Hazrat abubakar sidd raziallahuanh ki nasihate quotes
quotes 1) Dusro ki shikayat na karo to tumko sukun aur itminan nasib hoga
quotes 2) Bure kaam karne wale ka sath dena khud bura kaam karna hai
3) Acche amal burai se bachate hai
4) Jo gunaah tum se huye hai un ke badle me nakiya karke apne aap ko azab se bachao
5) Namaaz wahi hai jo dil lagaa kar padhi jaye
6) Ilm paigambaro ki miras hai
7) Ye sharm ki baat hai k subah tadke uthne me tum chidyo se haar jao
8) Agar izzat chahte ho to dusro ki khatir tawazo karo
9) Mansab aur auhde k laalach se bacho to izzat -w- shohrat tumhare piche piche dodhegi
10) Tin aadate insan ke liye wabal-e- jaan hoti hai:
Zulm
Wada khilafi
Dhoka dena
11) Jo allah ke dost hote hai wo apna sara maal allah ki raah me sadqa kar dete hai
12) Gunah ek andhera hai jise allah ka khaof door karsakta hai
13) Aakherat bhi ek andhera hai jise nek amal ki roshni door karsakti hai