hadis islam hadis nabi alaihissalam in hindi urduHAZRATE NO’MAAN BIN BASHEER رضي الله عنه kehte hai ke MAINE RASOOLALLAH ﷺ ko yeh farmate huwe suna hai ke ek doosre se mohabbat karne aur baaham mushaqqat karne mein musalmaanon ki misaal ek jism jaisi hai , jab jism ka koi uzw takleef mein hota hai to tamaam jism uske ehsaas aur bukhaar mein mubtela hota hai.
HAZRATE ABU MOOSA رضي الله عنه HUZOOR ﷺ se riwaayat karte hai, AAPNE farmaya ke musalmaan, musalmaan ke liye deewaar ki tarah hai jiska ek hissa doosre ko taqwiyat (taaqat) deta hai.
Musalmaan ke huqooq mein se yeh bhi hai ke woh apni zabaan aur kisi feyl (kaam) se doosre musalmaan ko dukh naa pohonchaaye.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke musalmaan woh hai jiske haath aur zabaan se musalmaan mehfooz rahe.
Ek taweel hadees hai jisme HUZOOR ﷺ ne logon ko achhi aadat apnaane ke muta’alliq hukm farmaya hai, farmaya agar tum ye nahi kar sakte ho to logon ko apne shar se mehfooz rakho, ye tumhare liye sadka hai jo tumne apni zaat ke liye diya hai, aur farmaya Afzal musalmaan wo hai jiske haath aur zabaan se musalmaan mehfooz rahe.
HUZOOR ﷺ ne farmaya “jaante ho musalmaan kaun hai ? “ SAHABA E KIRAAM ne arz kiya ke ALLAH ﷻ aur USKA RASOOL ﷺ behtar jaante hai, AAPNE farmaya musalmaan woh hai jiske haath aur zabaan se doosre musalmaan mehfooz rahe. SAHABA ne arz ki momin kaun hai ? AAPNE farmaya jisne apni taraf se musalmaanon ko unke maal aur jaanon mein bekhauf kar diya, poocha gaya muhaajir kaun hai ? AAPNE farmaya jisne buraayiyon ko chhord diya aur unse kinaara-kash raha.
Ek shakhs ne arz kiya “ YAA RASOOLALLAH ﷺ ! Islam kya hai ? “ AAPNE farmaya ye ke tu dil se ALLAH ko tasleem kar le aur tere haath aur zabaan se doosre musalmaan mehfooz rahe.
MUJAAHID رضي الله عنه ka qaul hai ke jahannamiyon par khaarish musallat kar di jaayegi jo tezi se unka gosht khatm karke unki haddiyaan numaaya kar degi, tab nida aayegi aye falaan ! kya ye khaarish tujhe takleef deti hai ? woh kahega haan! awaaz aayegi, ye musalmaanon to takaaleef dene ka tere liye badla hai.
Farmaane NABAWI ﷺ hai MAINE ek aise shakhs ko Jannat me chalte phirte dekha hai jisne musalmaanon ke raaste se ek aise darakht ko kaat diya tha jo unhe takleef diya karta tha.
HAZRATE ABU HURAIRA رضي الله عنه ne arz kiya “YA RASOOLALLAH ! ﷺ mujhe aisa amal batlaayiye jisse Main nafa haasil karun, AAPNE farmaya musalmaanon ke raaste se takleef dene waali cheezon ko door kiya karo.
Farmaane NABAWI ﷺ hai ke jo shakhs musalmaanon ke raaste se aisi kisi cheez ko door kar deta hai, jo unhein takleef deti hai to ALLAH TA’ALA uske badle mein uske liye neki likh deta hai aur uske liye Jannat ko waajib kar deta hai.
Farmaane NABAWI ﷺ
hai, kisi musalmaan ke liye jaaiz nahi hai ke woh apne musalmaan bhai ki taraf aisa ishaara kare jise woh na-pasand karta hai.
Farmaane NABAWI ﷺ hai, kisi musalmaan ke liye ye jaaiz nahi hai ke woh kisi musalmaan ko khaufzada kare.
Neez irshaad farmaya ke ALLAH TA’ALA momin ki takleef ko na-pasand farmata hai.
RABEE’ BIN KHAISAM رضي الله عنه ka qaul hai ki logon ki 2 qismein hai, agar tera mukhaatib momin hai to usey eeza (takleef) na de aur agar jaahil hai to uski jahaalat mein na pado aur bande par musalmaan ka ye bhi haq hai ke woh har musalmaan se tawaazo’ se pesh aaye aur takabbur se pesh na aaye kyunki ALLAH TA’ALA har itraane waale mutakabbir ko na-pasand farmata hai.
Farmane NABAWI ﷺ hai, ALLAH TA’ALA ne MUJHE WAHI farmaayi hai ke TUM tawaazo’ karo aur ek doosre par fakhr wa takabbur naa karo, agar koi doosra TUM se takabbur se pesh aaye to bardaasht karo chunaanche ALLAH TA’ALA ne APNE NABI ﷺ se farmaya hai:
“Darguzar ko apnaiyye , Neki ka hukm kijiye aur jaahilon se munh pher lijiye.”
HAZRATE IBNE ABI AUFA رضي الله عنه se marwi hai ke HUZOOR ﷺ har musalmaan se tawaazo’ se pesh aate aur bewaa aur miskeen ke saath chal kar unki haajat rawaayi karne mein aa’r mehsoos naa farmate aur naa takabbur se kaam lete.
Huqooq ul ibaad mein yeh baat bhi daakhil hai ke logon ki baatein ek doosre ko naa bataayi jaaye aur kisi ki baat sunkar kisi doosre ko naa sunaayi jaaye.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke chugalkhor Jannat mein nahi jaayega.
Farmane NABAWI ﷺ hai jisne kisi musalmaan bhai ko uski lagzish ke sabab chord diya ALLAH TA’ALA usey qayamat mein chord dega.
Leave A Comment