Mukashifatul quloob baab 12
FARMANE ILAAHI hai Pas agar tumne ALLAH aur uske RASOOL ki itaa’at se airaaz kiya (munh pher liye) to ALLAH TA’ALA tumhe nahi bakhshega, na hi tumhari tauba qubool karega.
Jaise kufr aur
takabbur ki wajah se shaitaan ki tauba qubool na hui,
Aur apni galti ka iqraar karne, sharminda hone aur apne nafs ko malaamat karne ki wajah se AADAM ALAIHISSALAAM ki tauba ALLAH TA’ALA ne qubool farma li, agarche qaule sahi ke mutaabiq AADAM ALAIHIS SALAAM ne haqeeqatan koi gunaah nahi kiya tha kyunki Ambiya alaihimussalaam nubuwwat se sarfaraaz hone se qabl aur baad har haal mein gunaahon se paak hote hai. lekin surat, gunaah ki si thi lihaaza HAZRATE AADAM wa HAWWA ALAIHIMUS SALAAM ne baargaahe RABBUL IZZAT mein arz kiya “RABBANA ZALAMNA ANFUSANA WA ILLAM TAGFIRLANA LANA KUNANNA MINAL KHAASIREEN”.
AADAM ALAIHIS SALAAM apni galti par sharmsaar hue, ALLAH ki rehmat ke ummeedwaar hue aur tauba mein jaldi ki jaisa ke farmaane ILAAHI hai “Meri rehmat se na-ummeed na ho” lekin shaitaan ne apni galti ko tasleem na kiya, pashemaan na hua, apne nafs ko malaamat na ki ,tauba mein jaldi na ki aur takabbur ki wajah se rehmat e Khudawandi se na -ummeed ho gaya chunaanche aaj bhi jis kisi ki kaifiyat iblees ki tarah hogi uski tauba qubool nahi hogi magar jo AADAM ALAIHIS SALAAM ki tarah karega uski tauba qubool ho jayegi, kyunki har wo gunaah jiska ta’alluq khwaahishaat e insaani se hai, uski bakshish mumkin hai aur jis gunaah ka ta’alluq takabbur o khudbeeni se hai, uski bakhshish naamumkin hai, shaitaan ki galti yehi thi aur AADAM ALAIHIS SALAM ki khata khwaahish e nafs se thi.
HIKAAYAT:
Ek martaba shaitaan HAZRATE MOOSA ALAIHIS SALAAM ke paas aaya aur kehne laga aapko ALLAH TA’ALA ne RASOOL banaya hai aur aapse kalaam farmata hai.AAPNE farmaya haan ! Magar tum kaun ho aur kya kehna chaahte ho? Kehne laga main shaitaan hun, ALLAH TA’ALA se sawaal kijiye ke teri makhlooq tujhse tauba ki taalib (talabgaar) hai , ALLAH TA’ALA ne MOOSA ALAIHIS SALAAM par Wahi ki ,farmaya us se kaho ke Hum ne teri darkhwaast ko qubool kiya magar ek shart ke saath ke AADAM ALAIHIS SALAAM ki qabr par jaa kar sajda kar lo, jab tu sajda kar lega Main teri tauba qubool kar lunga, aur tere gunaahon ko maaf kar dunga. MOOSA ALAIHIS SALAAM ne jab shaitaan ko ye batlaaya to wo gusse se surkh (laal) ho gaya aur izraah e kibr o guroor kehne laga aye MOOSA! maine to AADAM ko jannat mein sajda nahi kiya to ab Unki qabr ko kaise sajda kar lun?
RIWAAYAT:
Shaitaan ko jahannam mein shadeed (sakht) azaab de kar poocha jaayega tu ne azaab ko kaisa paaya ? Jawab dega bohot sakht! Use kaha jaayega AADAM RIYAAZUL JANNAT (JANNAT KE BAAGON) mein hai Unhe sajda karlo aur guzishta aamaal par maazirat , taake teri bakhshish ho jaaye ,magar shaitaan sajda karne se inkaar kardega , phir us par aam jahannamiyon ki nisbat sattar hazaar guna (70000 times) zyada azaab bheja jaayega.
Ek riwaayat mein hai ke ALLAH TA’ALA har ek laakh saal baad shaitaan ko aag se nikaal kar use AADAM ko sajda ka hukm dega magar wo baraabar inkaar karta rahega aur use baar baar jahannam mein daala jaata rahega.
Pas agar tum iblees se najaat haasil karna chaahte ho to RABBE KAREEM ke daamaan e Rehmat se chimat jao aur Usi se panaah maango. Jab qayamat ka din hoga , shaitaan ke liye aag ki kursi rakhi jaayegi, wo uspar baithega, tamaam shaitaan aur kaafir wahan jama ho jaayenge, shaitaan gadhe ki tarah cheekhte hue kahega aye jahannamiyon! Tumne apne RAB ke waade ko kaisa paaya? Sab kahenge bilkul sach paaya, phir wo kahega main aaj ke din ALLAH ki rehmat se naa-ummeed ho gaya hun. Tab ALLAH TA’ALA ki taraf se farishton ko hukm hoga ke us par aur uski pairwi karnewalon par aag ke dande barsao, pas wo kabhi bhi wahan se nikalne ka hukm nahi sunenge (hamesha wahan rahenge).
Ek riwaayat hai, shaitaan ko qayaamat ke din laaya jaayega aur uske gale mein laanat ka tauq pehna kar aag ki kursi par bithaya jaayega. ALLAH TA’ALA jahannam ke farishton ko hukm dega, uski kursi ko jahannam mein dhakel do magar wo koshish ke bawajood aisa nahi kar sakenge, tab JIBRAEEL ALAIHIS SALAAM ko 80 hazaar farishton ke saath use dhakelne ka hukm milega magar wo bhi bebas ho jayenge, phir ISRAFEEL phir ISRAAEEL ko farishton ki 80 hazaar ki jama’at ke saath hukm milega magar wo bhi nahi dhakel sakenge. Irshaad e BAARI TA’ALA hoga agar mere paida karda farishton se dugne farishte bhi aa jaye to bhi ise hila na sakenge kyunki iske gale mein laanat ka tauq pada hua hai (uske bojh ke baa’is ye yahan se jumbish nahi kar sakta).
MUKHTALIF AASMAANON PAR SHAITAAN KE NAAM:
Shaitaan ka naam pehle aasmaan par AABID doosre par ZAAHID teesre par AARIF chauthe par WALI paanchwe par MUTTAQI chatte par AZAAZEEL aur lohe mahfooz par IBLEES tha , wo apni aaqibat se be-fikr tha , jab use HAZRATE AADAM ko sajda karne ka hukm mila to kehne laga aye ALLAH ! Tu ne Ise mujhpar fazeelat de di haalaan ke main Is se behtar hun, Tu ne mujhe aag aur Ise mitti se paida kiya hai, KHUDAAWAND TA’ALA ne farmaya Main jo chaahta hun wo karta hun. shaitaan ne apne aapko AADAM ALAIHIS SALAAM se behtar samjha aur nang wa takabbur ki wajah se AADAM se munh pher kar khada ho gaya. jab farishte AADAM ALAIHIS SALAAM ko sajda kar ke uthe to unhone dekha ke shaitaan ne sajda nahi kiya to wo dobaara sajda e shukr mein gir gaye lekin shaitaan unse be-ta’alluq khada raha aur use apne is fayl par koi pashemaani na hui, tab ALLAH TA’ALA ne uski soorat maskh (bigaad) kar di,
khinzeer (suwwar) ki tarah latka hua munh,
Sar oonth ke sar ki tarah,
Seena bade oonth ki kohaan ke jaisa,
unke darmiyan chehra aise jaise bandar ka chehra,
Aankhen khadi,
naththe hajaam ke kooze (bartan) jaise khule hue,
honth bail ke honthon ki tarah latke hue,
daant khinzeer ki tarah bahar nikle hue aur
daadhi mein sirf saat baal,
isi soorat mein use Jannat se neeche phaink diya gaya balki aasmaan o zameen se jazeeron ki taraf phaink diya gaya, wo ab apne kufr ki wajah se zameen par chupte chupte aata hai aur qayamat tak ke liye laanat ka mustahiq ban gaya hai.shaitaan kitna khoobsoorat, haseen, kaseer ul ilm, kaseer ul ibaadaat, malaika ka sardaar, muqarribeen ka sarkhail tha magar use koi cheez ALLAH ke gazab se na bacha saki, beshaq is mein aqalmandon ke liye ibrat hai.
Ek riwaayat mein hai ke jab ALLAH TA’ALA ne shaitaan ki giraft (pakad) ki to JIBAREEL wa MIKAAEEL rone lage, RAB ne farmaya kyun rote ho? Arz ki aye ALLAH ! Teri giraft ke khauf se rote hai , irshaad hua isi tarah Meri giraft se rote rehna.
AULAADE AADAM PAR SHAITAAN KA GALBA :
Shaitaan ne ALLAH se kaha aye ALLAH ! Tu ne mujhe Jannat se nikaala to AADAM ke sabab ab mujhe aulaad e AADAM par galba ataa farma! RAB TA’ALA ne farmaya Maine tujhe Ambiya ke siwa, jin ki ismat musallam hai, AADAM ki aulaad par galba diya, shaitaan bola kuch aur?
RAB ne farmaya jitni AADAM ki aulaad hogi utni hi teri aulaad hogi, shaitaan bola kuch aur? Khudaawand e Kaunain ne farmaya Maine unke seenon ko tera maskan banaya tu un mein khoon ki tarah gardish karega,
arz ki kuch aur?
Farmaane ILAAHI hua,
apne siwa aur piyada madadgaaron se imdaad maang kar unhe maal e haraam ki kamaai par aamaada karna,
unhe ayyaame haiz wagaira mein majama’at se aulaad e haraam ka haqdaar banaana aur haraamkaari ke asbaab nahya karna,
unhe mushrikaana naam taaleem karna jaise ABDUL UZZA wagaira, unhe gandi guftagoo,
bure af’aal,
Aur jhoote mazaahib ke zariye gumraah karna,
unhe jhooti tasalliyaan dena jaise maabudaan e baatila ki shafa’at, aaba wa ajdaad ki karaamaton par fakhr,
taweel (lambi) ummeedon ke zariye tauba mein taakheer wagaira,
aur ye sab kuch daraane ki taur par tha jaisa ki farmaane ILAAHI hai “tum jo chaaho karo”.
AADAM ALAIHIS SALAAM ne arz ki aye ALLAH ! Tu ne meri aulaad par iblees ko musallat kar diya, ab us se rihaayi Teri rehmat ke begair kaise hogi?
RAB ne farmaya tere har ek farzand ke saath Main muhaafiz farishte banaunga,
arz ki abhi kuch aur?
Farmaane ILAAHI hua ek neki ka sawaab unhe dus guna milega,
arz ki abhi kuch aur?
Farmaane ILAAHI hua unki aakhri saans tak unki tauba qubool karunga ,
arz ki abhi kuch aur ataa farma! Farmaan hua unke liye bakshish aam kar dunga , Main beniyaaz hun,
AADAM ALAIHIS SALAAM bole! Aye mere RAB ye kaafi hai.
Shaitaan ne kaha aye ALLAH ! Tu ne AADAM ki aulaad mein NABI banaaye,
unpar kitabein naazil ki,
mere rasool aur kitaabein kya hai? Jawaab mein aaya tere rasool aur gudi hui khaalein,
teri kitaabein jhoot,
teri hadeesein jhoot,
tera quran she’ar,
tere muaazzin baaje,
teri masjid baazaar ,
tera ghar hamaam khane,
tera khaana wo jispar Mera naam na liya gaya ho,
tera peena sharaab aur
aurtein tera jaal hai.
END OF Baab 12&