MUKAASHAFATUL QULOOB
RABBE ZULJALAAL ne Quran e majeed mein zikr ke saath shukr ko bhi shaamil farmaya hai ,
irshaad e ILAAHI hai :
“Aur beshak ALLAH ka zikr bohot bada hai ” is aayat mein ALLAH TA’ALA ne zikr ki azmat ka tazkira kiya hai.
irshaad e ILAAHI hai :
“Pas tum MERA zikr karo MAIN tumhara zikr karunga , aur MERA shukr karo aur kufr na karo.”
mazeed farmaya :
“Agar tum imaan laaye aur shukr guzaar ban gaye to ALLAH TA’ALA tumhe azaab nahi dega.”
aur farmaya :
“HUM anqareeb shukr karne waalon ko ajr denge.”
aur ALLAH TA’ALA ne shaitaan mardood ka qissa bayaan karte hue irshaad farmaya ke shaitaan ne baargaahe RABBI mein kaha :
main unhe behkaane ke liye TERE seedhe raaste par baith jaunga .
baaz Ulema ka khayaal hai ke yahaan Siraate Mustaqeem se muraad shukr ka raasta hai , shaitaan ne ALLAH TA’ALA ki makhlooq par ta’an karte hue kaha tha :
TU inmein se aksar ko shukr guzaar nahi paayega.
Aur farmaane ILAAHI hai :
“MERE bandon mein thode hai jo shukr adaa karte hain.”
aur ALLAH TA’ALA ne shukr karne par ne’maton mein zyaadati ka tazkira farmaya hai chunaanche irshaad e ILAAHI hai :
“Agar tumne shukr kiya to MAIN ne’maton ko zyada kar dunga”.
aur is farmaan mein kisiko mustasna (alag) nahi farmaaya .
aur 5 cheezein aisi hai jinmein ALLAH TA’ALA ne istisna kiya hai , woh hai tawangiri , qubooliyat, rizq , bakshish aur tauba chunaanche farmaan e ILAAHI hai :
“Agar ALLAH ne chaaha to anqareeb tumhe maaldaar kar dega.”
aur irshaad farmaya hai:
“agar WOH chaahega to tumhari tamannayein poori kar dega”
aur farmaya :
WOH jisey chaahta hai behisaab rizq deta hai .
aur farmaya
“Aur ALLAH TA’ALA shirk ke siwa jo gunaah chaahe baksh dega .”
mazeed farmaya
” ALLAH TA’ALA jiski tauba chaahta hai qubool kar leta hai ”
shukr ALLAH TA’ALA ki sifaat mein se ek sifat hai, chunaanche irshaad e ILAAHI hai :
“Aur ALLAH TA’ALA shakoor wa haleem hai.”
ALLAH TA’ALA ne shukr ko jannatiyon ka mubtadaaye kalaam qaraar diya hai aur farmaya jannati jannat mein daakhil hote hi kahenge ” Hamd aur Shukr hai ALLAH ke liye jisne APNA waada sachha farmaya”
aur farmaya :
unki aakhri pukaar yeh hogi , “Hamd hai ALLAH RABBUL AALAMEEN ke liye ”
shukr ki fazeelat mein bohot si ahadees bhi waarid hui hain chunaanche farmaane NABAWI ﷺ
hai ” khaa kar shukr adaa karne waale saabir rozedaar ki tarah hai .”
HUZOOR KI SHUKR GUZAARI
:
HAZRATE ATAA رضي الله عنه marwi hai ke humne HAZRAT E AYESHA رضي الله عنها ki khidmat mein haazir ho kar arz ki ke Aap hamein HUZOOR ﷺ ki koi ajeeb baat sunaayein , HAZRATE AYESHA رضي الله عنها ashqbaar ho gayi aur farmaya HUZOOR ﷺ ki kaunsi baat ajeeb nahi thi , suno ! HUZOOR ﷺ ek raat tashreef laaye aur mere bistar ya mere lihaaf mein mere saath let gaye, yahan tak ke AAP ka jism e athar mere jism mein mass hone laga. tab AAPNE farmaya aye ABUBAKR ki beti ! MUJHE ijaazat do taake MAIN RAB ki ibaadat karun , maine arz kiya agarche main AAP ke qurb ko be-inteha pasand karti hun magar AAP ki khwaahish ko tarjeeh deti hun lihaaza main AAPKO ijaazat deti hun , AAP zaroor ibaadat farmaayein.
AAP uth kar paani ke mashkeeza ki taraf gaye aur thode se paani se wuzu farmaa kar AAPNE namaz shuru kar di aur AAP rone lage yahan tak ke AAP ke aansu seena par behne lage , phir AAP ruku mein , sajde mein aur sajde se sar utha kar bhi rote rahe yahan tak ke HAZRAT E BILAL رضي الله عنه ne haazir ho kar namaz e fajr ke muta’alliq arz kiya. MAINE poocha aap to bakshe huwe hain , AAP kis liye rote hain ? AAP ne farmaya , kya MAIN ALLAH ka shukrguzaar banda na banun ? aur MAIN kyun na roun haalaanke ALLAH ne yeh aayat naazil farmayi hai :
“beshak aasmaanon aur zameen ki paidaaish aur raat aur din ki baaham badliyon mein nishaaniyaan hai aqalmandon ke liye.”
EK PATTHAR KI GIRYA WA ZAARI
:
Yeh hadees is baat par dalaalat karti hai ke insaan kabhi bhi baargaahe RABBUL IZZAT mein rona bandh na kare aur is raaz ki taraf yeh riwaayat bhi ishaara karti hai ke ALLAH TA’ALA ke ek NABI ka aise patthar se guzar hua jo khud to chhota tha magar us se paani bohot nikal raha tha , ALLAH TA’ALA ke NABI ko bohot ta’ajjub hua , ALLAH TA’ALA ne patthar ko bolne ki taaqat ataa kar di aur usne kaha jab se maine ALLAH TA’ALA ka yeh farmaan suna hai ke :
“Insaan aur patthar jahannam ka eendhan honge.”
main baraabar ALLAH ke khauf se ro raha hun .
ALLAH ke NABI ne ALLAH se dua maangi ki is patthar ko jahannam ki aag se bacha le. ALLAH ne dua qubool farmaa li . kuch muddat guzarne ke baad unka phir usi taraf jaana hua , dekha to patthar baraabar roye jaa raha hai . unhone poocha ab kyun roye jaa raha hai ? patthar ne jawaab diya us waqt khauf ki wajah se ro raha tha aur ab khushi aur musarrat mein ro raha hun .
insaan ka dil bhi patthar ki tarah ya us se bhi zyada sakht hai , uski sakhti khauf aur shukr dono haalaton mein girya wa zaari karne se khatam hoti hai .
NABI E AKRAM ﷺ farmaate hain qayamat ke din kaha jaayega ke Hamd karne waale khade ho jaayein , logon ka ek giroh khada ho jaayega , unke liye jhanda lagaaya jaayega aur woh tamaam jannat mein jaayenge , poocha gaya YAA RASOOLALLAH ! ﷺ Hamd karne wale kaun hai ? AAPNE farmaaya jo log har haal mein ALLAH ka shukr adaa karte hain . doosri riwaayat ke alfaaz yeh hai ” jo har dukh sukh mein ALLAH ka shukr adaa karte hain ”
farmaane NABAWI ﷺ hai ki shukr RABBE REHMAAN ki chaadar hai .
ALLAH TA’ALA ne HAZRAT E AYYUB عليه السلام ki taraf Wahi farmayi ki MAIN taweel baaton ke badle APNE doston se shukr karne par raazi ho gaya hun aur saabireen ki taareef me farmaya ke unka ghar jannat mein hai , jab woh jannat mein jaayenge to MAIN unhe shukr karna sikhlaunga kyunki shukr behtareen baat hai aur us se MAIN ne’matein zyada karunga aur unki muddate deedaar taweel karta jaunga.
Jab maal jamaa karne ke silsile mein Wahi e RABBANI ka nuzool hua to HAZRAT E UMAR. رضي الله عنه RASOOL E AKRAM ﷺ se poocha ke hum kaunsa maal ikhatta karein ? AAPNE farmaaya zikr karne wali zabaan aur shukr karne waala dil.
is hadees se maaloom hua ke hamein maal ke badle shukrguzaar dil ko pasand karna chaahiye . HAZRAT E IBN E MASOOD رضي الله عنه ka qaul hai ke shukr nisf (aadhaa) Imaan hai .
ADAAYE SHUKR KE TAREEQE:
Shukr, zabaan, dil aur aazaaye badan se hota hai. dil ka shukr nekiyon ka iraada karna aur makhlooq se use poshida rakhna. zabaan ka shukr ye hai ke un kalmaat ko adaa kare jo izhaare shukr ke liye makhsoos hai. Aur aazaaye badan ka shukr ye hai ke unhein ibaadat e ILAAHI mein masroof rakhe aur bure kaamon mein istemaal na kare. aankhon ka shukr ye hai ke woh jis musalmaan ka aib dekhe to use dhaanp le. Kaanon ka shukr ye hai ke wo kisi musalmaan ki buraayi sune to use chupaaye. Yahi unka shukr hai. zabaan ka shukr ye hai ke woh taqdeer e ILAAHI par apni raza ka izhaar kare aur use yahi hukm diya gaya hai chunaanche HUZOOR ﷺ ne ek shakhs se poocha kaise ho ? usne kaha achcha hun. AAPNE phir poocha taa aañki teesri martaba poochne par us shakhs ne kaha achcha hun, ALLAH ki Hamd aur shukr karta hun. tab HUZOOR ﷺ ne farmaya ke MAIN yahi kuch tumse sunna chaahta tha.
BUZURGAANE SALF KA TAREEQA E SHUKRGUZAARI:
Buzurgaane salf ka ye tareeqa tha ke woh doosron se poocha karte the ke kaise ho ? Unki ye niyyat hoti thi ke log jawaab mein ALLAH ka shukr kare aur jawaab denewala aur poochnewala dono ka shumaar shukrguzaaron mein ho jaaye, unki is baat par riya ka qatai dakhal nahi hota tha.
Jis shakhs se bhi uski haalat poochi jaaye wo teen baaton mein se ek baat karega, shukr adaa karega, shikaayat karega yaa phir khaamosh rahega, ALLAH ka shukr adaa karna ibaadat hai, shikaayat karna gunaah hai jo deendaaron ke nazdeek sakht naapasandeeda feyl (kaam) hai, ALLAH TA’ALA ke yahan uski buraayi ka kehna hi kya jo baadshaahon ka baadshah hai, jiske dast e qudrat mein banda e naacheez ki tamaam cheezein hai lihaaza insaan ke liye zaroori hai, agar woh masaaib par sabr nahi kar sakta , qaza e ILAAHI par raazi nahi ho sakta aur woh laamuhaala apni tahi-daamani ka shikwa karna chaahta hai to woh logon ke aage shikaayatein karne ki bajaaye ALLAH RABBUL IZZAT ke huzoor apni guzaarishaat pesh kare, WOHI masaaib mein mubtala karnewala aur WOHI unse najaat denewala hai.
Aur ye haqeeqat hai ke banda e naacheez ka ALLAH ki baargaah mein apni zillat ka izhaar karna haqeeqi izzat hai magar apne jaise bandon ke aage shikwe karna aur zillat uthaana intehaayi ruswa karne waali cheez hai.
Farmane ILAAHI hai “tehqeeq tum ALLAH ke siwa jin ko (samajhkar ) pukaarte ho woh tumhare jaise ALLAH ke bande hai .” Neez farmaya “tehqeeq tum ALLAH ke siwa jinki ibaadat karte ho woh tumhare rizq ke maalik nahi hai, ALLAH ke yahan rizq talaash karo aur USKI ibaadat karo aur USKA shukr adaa karo.”
Shukr ke aqsaam mein se zabaan se shukr adaa karna bhi hai chunaanche marwi hai ke HAZRATE UMAR BIN ABDUL AZIZ رضي الله عنه ki khidmat mein ek wafad aaya to unmein se ek jawaan khada ho kar AAPSE guftugu karne ki tayyaari karne laga, AAPNE farmaaya badon ki izzat karo yaani badon ko. MUJHSE guftugu karne do , uspar wo jawaan bola aye AMEERUL MOMINEEN! Agar qiyaadat ka me’yaar umr hota to musalmaanon mein aise boodhon ki kaseer taadaad maujood hai jo AAPSE umr mein bade hai. AAPNE ye sun kar farmaya chalo baat karo, usne kaha hum kuch lene nahi aaye kyunki AAPKI meherbaaniyon se hamein bohot kuch mil chuka hai
kisi se khaufzada ho kar nahi aaye kyunki AAPKE adal wa insaaf ne hamare tamaam khauf door karke aman ki zindagi bakshi hai, hum sirf isliye aaye hai ke apni zabaanon se AAPKA shukriya adaa kare aur waapas chale jaayein.
END OF BAAB 41.