmi tha, jab log apne bistaron pe so jaate aur aankhein sukoon haasil karne ke liye band ho jaati to woh khada ho kar namaaz padhta, Quran majeed ki tilaawat karta aur kehta Aye KHAALIQ e jahannam ! Mujhe jahannam se bacha ! HUZOOR ﷺ ki baargaah mein us shakhs ka tazkira kiya gaya to AAPNE farmaya jab woh aisi haalat mein ho to MUJHE khabar kar dena chunaanche AAP wahaan tashreef laaye aur uski tilaawat wa duayein suni, subah huwi to AAPNE us sey farmaya aye falaan ! Tu ne ALLAH TA’ALA se jannat ka sawaal kyun nahi kiya? woh aadmi bola YAA RASOOLALLAH ﷺ main jannat ka sawaal kaise karun , abhi to mere aamaal uski talab ke laayak nahi huwe. Is guftagu ko thodi hi der guzri thi ke JIBRAEEL E AMEEN عليه السلام naazil huwe aur arz ki Yaa RASOOLALLAH ﷺ ! falaan aadmi ko batla dijiye ke ALLAH TA’ALA ne usey jahannam se mehfooz farma liya aur usey jannat mein daakhil kar diya hai.
Riwaayat hai ke JANAAB E JIBRAEEL E AMEEN عليه السلام ne HUZOOR ﷺ se arz ki ke IBNE UMAR oomda aadmi hai , kaash woh raat ki ibaadat karta, HUZOOR ﷺ ne HAZRATE IBNE UMAR رضي الله عنهما ko is baat ki khabar di, uske baad HAZRATE IBNE UMAR رضي الله عنهما hamesha raat ko ibaadat kiya karte. HAZRATE NAAFEAA رضي الله عنه ka qaul hai ke AAP raat ko ibaadat karte huwe Mujh se kaha karte dekho kahin subah to nahi ho gayi? MAIN kehta nahi ,AAP phir ibaadat mein mashgool ho jaate, phir farmate aye NAAFE’ ! Dekho subah huwi ? MAIN kehta haan to AAP baith jaate aur istigfaar farmate yahaan tak ke subah khoob raushan ho jaati.
HAZRATE ALI KARAMALLAHU WAJHA HU se marwi hai ke HAZRATE YAHYA BIN ZAKARIYA عليه السلام ne ek raat jau ki roti pet bhar kar khaa li , raat ko UNKI aankh lag gayi aur woh subah tak sote rahe , apne wazaaif wa ibaadat mein mashgool naa ho sake, tab ALLAH TA’ALA ne AAPKI taraf Wahi farmaayi Aye YAHYA ! Kya TU ne MERE taiyyaar kiye huwe ghar se oomda ghar yaa MERE pados se oomda pados paa liya hai ? MUJHE MERE izzat o jalaal ki qasam ! AYE YAHYA ! agar TU ne jannat ul firdaus ko dekh Liya hota to uske shauk mein TERI charbi pighal jaati aur rooh nikal jaati aur agar TU jahannam ko dekha leta to TERI charbi pighal jaati aur aankhon se peep behti.
HUZOOR ﷺ se arz ki gayi Yaa RASOOLALLAH ﷺ ! Falaan aadmi raat ko namaaz padhta hai , subah huwi to usne chori kar li , AAPNE farmaya anqareeb uska nek amal usko in buraaiyyon se rok dega. Mazeed irshaad farmaya ke ALLAH TA’ALA us bande par rehem farmaye jo raat ko khada ho kar ibaadat karta raha , phir usne apni aurat ko jagaaya aur usne bhi uske saath khade ho kar ibaadat ki, agar aurat ne inkaar kiya to us bande ne uske munh par paani ke cheente maare aur AAPNE farmaya ALLAH ne us aurat par rehem farmaya jo raat ko khadi ho kar ibaadat karti rahi phir usne apne khaawind ko jagaaya aur woh bhi uske saath ibaadat mein mashgool ho gaya wagarna us aurat ne apne khaawind ke munh par paani ke cheente maare.islamic hiqayat articles on islam in hindi urdu 32
Farmane NABAWI ﷺ hai jo raat ko khud bedaar ho aur apni aurat ko bhi jagaaya phir dono ne khade ho kar do rakat namaaz adaa ki, ALLAH TA’ALA unhein zikr karnewale mardon aur aurton mein se likh deta hai.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke faraaiz ke baad sabse afzal namaaz raat ki hai.
HAZRATE UMAR رضي الله عنه se marwi hai HUZOOR ﷺ ne farmaya ke apne wazaaif yaa ibaadat karne ke liye jiski raat ko aankh naa khuli aur usne woh wazaaif aur ibaadat subah ki namaaz aur zohar ki namaaz ke darmiyaan adaa kiye to uske liye poori raat ki ibaadat ka sawaab likh diya jaata hai.Hazrat isa alaihissalam par hawareen ka iman lana hindi
Kehte hai ke IMAM BUKHAARI رضي الله عنه Aksar yeh ash’aar padha karte :
1- faraagat ke auqaat mein ruku wa sujood ko ganeemat jaan, anqareeb tujhe maut aa jaayegi.
2- maine kitne aise tandrust dekhe hai jinhein koi beemaari nahi thi aur achaanak unki roohein parwaaz kar gayin.FAZEELAT E ZAKAAT WA SALAAH (NAMAAZ)
END OF BAAB 83
Leave A Comment