Farmane ILAAHI hai :
Uske (jahannam) ke 7 darwaaze hai aur har darwaaze ka juz muqarrar hai.
yahan juz se muraad giroh , jamaa’at aur fareeq hai aur darwaazon se muraad tabqaat hai jo upar neeche bane huwe hai.
JAHANNAM KA HAR TABQAA EK GIROH KE LIYE MAKHSOOS HAI :
Ibne Juraij ka qaul hai ke jahannam ke tabqaat 7 hai. Jahannam, Lazaa phir Hutmaa, phir Saeer, phir Saqar, phir Jaheem aur phir Haawiya.
Pehla tabqaa muwahhideen ke liye , doosra yahood ke liye, teesra nasaara ke liye, chautha saebeen ke liye paanchwa aatish paraston ke liye, chatta mushrikon ke liye aur saatwaan munaafiqon ke liye hai, jahannam sabse upar ka tabqaa hai aur baaqi sab mazkoorah tarteeb ke saath uske neeche hai.
Aur ye is maana me hai ke ALLAH TA’ALA iblees ke pairokaaron ko saat (7) girohon mein taqseem farmayega aur har giroh aur fareeq jahannam ke ek tabqe mein rahega, iska sabab ye hai ke kufr aur gunaahon ke maraatib choonke mukhtalif hai isliye jahannam mein dukhool ke liye unke darjaat bhi mukhtalif hai. aur ye bhi kaha gaya hai ke un saat tabqaat ko insaan ke saat (7) aazaaye badan ke mutaabiq banaya gaya hai, aazaa yeh hai aankh , kaan, zabaan, pet , sharmgaah aur pair kyunki yehi aazaa gunaahon ka markaz hai isiliye unke waarid hone ke darwaaze bhi saat (7) hai.
HAZRATE ALI رضي الله عنه se marwi hai ke jahannam ke upar neeche ( teh ba teh ) saat (7) tabqaat hai lihaaza pehle, pehla bharaa jaayega , phir doosra , phir teesra , isi tarah sab tabqaat bhare jaayenge.
Bukhaari ne apni taareekh mein aur Tirmizi ne HAZRATE IBNE UMAR رضي الله عنه se riwaayat ki hai ke HUZOOR ﷺ ne farmaya jahannam ke saat (7) darwaaze hai, un mein ek darwaaza us shakhs ke liye hai jisne MERI ummat par talwaar saunti (uthaayi).
AATISH E JAHANNAM KI HAULNAAKIYAAN :
Tibraani ne awsat mein riwaayat ki hai ke ek martaba HAZRATE JIBRAIL عليه السلام aise waqt mein tashreef laaye ke us waqt mein isse qabl kisi waqt mein nahi aate the, HUZOOR ﷺ khade ho gaye aur farmaya JIBRAIL ! Kya baat hai ? MAIN tumhe mutagaiyyar dekh rahaa hun ? JIBRAIL ne arz ki MAIN is waqt AAPKE paas aaya hun jabke ALLAH TA’ALA ne jahannam ko dehkaa dene ka hukm diya hai. AAPNE farmaya JIBRAIL ! MUJHE us aag yaa jahannam ke baare mein batlao ! JIBRAIL عليه السلام ne arz ki ke ALLAH TA’ALA ne jahannam ko hukm diya hai aur usmein ek hazaar saal tak aag dehkaayi gayi yahan tak ke woh safed ho gayi , phir usey hazaar saal tak mazeed bhadkaane ka hukm milaa yahan tak ke woh surkh ho gayi, phir use hukm e KHUDAWANDI se hazaar saal tak aur bhadkaaya gaya yahan tak ke woh bilkul siyaah ho gayi, ab woh siyaah aur taareek hai, naa usmein chingaari roshan hoti hai aur naa hi uska bhadaknaa khatam hota hai aur naa uske shole bujhte hai, US zaat ki qasam JISNE AAPKO NABI e BARHAQ banaakar mab’oos farmaya hai, agar sui ke naake ke baraabar bhi jahannam ko khol diya jaaye to tamaam ahle zameen fanaa ho jaaye aur qasam hai US zaat ki JISNE AAPKO Haq ke saath bheja ,agar jahannam ke farishton mein se ek farishta duniyawaalon par zaahir ho jaaye to zameen ki tamaam makhlooq uski badsoorti aur badboo ki wajah se halaak ho jaaye aur qasam hai US zaat ki JISNE AAPKO Haq ke saath mab’oos farmaya, agar jahannam ke zanjeeron ka halqa jiska ALLAH TA’ALA ne QURAN e KAREEM mein zikr kiya hai duniya ke pahaadon par rakh diya jaaye to woh reza reza ho jaayein aur woh halqa tahtussaraa mein jaa thehre , HUZOOR ﷺ ne yeh sunkar farmaya bas JIBRAIL bas , itnaa tazkira hi kaafi hai , MERE liye yeh baat intehaayi pareshaan karnewaali hai.
Raawi kehte hai ke tab HUZOOR ﷺ ne JIBRAIL ko dekha ,woh ro rahe hai, AAPNE farmaya JIBRAIL ! TUM kyun rote hai haalaan ke TUMHARA to ALLAH ke yahaan badaa maqaam hai. JIBRAIL ne kaha MAIN kyun naa roun ? MAIN hi rone ka zyaada haqdaar hun , kya khabar ilm e KHUDA mein MERA is maqaam ke ilaawa koi aur maqaam ho , kya khabar kahin MUJHE iblees ki tarah naa aazmaaya jaaye ,woh bhi to farishton mein rehta tha aur kya khabar MUJHE haaroot wa maaroot ki tarah aazmaayish mein naa daal diya jaaye , tab HUZOOR ﷺ aur JIBRAIL عليه السلام dono ashkbaar ho gaye aur ye ashkbaari baraabar jaari rahi yahaan tak ke aawaaz aayi Aye JIBRAIL ! Aye MOHAMMAD! ( ﷺ ) ALLAH TA’ALA ne TUM dono ko APNI naafarmaani se mehfooz kar liya hai, pas iske baad JIBRAIL عليه السلام aasmaanon ki taraf parwaaz kar gaye.
HUZOOR ﷺ ka guzar ansaar ki ek jamaa’at se huwa jo hans rahe the aur fuzool baaton mein masroof the, AAPNE farmaya tum hanste ho haalaan ke tumhare peeche jahannam hai jise MAIN jaanta hun, agar tum jaante to kam hanste aur zyaada rote , tum khaana peena chhord dete aur pahaadon ki taraf nikal jaate aur intehaayi masaaib (museebatein) bardaasht karke ALLAH ki ibaadat karte.
Us waqt ALLAH TA’ALA ki taraf se nidaa aayi, Aye MOHAMMAD ( ﷺ) MERE bandon ko naa-ummeed naa karo, AAP khushkhabri denewale banaakar bheje gaye hai, logon ko masaaib mein daalnewale banaakar nahi bheje gaye , pas RASOOLALLAH ﷺ ne farmaya ke raahe raast par gaamzan raho aur Rehmat e KHUDAWANDI se ummeed rakho.
Ahmed ki riwaayat hai , HUZOOR ﷺ ne JIBRAIL عليه السلام se kaha MAINE kabhi bhi MIKAAEEL ( عليه السلام ) ko hanste huwe nahi dekha , iski kya wajah hai ? JIBRAIL عليه السلام ne kaha ke jabse paida kiya gaya hai MIKAAEEL عليه السلام kabhi nahi muskuraaye.
Muslim shareef mein riwaayat hai ke HUZOOR ﷺ ne farmaya ke qayamat ke din jahannam ko sattar hazaar lagaamein de kar laaya jaayega aur har lagaam ke saath sattar hazaar farishte usey kheench rahe honge.
END OF BAAB 50.