12 Rabi-ul-Awwal Milad-Un-Nabi Ki Haqeeqat Eide Milad par Khushi kyun
Hum Eid Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lugvi Mana Hai Khushi Agar Koi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega Eid .
Ise Samjhane K Liye Mai Quran Ki Ek Ayat Pesh Karta Hu
Kaha Esa Aban E Mariyam Ne: Aye ALLAH! Aye Hamare Rab!Hum Par Aasman Ss Ek Khuwan Utar Ke Wo(Khuwan Utarne Ka Din) Hamare Liye Eid Ho,Hamare Aglon Aur Pishlo Ki.(Surah Maida Ayat 114)
Is Ayat Se Maloom Hua Ke Jis Din Allah Ki Khass Rahemat Nazil Ho Us Din Ko Eid Manana Aur Khushi Manana Allah Ka Shukar Ada Karna Ambiya Ka Tarika Hai Tabhi To Hazrat Esa Ne Dua Mangi
Aap Khud Faisla Kare Ke Jis Din Hazrat Esa Alihissalam Par Khuwan E Nemat Utry To Wo Un K Agly Aur Pichlon K Liye Eid Ho To Jis Din Sare Alam K Liye Jahan K Liye Jo Zaat Rahemat Hai Un Ki Wiladat Ho To Us Din Musalmano K Liye Eid Yani Khushi Kaise Na Ho?
Hazrat Allama Mulla Ali Qari Miskat Ki Shrah Me Imam raghim K Hawale Se Lafz E Eid Ki Wazahat Farmate Hue Likhte Hai Imam Raghib Ne Farmaya Ke Eid Ka Lugvi Aitebar Se Us Din Ko Kahete Hai Jo Bar Bar Laot Kar Aaye Aur Shariat Ki Istelat Me Eid Ul Fitar Aur Eid Ul Azha Ko Kahete Hai Aur Jab K Ye Shariat Me Khushi Manane K Liye Mukarrar Kiya Gaya Hai Jis Tarha Nabi Sallallaho Alihe wasallam Ne Apne Is farman me Tambih Ki hai Ke (Aitam E Mina Khane Pine Aur Azdwajiyat Ke Din Ha) Lihaza Eid Ka Lafz Har Khushi K Din K Liye Istemal Hone Laga (Mirat Ul Mafateh, Kitabul Salat Bab Ul Juma)
Dekha Aap Hazrat Ne Ke Itne bade Imam Mulla Ali Qari Aur Imam Raghib Bi Yahi Farma rahe hai K Eid Ka Lafaz Har Khushi K Din K Liye Istemal Hota Raha Hai
NABI e Mu’ajjam, Sarapa Judo karam Salllaho Aliahe Wasallam ne farmaya ki Juma’a ka din sab dino ka sardar hai, ALLAH ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH ke nazdik Eidul Azha aur Eidul Fitr se bada hai. ALLAH ne isi me Hazrate ADAM alaihissalam ko paida kiya, Isi me Zameen par unhe utara Aur Isi me Unhe wafat di.[Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8, Hadith No. 1084]zakat k khas masail
Is Hadees me Teen khaslate Hazrate Aadam alaihissalam ke liye bayan ki gai, jisme aap ki wafat ka bhi zikr hai, to pata chala ki ek nabi ki paidaesh, unka zameen par utarna, aur unki wafat ke din ke bawajud bhi Mo’amino ke liye ALLAH ne use Eid bana diya. Ki woh din Eidul Azha aur Eid ul fitr se bhi afzal kar diya.Tou hamare Sarkar e do Jahan jo ki tamam ambiya ke sardar hai, unki tashrif aavari par hum us din ko kyun Eid na kahe, balke hum tou use Eido ki Eid kahenge, ki unki tashrif aavri ki wajah se hi tou hume baki Eid mili aur har hafte me ek eid karke pure saal me 52 Eido (juma) ka tohfa mila woh isi rahmatalil aalamin ki tashrif aavari se mila hai. tou hum kyun us din khushi na kare?
MILAD ME NAAT PARHNA
Huzur SallAllaho alaihe wasallm Hazrat Hassan razi Allah anho k lye Masjid e Nabvi shareef me Minbar rakhte or Hazrat Hassan us par kharey ho kar Huzur SallAllaho alaihe wasallm ki shan e aqdas me naatia ashaar parhte the or Huzur SallAllaho alaihe wasallm farmate: jb tak Hassan mere baare me naatia or
fakharia ashaar parhta rahe ga to beshak Allah taala roohul uqdas (Hazrat Jibrail alehsalam) k zarye Hassan ki madad farmata hai(Sunan abu Dawood,Kitab ul adab, baab ma jau fi’shaar, Jild 5 Page 176 Hadith No 5015)(Sunan Tirmizi,kitab ul adab,baab ma jau fi inshad’shaar, Jild 3 Page 562,561 Hadith No 2846)Asib jinnat se hifazat k liye taweez naqsh
MILAD OR ABU LAHAB
Jab Huzur Sallallaho Alihe Wasallam Ki Wiladat Hui Tab Abu lahab Ki Laundi Sobiya Ne Abu Lahab Se Kaha K Tujhe Bhatija Hua hai Is Khushi Me Abu Lahab Ne Apni Us Laundi Ko Ungli K Ishare Se Aazad Kiya Tha “Pas Jab Abu-Lahab Mar Gaya To Uske Baad Ahl-e-Khana Ne Use Khuwab Mein Buri Haalat Mein Dekha To Usse Puchha
“Tera Kiya Haal Hai To Abu-Lahab Ne Kaha:Maine Tumhare Baad Koi Bhalaa’ee Nahi PayiLekin Mujhe Us Ungli Se Paani Diya Jata HaiIs Se Maine Hazrat Muhammad (Sallalahu AlaihiWa Salam) Ki Wiladat Ki Khushi Mein Sobiya (Abu-Lahab Ki Londi) Ko Aazad Kiya Tha(Sahih Bukhari, Vol. 1, Page 153, Hadith No 5101, Kitaabun Nikaah)
“Tera Kiya Haal Hai To Abu-Lahab Ne Kaha:Maine Tumhare Baad Koi Bhalaa’ee Nahi PayiLekin Mujhe Us Ungli Se Paani Diya Jata HaiIs Se Maine Hazrat Muhammad (Sallalahu AlaihiWa Salam) Ki Wiladat Ki Khushi Mein Sobiya (Abu-Lahab Ki Londi) Ko Aazad Kiya Tha(Sahih Bukhari, Vol. 1, Page 153, Hadith No 5101, Kitaabun Nikaah)
Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Alaih Rehma nay MA SABTA MINAS SUNNA main (Sahih Bukhari, V1, P153, Hadith No. 5101 Kitabunnikah ) Ki Ye Hadith naqal farmaya hai, Abu Lahab ki londi thee jiska naam Sobia tha, usnay Sarwar e Do Alam Sallallaho Alaihay Wasallam ki peda’ish par Abu lahab ko khabar di thee to Aap Sallallaho Alaihay Wasallam ki peda’ish ki khabar sunnay par Abu Lahab nay Sobia ko azaad kardiya …tha. Tou Abu Lahab k marnay k baad kisi nay usay khuwaab main dekha, poocha k ‘kaho kia haal hay’ to woh bola AAG main hoon albatta itna karam hay k har Peer ki raat mujh par takhfeef kardi jaati hay aur isharay say bataya k APNI DO UNGLIYUN SAY PANI CHOOS LAYTA HOON, aur yeh inayat mujh par is waja say hay k mujhay Sobia nay bhatijay ki peda’ish ki khabar di thee to is basharat ki khushi main, mainay usay do ungliyun k isharay say azaad kardi tha aur phir usnay usay doodh pilaya tha.Celebrating
ispar Allama Jazri Alaih Rehma farmatay hain k jab Abu Lahab jaisay kafir k yeh haal hay k usko Huzoor Sallallaho Alaihay Wasallam ki wiladat ki peda’ish ki raat khush honay par dozakh ki aag main bhe badla dia jaraha hay tou Rasool Allah Sallallaho Alaihay Wasallam ki ummat main say un logon k haal ka kia poochna jo aap ki peda’ish k bayan say khush hotay hain aur jis qadar bhe taqat hoti hay unki Muhabbat main kharch kartay hain, mujhay apni umar ki qasam! k unki jaza Khuda e Kareem ki taraf say yehi hogi k unko apnay fazal e ameem yani fazl e kamil say jannat un Naeem main daakhil farmaye ga.Pyare Islami Bhaiyo Zara Gour kare Jab Abu Lahab Ko Apne Bhatije Yani Muhammad Sallaho Alihe wasallam Ki Wiladat Par Unhe Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Man Kar Nahi Balki Apna Bhatija Maan kar Khushiya Manaya Tha To Use Ye faida Hua k Usi Ungli Se Use Pani Pilaya jata hai Jisse Usne Apne Bhatije Ki Wiladat Ki Khushi Me Apni Laundi Sobiya Ko Azad Kiya ThaHum Musalman To Nabi Salllaho Aliahe Wasallam Maan Kar Wliadat Ki Khushi Manate Hai To Socho K Hume Allah Ki Bargah Se Kya Kya Inaam Milege Duniya Aur aakhirat Me
MILAD KHUD NABI NE MANAI
Huzoor Ke Zamane Me Masjid-E-NabwiMe Milaad Huyi Isme Khud Huzoor Salllaho Aliahe Wasallam NeApni Wiladat Ke Fazail Bayan kiye.(Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201)Hazrat Abu Qatada RadiAllah Anhu Se Riwayat Hai Rasool-E-Karim SalllahoBukhar ka naqsh taweez for bukhar
Aliahe Wasallam Se Peer Ka Roza Rakhne Ke Bare Me Sawal Kiya Gaya To Aap Salllaho Aliahe Wasallam Ne Farmaya K Isi Din Meri Wiladat Hui Aur Isi Din Mujh par Quran Nazil Hua”(Sahih muslim Jild 2.hadith no 819 .page 1162)(nasai al sunane kubra Jild 2 hadith 146 page 2777)
Aliahe Wasallam Se Peer Ka Roza Rakhne Ke Bare Me Sawal Kiya Gaya To Aap Salllaho Aliahe Wasallam Ne Farmaya K Isi Din Meri Wiladat Hui Aur Isi Din Mujh par Quran Nazil Hua”(Sahih muslim Jild 2.hadith no 819 .page 1162)(nasai al sunane kubra Jild 2 hadith 146 page 2777)
12 RABIUL AWWAL PAR ULMA
12 Rabi Ul Awwal:12 Rabi Ul Awwal ParTamam Ulama E Islam Ka Ijma Hai K Is Din Muhammad Salllaho AliheWasallam Sare Alam K liye RahamatBankar Duniya Me
Tashreef Laye AurIsi Din Sari Duniya Me Musalman ApneNabi Ki Wiladat Ka Jashan KarteHaiRefrance:1. Ibn-e-Ishaq (85-151 H):
[Ibn Jawzi in al–Wafa, Page 87]2.Allama Ibn Hisham (213 H): [IbnHisham in As-Sirat–un–Nabawiya, Vol. 1, Page 158] 3. Imam Ibn Jarir Tabari(224-310 H): [Tarikh al–Umam wa al–Muluk, Vol. 2, Page 125] 4. Allama Abual-Hasan Ali bin Muhammad Al–Mawardi (370-480 H): [Ailam–un–Nabuwwa, Page 192]5. Imam Al-Hafiz Abu-ul-Fatah Al–Undalasi (671-734 H): [Aayun al–Asr, Vol. 1, Page 33] 6.Allama Ibn Khaldun (732-808 H): [IbnKhaldun in At-Tarikh Vol. 2, Page 394] 7. Muhammad As-Sadiq IbrahimArjoon: [Muhammad Rasoolullah, Vol. 1, Page 102] 8. Shaykh Abdul-HaqMuhadath Dehlvi (950-1052 H): [Madarij–un–Nabuwwah, Vol. 2, Page 14] 9. Imam Qustallani (Alaihir RaHma) [Al Muwahib al Laduniya, Vol. 1, Page 88]
[Ibn Jawzi in al–Wafa, Page 87]2.Allama Ibn Hisham (213 H): [IbnHisham in As-Sirat–un–Nabawiya, Vol. 1, Page 158] 3. Imam Ibn Jarir Tabari(224-310 H): [Tarikh al–Umam wa al–Muluk, Vol. 2, Page 125] 4. Allama Abual-Hasan Ali bin Muhammad Al–Mawardi (370-480 H): [Ailam–un–Nabuwwa, Page 192]5. Imam Al-Hafiz Abu-ul-Fatah Al–Undalasi (671-734 H): [Aayun al–Asr, Vol. 1, Page 33] 6.Allama Ibn Khaldun (732-808 H): [IbnKhaldun in At-Tarikh Vol. 2, Page 394] 7. Muhammad As-Sadiq IbrahimArjoon: [Muhammad Rasoolullah, Vol. 1, Page 102] 8. Shaykh Abdul-HaqMuhadath Dehlvi (950-1052 H): [Madarij–un–Nabuwwah, Vol. 2, Page 14] 9. Imam Qustallani (Alaihir RaHma) [Al Muwahib al Laduniya, Vol. 1, Page 88]
EADE MILAD QURAN SE
1). “Tum Farmao ALLAH Hi Ke FazalAur Usi Ki Rehmat Aur Usi Par Chahiye Ke Khushiya Kare (Surah Yunus Ayat58)
Is Ayat Me Allah Azzawajal Ne ApneFazal Aur Apni Rahamat Par KhushiyaManane Ka Hukum Diya
(2). “Or Humne Tumhe Na Bheja MagrRahmat Sare Jahan K Liye” (SurahAmbiya Ayat 107)
Is Ayat Me Allah Azzawajal Apne PyareNabi Salllaho Aliahe Wasallam SeFarma Raha Hai K Humne Tu
mhe Sirf 1 Ya 2 Aalam K Liye Nahi Balki SareAalam K Liye Rahamat Bana Kar BhejaYaha Gour Kare Allah
Ne Nabi SalllahoAliahe Wasallam Ko Rahamat Kaha haiAur Jo Paheli Ayat Pesh Ki Gai HaiUsme Allah Ne Apni Rahamat ParKhushi karne Ka Hukum Diya Hai
Jo In Ayato Ka Munkir Honga Jo NabiSalallah Aihe Wasallam Ko Apne LiyeAllah Ki Rahamat Aur Nemat NahiSamajta Wo Nabi E Pak Salllaho AliaheWasallam Ki Wiladat Ki Khushi SeAitaraz Karega Yani Wo
Gum ManaegaNabi Salllaho Aliahe Wasallam KiWiladat par
(3). “Apne Rab Ki Nemato Ka KhoobKhoob Charcha Karo” (Surah DuhaAyat11)Is Ayat Me
Allah Azzawajal Ne Hume Apni Nemato Ka Charcha karneKa Hukum Diya. Har Momin Ye JantaHai Ki Allah
Azzawjal Ki Subse BadiAur Azeem Nemat Hamare Liye UskeRasool Salllaho Aliahe
Wasallam Hai
Is Baat Ko Samjhane K Liye Mai QuranKi Ek Ayat Pesh Karta Hu AllahAzzaajal Farmata Hai:“Humne Mominoper Ahesan
kiy
a, ki jab unme apneRasool Salllaho Aliahe Wasallam kobhej diya” (Sureh Al-Imran, Ayat164)Mere Pyare Islami Bhaiyo AapSara Quran Pad Lijiye Kisi Bhi JagahAllah Azzawajal Ne Ye Nahi Kaha KHumne Tumhe Ye Nemat DekarTumpar Ahesan Kiya hai Siwae ApneMaheboob
Nabi Salllaho AliaheWasallam K Isse Malum Hua K Allah KiSubse Badi Nemat Hamare Liye UskeNabi Salllaho Aliahe Wasallam Hai
MILAUNNABI PAR JANDE LAGANA
Juloos Nikalna Aur Usme Ya Rasool Allah K Nare lagana:
Jab Aaqa Salllaho Aliahe Wasallam Hijrat Kar K MADINA Sharif Aaye To Logon Ney Khoob Jashan ManayaNojawan Larkey Apni Chatton Par Charh KarAur Gulam, Khuddam Raasto Me Phirte TheyAur Nara’Aey Risalat Lagate Aur KehteYA RASOLALLAH.
(Sahih Muslim Jild 2 Page 419)
Jhande Lagana:
Hazrate Amina farmati hai K Jab Mere Hai Muhammad Salllaho Aliahe Wasallam Ki Wiladat Hu Us waqt Hazrat Jibrail Alihissslam Ne 3 Jhande Nasab Kiye Ek Magrib Me Ek Mashrik Me Aur Ek Kabe Ki Chat parIs Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddith Dahelvi Rahamatullah Ahlie Ne Apni Kitab Madarijunnabuwa Jild 2 Me Naqal Kiya Hai
IMAM QASTALANI KA FARMAN
Iimam Qastalani (Rahimullah) farmate hain :“Chahiye Eeman walo ki tum Milad-e-Mustafa Salllaho Aliahe Wasallam ko Eid ke taur par manaya karo. Allah Apna Fazl aur Ehsan kare unn
logo par jo Rabi ul Awwal ki raato’n ko Eid ke taur par manate hain, kyunki iss maheene ko Eid ke taur par manane se Unn Dilo’n par aur Unn logo par Ghazab utarta hai Jinke Dilo’n mein Bughz aur Munafikat ki Bimari hai.” (Imam Qastallani, Al Muwahib al Luduniya, Jild No. 1, Safa No. 148)
logo par jo Rabi ul Awwal ki raato’n ko Eid ke taur par manate hain, kyunki iss maheene ko Eid ke taur par manane se Unn Dilo’n par aur Unn logo par Ghazab utarta hai Jinke Dilo’n mein Bughz aur Munafikat ki Bimari hai.” (Imam Qastallani, Al Muwahib al Luduniya, Jild No. 1, Safa No. 148)
MILAD OR SHAITAN
Shaitan Kaheta Hai Ki Mai Barso Jannat Me Raha, Farishto Ka Sardar Ban Gaya, Magar Jab Ye AADAM (Nabi) Paida Huwa To Mere Liye Badi Musibat Paida Ho Gai, Yaha Tak Ki Mujhe Jannat Se Bhi Nikal Diya Gaya!!! Phir Jab Jab Koi NABI Paida Hota Woh Gumraho Ko Sahi
Raah Dikha Kar Jannat Me Le Jata Aur Tab Tak Ki Meri Sari Mehenat Mitti Me Mil Jati. Aur Aakhir Me Jab Aakhiri NABI MUHAMMAD Paida Huwa Tab To Mai Itna Roya Jitna Pahele Jannat Se Nikalne Par Roya Tha, Aur Usne Meri Tamam Mehnat Par Pani Pher Diya.(Hafidh Ibn-Kathir in Al-Bidayah wal Nihayah, Volume No. 2, Page No. 166)
Raah Dikha Kar Jannat Me Le Jata Aur Tab Tak Ki Meri Sari Mehenat Mitti Me Mil Jati. Aur Aakhir Me Jab Aakhiri NABI MUHAMMAD Paida Huwa Tab To Mai Itna Roya Jitna Pahele Jannat Se Nikalne Par Roya Tha, Aur Usne Meri Tamam Mehnat Par Pani Pher Diya.(Hafidh Ibn-Kathir in Al-Bidayah wal Nihayah, Volume No. 2, Page No. 166)
Note: AGAR AISI NISHANIYA KISI ME DIKHAI DE TOU SAMJHO WOH SHAITAN KI NASIHAT LEKAR AAYA HAI
Nisar Teri Chahal Pahal Par Hazar Eiden Rab Ul Awwal Siwa E Iblees K Jahan Me Sabhi To Kushiya Mana Rahe He
Leave A Comment