ANAAB FUZAIL BIN AYAAZ رضي الله عنه ka qaul hai ke MUJHE teen shakhson par bohot rehem aata hai , qaum ka sardaar jo zaleel ho jaaye , qaum ka gani jo mohtaaj ho jaaye aur woh Aalim jisey duniyadaari se fursat nahi hoti.
JANAAB E HASAN رضي الله عنه ka qaul hai, Ulemaa ka azaab dil ki maut hai aur dil ki maut Aakhirat ke badle duniya ka husool hai.
kisi shayar ne kya khoob kaha hai:
1- mujhe hidaayat ke badle zalaalat khareednewale par ta’ajjub huwa aur jo deen ke badle duniya khareedta hai woh us sey zyada ta’ajjub-khez baat karta hai.
2- aur unse zyada ta’ajjub-khez baat yeh hai ke insaan galat deen ke badle me apna sahi deen bech deta hai.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke aalim ko jahannam mein aisa azaab diya jaayega jiski shiddat se woh jahannamiyon mein ghoomta rahega, HUZOOR ﷺ ki muraad aise aalim se faajir o faasiq aalim se thi.
BE AMAL AALIM KA ANJAAM :
HAZRATE USAMA BIN ZAID رضي الله عنه se riwaayat hai ke Maine RASOOLALLAH ﷺ se suna, AAP farma rahe the, qayamat ke din ek Aalim ko laaya jaayega aur usey jahannam mein daala jaayega , uski aantein nikal aayegi aur jahannam mein aanton ke bal aise ghoomega jaise gadhaa chakki ke gird ghoomta hai, jahannamwaale usey apne gird ghoomta dekhkar us sey amal poochenge , tab woh Aalim kahega ke main auron ko to neki ka hukm deta tha magar khud uspar amal nahi karta tha, logon ko buraaiyyon se rokta tha magar khud nahi rukta tha.
Aalim ko gunaahon ke sabab dohraa azaab isliye diya jaayega kyunki woh ilm ke baawajood gunaah karta raha , isi liye farmaane NABAWI ﷺ hai;
Munaafiqeen beshak jahannam ke nichley tabqe mein hoge.
Isliye ke unhone ilm ke baawajood HUZOOR ﷺ ki NABUWWAT wa sadaaqat ka inkaar kiya.
ALLAH TA’ALA ne nasaara ke ALLAH ka beta aur USEY teen mein se teesra kehne ke baawajood yahood ko unsey baddtar qaraar diya kyunki yahood ne ilm ke baawajood HUZOOR ﷺ ki NABUWWAT ka inkaar kar diya tha chunaanche farmane ILAAHI hai;
“Woh (yahood) AAPKO pehchaante hai jaise ke apne beton ko pehchaante hai.”
Mazeed irshaad farmaya;
“Pas unke paas woh kuch aaya jisey woh pehchaante the to unhone us sey kufr kiya , pas kaafiron par ALLAH ki laanat hai.”
ALLAH TA’ALA ne bal’am bin baawra ke qissey mein irshaad farmaya ;
“Aur un logon par us shakhs ka qissa bayaan kar jisey HUMNE APNI nishaaniyaan di pas woh unmein se nikal gaya aur shaitaan ne usey peechey lagaaya, pas woh gumraahon mein se hogaya.”
Aur yeh bhi irshaad farmaya ke;
“Pas uski misaal kutte ki misaal jaisi hai, agar tu uspar bojh daal de to woh zabaan latkaata hai aur agar usey chord de to bhi zabaan latkaata hai.”
Isi tarah faasiq o faajir Aalim ka anjaam hota hai kyunki bal’aam ko kitaabullah ka ilm diya gaya tha magar usne khwaahishaat e nafsaani ko apna liya lihaaza uske liye kutte ki misaal di gayi yaani usey chaahe hikmat wa ilm diya gaya yaa nahi , woh har haalat mein shehwaat ki taraf zabaan latkaata rehta hai.
HAZRATE ISAA عليه السلام ne farmaya bure Ulemaa ki misaal aisi chattaan ki si hai jo neher ke munh par gir gayi ho , naa woh khud sairaab hoti hai aur naa hi woh paani ko raasta deti hai ke us sey khetiyaan sairaab hon.
Leave A Comment