kitab- MUKAASHAFATUL QULOOB BAAB 1 KHAUF O KHASHIYAT AAQA E NAAMDAAR sallallahu alaihi wasallam nfe farmaya ke ALLAH TA'ALA ne ek farishta paida kiya jiske dono baazuon ka darmiyaani faasla poorab paschim ko ghere hue hai, sar uska arsh ke neeche hai, aur dono paon tehtus-saraa me hai, rue zameen par aabaad makhlook ke baraabar uske par hai, Meri ummat me se jab koi mard ya aurat Mujh par durood bhejta hai to us farishte ko ALLAH TA'ALA ka hukm hota hai ke wo arsh ke neeche Noor ke samandar me gotaazan ( dubki lagaaye ), to wo gota lagaata hai, jab baahar nikalkar wo apne baazu (par) jhaadta hai to uske paron se katre tapakte hai, ALLAH TA'ALA har qatre se ek farishta paida karta hai jo qayaamat tak uske liye dua magfirat karta hai. Ek daana ka qaul hai ke jism ki salaamati kam khaane me hai, aur rooh ki baqaa kam gunaahon me hai aur Imaan ki salaamati HUZOOR NABI E KAREEM sallallahu alaihi wasallam par Durood o salaam padhne me hai. ALLAH TA'ALA ka irshaad hai: "Aye Imaan waalon ALLAH se daro" yaani dil me khaufe KHUDA paida karo aur USKI itaa'at wa farmabardaari karo aur insaan dekhe ki aainda ke liye aage kya bheja hai. Matlab ye hai ke qayamat ke din ke liye kya amal kiya. Iska mafhoom ye hai ki sadqa karo aur nek kaam karo taa ke qayaamat ke din unka badla pao aur apne RAB se darte raho, ALLAH TA'ALA tumhaari har achhi aur buri baat ko jaanta hai. Qayaamat ke din farishte zameen, aasmaan, din wa raat tamaam gawaahi denge ke Aadamzaade ne ye kaam bhalaayi ka kiya ya buraayi ka, farmabardaari ki ya na farmaani, yahan tak ke insaan ke apne aaza bhi uske khilaaf gawaahi denge, Imaandaar aur muttaqi wa parhezgaar insaan ke haq me zameen gawaahi degi, chunaanche zameen yun kahegi, is insaan ne meri peeth par Namaz padhi, Roza rakha, Hajj kiya, jihaad kiya, ye sunkar zaahid wa muttaqi shakhs khush hoga aur kaafir wa nafarmaan ke khilaaf zameen gawaahi dete hue ye kahegi, isne meri peeth par Shirk kiya, Zina kiya, Sharaab pi, aur Haraam khaya, ab iske liye halaaqat wa barbaadi hai, agar ARHAMURRAAHIMEEN ne uspar kadaa hisaab kiya. Saahib e imaan wo hai jo jism ke tamaam aaza ke saath ALLAH TA'ALA se darr rakhta ho, jaisa ki faqeeh abu lais ne farmaya, 7 baaton me ALLAH TA'ALA ke khauf ka pata chal jata hai.. 1) uski zabaan galat bayaani, geebat, chugli, tohmat, aur fuzool bolne se bachi ho aur ALLAH TA'ALA ka zikr karne, tilaawate Kalaame paak karne, aur Deeni uloom seekhne me lagi ho. 2) uske dil se dushmani, bohtaan aur musalmaan bhaiyon ka hasad nikal jaaye kyun ki hasad nekiyon ko chaat jata hai jaisa ke HUZOOR sallallahu alaihi wasallam ka farmaan hai "Hasad nekiyon ko kha jata hai jaise aag lakdi ko kha jaati hai". Jaanna chahiye ke hasad dil ki sabse ghatiya bimaariyon me se ek bimaari hai aur dil ki bimaariyon ka ilaaj sirf ilm aur amal se hi ho sakta hai. 3) uski nazar Haraam khaane peene se aur Haraam libaas wagaira se mehfooz rahe aur duniya ki taraf laalach ki nazar se na dekhein bal ke sirf ibrat pakadne k liye uski taraf dekhe aur Haraam par to kabhi uski nigaah bhi na pade jaisa ke NABI E KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne farmaya, "jisne apni aankh haraam se bhari ALLAH TA'ALA qayaamat ke din usko aag se bhar dega." 4) uske pet me haraam khaana na jaaye, yeh gunaahe kabeera hai. HUZOOR NABI E KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne farmaya, "bani Aadam ke pet me jab haraam ka luqma pada to zameen wa aasmaan ka har farishta us par laanat karega jab tak ke wo luqma uske pet me rahega aur usi haalat me marega to uska thikaana jahannam hoga. 5) Haraam ki taraf haath na badhaaye balke taaqat bhar uska haath ALLAH k farmabardaari ki taraf badhe. Hazrat e Kaab ibne Ehbaar radiyallahu ta'ala anhu se riwaayat hai ke ALLAH TA'ALA ne sabz moti ( zabjard) ka mahal paida farmaya, usme 70 hazaar ghar hai, aur har ghar me 70 hazaar kamre hai, usme wohi daakhil hoga jiske saamne haraam pesh kiya jaaye aur wo sirf ALLAH ke darr ki wajah se use chhod de. 6) uska qadam ALLAH TA'ALA ki na -farmaani me na chale balke sirf Uski itaa'at wa khushnudi me rahe, Aalimon aur Nekon ki taraf harqat karein. 7) ibaadat wa mujaahida, insaan ko chahiye ke khaalis ALLAH TA'ALA ke liye ibaadat kare, riyakaari wa munaafiqat se bachta rahe, agar aisa kiya to ye un logon me shaamil ho gaya jin ke baare me ALLAH TA'ALA ne farmaya hai, "Aur tere RAB ke nazdeek aakhirat darnewaalon ke liye hai" doosri aayat me yun irshaad hai, "beshak muttaqi amnwaale maqaam me honge." Goya ALLAH TA'ALA yeh farma raha hai ke yahi log ( muttaqi wa parhezgaar) qayaamat ke din dauzakh se chutkara paayenge aur imaandaar aadmi ko chahiye ki wo beem wa raza ( darr aur ummeed) ke darmiyaan rahe, wo hi ALLAH TA'ALA ki Rehmat ka ummeedwaar hoga uar US se maayoos wa na ummeed nahi rahega. ALLAH TA'ALA ne farmaya "ALLAH TA'ALA ki Rehmat se na ummeed na ho." Pas ALLAH TA'ALA ki ibaadat kare, buraayi ke kaamon se munh mod le aur ALLAH TA'ALA ki taraf poori tarah mutawajjah ho. End of Baab
Leave A Comment