BAAB 47
FAZEELAT E ZIKR E ILAAHI :
Farmane ILAAHI hai :
"tum MUJHE yaad karo MAIN tumhe yaad karunga."
JANAB E SAABIT BANAANI رحمت لله عليه ne farmaaya main jaanta hun ke jab mera RAB mujhe yaad farmata hai, yeh sunkar log kuch pareshan ho gaye aur daryaft kiya aapko yeh kaise pata chal jaata hai ? AAP ne kaha jab main USEY yaad karta hun to WOH bhi mujhe yaad farmata hai .
Farmaane ILAAHI hai :
ALLAH ko bohot yaad karo.
mazeed farmaaya :
pas jab tum arfaat se palto to mash'are haraam ke nazdeek ALLAH ko yaad karo aur jaise tumhe hidaayat di gayi hai waise USEY yaad karo.
Doosre paare mein irshaad e RABBANI hai :
jab tum manaasik e Hajj poore kar chuko to ALLAH TA'ALA ko yaad karo jaise tum apne aabaa ko yaad karte ho ya us sey bhi zyada yaad karo.
irshaad e ILAAHI hai :
woh log ALLAH TA'ALA ko khade- baithe aur pehlu ke bal lete , yaad karte hain .
Farmane ILAAHI hai :
Pas jab tum Namaaz poori kar lo to ALLAH TA'ALA ko qayaam , Qu'ood aur pehlu par lete yaad karo.
HAZRAT E IBNE ABBAS رضي الله عنه is aayat ki tafseer mein farmaate hain yaani ALLAH TA'ALA ko raat, din , behr o bar, safar wa hazar , maaldaari wa muflisi , marz wa sehat , zaahir wa nihaa , garz har haalat mein yaad kiya karo .
ALLAH TA'ALA ka munaafiqon ki mazammat mein irshaad hai :
"woh ALLAH ko bohot kam yaad karte hain."
Farmane ILAAHI hai:
Aur apne RAB ko apne dil mein aajizi se aur posheedgi mein yaad karo aur subah wa shaam aawaaz se yaad karo aur gaafilon mein se na bano.
aur farmaane ILAAHI hai :
"Aur beshak zikr e KHUDA bohot bada hai."
HAZRAT E IBN E ABBAS رضي الله عنه se marwi hai ke is aayat ke do maaine ho sakte hain , pehla yeh ke ALLAH TA'ALA ka tumhe yaad farmaana tumhare zikr se bohot badi cheez hai , doosra yeh ke zikr e KHUDA har ibaadat se zyada bartar aur aala hai. is silsile mein aur bhi bohot si aayaat waarid hui hain .
HUZOOR ﷺ ka irshaad hai ke gaafilon mein zikr e KHUDA karne walon ki misaal sookhe ghaas mein sabz paudhe ki si hai .
mazeed farmaya ke gaafilon mein zikr e KHUDA karne walon ki misaal bhagodon ke darmiyaan jihaad karne walon ki si hai .
Farmane e NABAWI ﷺ hai , RABBE ZULJALAAL farmata hai ke jab MERA banda MUJHE yaad karta hai aur MERI yaad mein uske honth khule hote hain to MAIN uske saath hota hun.
ZIKR E KHUDA SE BADH KAR KOI AMAL NAHI :
HUZOOR ﷺ ka irshaad hai , insaan ke liye zikr e KHUDA se badh kar koi amal aisa nahi hai jo azaab e ILAAHI se jald najaat dilaane wala ho , arz ki gayi ke jihaad fi- sabeelillaah bhi nahi ? AAPNE farmaaya jihaad fi-sabeelillaah bhi nahi magar yeh ke tu apni talwaar se jihaad kare aur woh toot jaaye (baar baar ke jihaad se bhi afzal hai )
Farmane NABAWI ﷺ hai ke jo shakhs jannat ke baagon se sair hona chaahta hai woh ALLAH ko bohot yaad kare .
HUZOOR ﷺ se poocha gaya ke kaunsa amal afzal hai ? AAPNE farmaya jab tu mare to teri zubaan zikr e KHUDA se shireen (azeez) ho.
Farmane e NABAWI ﷺ hai ke zikr e KHUDA mein subah wa shaam basar kar , tu is haalat mein din aur raat muqammal karega ke tujh par koi gunaah baaki nahi hoga .
Farmane NABAWI ﷺ hai ke subah wa shaam yaad e ILAAHI , jihaad fi-sabeelillaah mein talwaarein todne aur be-dareg raahe KHUDA mein maal lutaane se behtar hai .
HUZOOR ﷺ farmaate hain ,, ALLAH TA'ALA farmaata hai ke jab MERA banda MUJHE tanhaayi mein yaad karta hai to MAIN usey tanhaayi mein yaad karta hun aur jab woh MUJHE jamaa'at mein yaad karta hai to MAIN usey uski jamaa'at se behtar jamaa'at mein yaad karta hun , jab woh MUJH se ek baalisht qareeb hota hai to MAIN us ke ek haath qareeb ho jaata hun jab woh ek haath mere qareeb hota hai to MAIN dono haathon ki wus'at ke baraabar uske qareeb ho jaata hun aur jab woh MERI taraf chal padta hai to MERI rehmat badhkar usey saaya e aafiyat mein le leti hai yaani MAIN uski duaon ko bohot jald qubool farmaa leta hun .
Farmane NABAWI ﷺ hai , 7 shakhs aise hain jinhe ALLAH TA'ALA apne saaya e rehmat mein us din jagah dega jis din koi saaya nahi hoga, un mein se ek woh hai jisne tanhaayi mein KHUDA ko yaad kiya aur khauf e KHUDA ki wajah se uski aankhon se aansu beh nikle.
BEHTAREEN AMAL :
HAZRAT E ABU DARDA رضي الله عنه se marwi hai HUZOOR ﷺ ne farmaaya ke kya MAIN tumhe tumhare aamaal mein se behtareen amal ki khabar na dun ? jo ALLAH ke nazdeek sab aamaal se pakeezah , sab aamaal mein buland martaba, sone chaandi ki bakshish se behtar ,dushmanon se tumhare us jihaad se jismein tum unhein qatl karo woh tumhe shaheed kar dein , afzal wa A'ala ho ? SAHABA e KIRAAM رضي الله عنهمم ne poocha HUZOOR ! woh kaunsa amal hai ? AAP NE farmaaya daaimi zikr e ILAAHI.
HUZOOR ﷺ farmaate hain ke ALLAH TA'ALA irshaad farmaata hai, "jis shakhs ko MERE zikr ne sawaal karne se roke rakha MAIN usey bagair maange sab saa'ilon se behtar doonga."
JANAABE FUZAIL رضي الله عنه farmaate hai, hamein ye khabar mili hai ke ALLAH TA'ALA farmata hai, "aye MERE bande ! Tu MUJHE subah ke baad aur asr ke baad kuch der yaad kar liya kar , ye amal tujhe saare din ke liye kaafi hoga.
Baaz Aalimon ka kehna hai ke ALLAH TA'ALA irshaad farmata hai jab MAIN kisi shakhs ke dil ko APNI yaad me sargarm e amal dekhta hun to MAIN uske tamaam kaamon ka mutawalli ho jaata hun aur MAIN uska saathi, uska ham-nasheen aur ham-sukhan ban jaata hun.
JANAABE HASAN رحمت لله عليه ka qaul hai ke zikr 2 hai, ek to tanhaayi me ALLAH TA'ALA ko yaad karna jo bohot umda aur ajr e azeem ka sabab hai aur is se bhi behtar zikr ye hai ke insaan ALLAH TA'ALA ki haraam ki huwi cheezon me ALLAH ko yaad rakhe aur aise umoor se baaz rahe.
Marwi hai yaad e ILAAHI me zindagi basar karne wale ke siwa har insaan maut ke waqt pyasa jaata hai.
HAZRATE MA'AZ BIN JABAL رضي الله عنه ka farmaan hai ke Jannati us lamhe ke siwa jo yaad e ILAAHI me basar nahi huwa, kisi cheez par hasrat nahi karega.
HUZOOR ﷺ ka irshaad hai ke koi jama'at bhi aisi nahi hai jo yaad e ILAAHI ke liye baithi ho magar farishte usey gher lete hai aur Rehmat e Khudawandi ise dhaanp leti ho , ALLAH TA'ALA Apne muqarrebeen me unhe yaad karta hai.
ZIKR E KHUDA KE LIYE JAMA HONEWALON PAR IN'AAM E ILAAHI :
Farmane NABAWI ﷺ hai ke jab kuch lo mehez raza e ILAAHI ke liye, zikr e KHUDA ke liye jama hote hain to aasmaan se munaadi nida karta hai ke khade ho jao, tumhare gunaahon ko maaf kar diya gaya hai aur tumhare gunaahon ko nekiyon se badal diya gaya hai.
NABI E KAREEM ﷺ ka farmaan hai ke koi qaum aisi nahi jo kahin baithe aur ALLAH TA'ALA ka zikr aur NABI ﷺ par durood na bheje aur qayamat ke din woh hasrat se do-chaar na ho.
HAZRATE DAWOOD عليه السلام ne baargahe ILAAHI mein arz kiya , ILAAHAL AALAMEEN ! jab TU MUJHE dekhe ke main zikr karnewalon ki majlis se uth kar gaafilon ki majlis mein jaa raha hun to mere paaun TU tod de, bila shuba mere upar ye TERA in'aam hoga.
Farmane NABAWI ﷺ hai nek mehfil, momin ke liye do laakh buri majlison ka kaffaara hai.
HAZRATE ABU HURAIRA رضي الله عنه ka qaul hai, aasmaan ke rehnewale un gharon ko jin mein yaad e ILAAHI hoti hai, aise dekhte hai jaise tum sitaaron ko dekhte ho. (Ummeed bhari nigaahon se ).
JANAAB E SUFIYAN BIN UYAINAH رضي الله عنه ka kehna hai, jab koi jamaa'at zikr e KHUDA ke liye jama hoti hai to shaitaan aur duniya alaahida ho jaate hai, phir shaitaan duniya se kehta hai, kya tu ne nahi dekha ye kya kar rahe hai ? Duniya kehti hai unhein chord de, jaise hi ye zikr e ILAAHI se faarig honge, main unhein gardanon se pakad kar tere hawaale kar dungi.
HAZRATE ABU HURAIRA رضي الله عنه ek martaba baazaar mein tashreef laaye aur farmaya logon ! MAIN tumhein yahan dekh raha hun haalaan ke masjid mein HUZOOR ﷺ ki meeraas taqseem ho rahi hai. log baazaar chhord kar masjid ki taraf gaye magar unhein koi meeraas bat'ti hui dikhaayi na di , unhone HAZRATE ABU HURAIRA رضي الله عنه se kaha humne to masjid mein koi meeraas taqseem hote nahi dekhi. AAPNE poocha tum ne wahan kya dekha hai ? Bole humne wahan aisi jamaa'at dekhi jo zikr e KHUDA kar rahi hai aur Qur'an Majeed padh rahe hain, AAPNE farmaya yahi to NABI E KAREEM ﷺ ki meeraas hai.
ZIKR KARNEWALON PAR REHMAT E ILAAHIYA :
Aamash ne ABU SAALEH se, unhone HAZRATE ABU HURAIRA aur HAZRATE ABU SAEED KHUDRI ( رضي الله عنهمم) se riwaayat ki hai ke HUZOOR ﷺ ne farmaya, ALLAH TA'ALA ne naama e aamaal likhne waale farishton ke ilaawa aise sayyaah (ghoomne waale) farishton ko paida farmaya jo zameen mein sargarm e safar rehte hai , jab woh kisi jamaa'at ko zikr mein mashgool paate hai to doosron se kehte hai ke idhar apni matloobaa cheez ki taraf aao, lihaaza woh sab farishte jama ho jaate hai aur unhein aasmaan tak ghere mein le lete hai. ALLAH TA'ALA farmata hai, MERE bandon ko tum ne kis haal mein chorda ? Wo kya kar rahe the ? Farishte kehte hai yaa ALLAH ! Woh TERI hamd ,TERI buzurgi aur TERI tasbeeh bayaan kar rahe the. RABBE JALEEL farmata hai kya unhone MUJHE dekha hai ? Farishte arz karte hai nahi, RABBE JALEEL farmata hai agar woh MUJHE dekh le to unki kya haalat hogi, farishte arz karte hai agar woh TUJHE dekh le to is se bhi zyaada TERI tasbeeh wa tahmeed karein. RAB farmata hai woh kis cheez se panaah maang rahe the ? Farishte kehte hai jahannam se panaah maang rahe the. RAB farmata hai unhone jahannam ko dekha hai ? Farishte arz karte hai nahi, RAB farmata hai agar woh jahannam ko dekh le to unki kya haalat hogi ? Farishte arz karte hai agar woh jahannam ko dekhle to us se aur zyaada bhaage aur nafrat karein. RAB farmata hai woh kya cheez maang rahe the ? Farishte arz karte hai woh Jannat ka sawaal kar rahe the, RAB farmata hai kya unhone jannat ko dekha hai ? farishte kehte hai nahi, RAB farmata hai agar woh jannat ko dekhle to unki kya haalat hogi ? Farishte kehte hain Woh usey aur zyada chaahenge. RAB TA'ALA farmata hai, MAIN tumhe gawaah banaata hun ke MAINE un sabko baksh diya hai. farishte arz karte hai unmein falaan bin falaan bhi tha jo apni kisi zaroorat ke liye aaya tha, RABBE JALEEL farmata hai ye aisi jamaa'at hai jiska hum-majlis wa ham-nasheen bhi mehroom nahi rehta.
HUZOOR ﷺ ka irshaad hai ke sabse afzal kalma jo MAINE aur tamaam AMBIYA E KIRAAM ( عليه السلام ) ne zabaan se adaa kiya hai woh hai, لا الهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيْكَ لَهْ
(" LAA ILAAHA ILLALLAHU WAHDAHU WA LAA SHAREEKALAHU").
Farmane NABAWI ﷺ hai ke jisne har roz ek sau (100) martaba
لا الهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيْكَ لَهْ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ  وَهُوَ عَلى كُلِّ شَئ ٍ قَدِيْرٌ
(" LAA ILAAHA ILLALLAHU WAHDAHU WA LAA SHAREEKALAHU LAHUL MULKU WALAHUL HAMDU WAHUWA ALAA KULLI SHAI IN QADEER")
zabaan se adaa kiya, use dus (10) gulaamon ke aazaad karne ke baraabar sawaab milta hai, uske naam e aamaal mein sau (100) nekiyaan likhi jaati hai aur uske sau (100) gunaah mitaa diye jaate hai aur us din shaam tak woh shaitaan se mehfooz rehta hai aur is se badhkar koi aur amal nahi hota magar yeh ke koi shakhs is se zyaada baar ye kalmaat padhe.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke aisa koi banda nahi jo behtareen tareeqa se wazu kare phir aasmaan ki taraf nigaah utha kar kahe
اشْهَدُ انْ لّآ اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَه لَا شَرِيْكَ لَه، وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهوَرَسُولُه
(" ASHADU ALLAA ILAAHA ILLALLAAHU WAHDAHU LAA SHAREEKALAHU WA ASHADU ANNA MUHAMMADAN ABDUHU WA RASOOLUHU")
Aur uske liye jannat ke darwaze naa khol diye jaate ho, phir woh jis darwaze se chaahe daakhil ho jaaye.
END OF BAAB 47