WILADAT:-Sarkaar e Alahazrat imam ahmed raza Imame Ahle Sunnat Sayyeduna Imaam Ahmed Raza RADI ALLAHU TA’ALA ANHU Ki Wiladat-
10 Shawwal 1272 A.H
Mutabik- 14 June, 1856
Ko Zuhar ke waqt Bareilly Shareef mein Huyi.
Alahazrat imam ahmed raza ki Wiladat se kuch din pehle aap ke Walid Hazrat Maulana Naqi Ali khan ne ek khwaab dekha.
Aap ne ye khwaab apne Walid Maulana Raza Ali khan Alaihirrahma ko bataya.
Hazrat Maulana Raza Ali Saheb ne khwaab ki tabeer batate hue farmaya ke –
” Ye Ishara hai ke aap ke ghar ek bachcha paida hone wala hai, Jo bada ho kar bada Alim aur muttaqi hoga. Us ki maqbooliyat Poorabh (East) se Pachim (West) tak hogi”.
Ye khush khabri Jo Maulana Naqi Ali khan Alaihirrahma ko di jaarahi thi vo Sarkar e Alahazrat imam ahmed raza ki Wiladat ki hi khush khabri thi….
Tazkira e Mashaaikh e Silsila e Aaliya Qadriyyah Razviyyah
AAP KI ZEHAANAT EK MISAAL SE:-
Alahazrat imam ahmed raza ko Allah Ta’ala ne bahut uloom mein Maharat ataa farmaayi thi…
Hisab o Kitab ke Fann mein bhi aap bahut aage the.
Iska Andaaza is waqiye se hota hai-
Ek martaba Sir Ziauddeen Naam ke ek Hisab o Kitab ke Bade maahir aadmi ek Mas’ale mein phans gaye.
Bahut preshani ke baad jab kahin se bhi kisi se bhi Jawab nahi mil paya to Unhone Germany jaane ka Iraada farmaya.
Ittefaaq ye huwa ke Aligarh ke Ek Maulana ko pata chala to Unhone Sir Ziauddeen ko Farmaya Germany Bahut Door hai aap Ek kaam Kare Bareilly chale jaae “Alahazrat imam ahmed raza” ke paas…
Sir Ziauddeen ne kaha ke “Kaisi baat kar rahe ho ?
Ek aam Maulana,Maulana Ahmed Raza jaisa jo kabhi Padhayi karne apne shehar ke bahar bhi nahi gaya Vo kya is Mas’ale ko hal karega ?”
Magar Fir aakhir kaar Bareilly jaane ko Raazi Ho Gaye
Bareilly Shareef pahunchte hi Alahazrat imam ahmed raza ki Bargah mein Hazir huwe aur Apna Sawaal Hazir kardiya.
Aur Sawal hazir karke Arz ki- “Main abhi Germany Jaa raha hoon, Waapas aaker Aapse Haasil karlunga agar aap Jawab De Paye.”
Sarkare Alahazrat imam ahmed raza us Waqt Masjid ko Tashreef le jaa rahe the,
Masjid mein Daakhil hone se pehle aap ne us Sawaal ko Hal farma diya. (Problem solve kardiya).
Aap ne hal karke Sir Ziauddeen ke hath mein de diya. Sir Ziauddeen use dekhe to unko ehsaas huwa ke ye to Jawab likh kar diya hai. Jab Unhone dekha Jawab ko to dang reh gaye.
Sir Ziauddeen kehne lage ke-
“Aaj mujhe Yaqeen huwa ke I’lm E Ladunni ( Divine Knowledge) bhi koi cheez.
koshish rahegi k aklahazrat ki puri sawaneh hayat le kar aaye