30 ashura ahem waqiyat 10 muharram ko kya kya huwa ashura k Din ko ALLAH TA’ALA Ne
★ ashura ko Apni Shaan ke Mutaabik Arsh Par Istewa Farmaaya,
★ ashura koPehli Baarish Naazil Hui,
★ ashura ko Pehli Rehmat Naazil Hui,
★ ashura ko Hazrat Aadam Alayhis Salaam ki Touba Qabul Hui,
★ ashura koHazrat Idrees Alayhis Salaam ko Maqaam-e-Buland ki Taraf Utha Liya,
★ ashura ko Hazrat Nooh Alayhis Salaam ki Kashti Joodi Pahad Par Thehri,
★ ashura ko Hazrat Ibraahim Alayhis Salaam ki Wilaadat Hui,
★ ashura ko Hazrat Ibraahim Alayhis Salaam ko Apna Khalifa Banaya,
★ ashura ko Hazrat Ibraahim Alayhis Salaam ko Nar-e-Namrud se Mehfuz Farmaaya,
★ ashura ko Hazrat Dawood Alayhis Salaam ki Touba Qabul Hui,
★ ashura ko Hazrat Sulemaan Alayhis Salaam ko Hukumat Wapas Mili,
★ ashura ko Hazrat Ayyub Alayhis Salaam ki Takleef Door Farmaayi,
★ ashura ko Hazrat Musaa Alayhis Salaam ki Wilaadat hui,
★ ashura ko Hazrat Musaa Alayhis Salaam Jaadugaro par Ghalib Aaye,
★ ashura ko Hazrat Musaa Alayhis Salaam ko Salaamati ke Sath Samandar Paar Karaya,
★ ashura ko Firon ko Gharq Farmaaya,
★ ashura ko Hazrat Yunus Alayhis Salaam ki Wilaadat hui,
★ ashura ko Hazrat Yunus Alayhis Salaam ko Machhli ke Peit se Naja’at Ataa Farmaayi,
★ ashura ko Hazrat Yaqub Alayhis Salaam ki Aankho ki Roushni Wapas Aayi,
★ ashura ko Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Kunwe(Well) se Nikle,
★ ashura ko Hazrat Yusuf Alayhis Salaam Qeid se Aazad Hue,
★ ashura ko Hazrat Isaa Alayhis Salaam ki Wilaadat hui,
★ ashura ko Hazrat Isaa Alayhis Salaam ko Aasman ki Taraf Utha Liya Gaya,
★ ashura ko HUZOOR NABI E KAREEM Sallallaho Alayhe Wasallam Ne Hazrate Khatija RadiAllaho Ta’ala Anha se Nikaah Farmaya,
★ ashura ko Imam-e-Hussain RadiAllaho Ta’ala Anho ko Shahaadat ka Martaba Mila,
★ ashurai Din Qayamat Aayegi.
(Ghunya-tu-Taalibeen, Ajaaib-ul-Makhluqat,
Azmat Mah-e-Muharram, Safa-84, 85) imam husain part 1
Leave A Comment