lm ki ahmiyat hadis e nabawi alaihissalam Farmane NABAWI ﷺ hai ke jo apna ilm chupaata hai ALLAH TA’ALA usey aag ki lagaam dega ,neez irshaad farmaya ke MAIN dajjaal se zyada un logon par tumhare liye darta hun, poocha gaya woh kaun hai? AAPNE farmaya gumraah-kun Imaam. Mazeed farmaan hota hai ke jo shakhs ilm ko badhaata hai magar hidaayat mein nahi badhta, ALLAH TA’ALA se uski doori badhti rehti hai.
HAZRATE ISAA عليه السلام ne farmaya, tum jo hairaan o pareshaan logon ke saath baithne wale ho , andheri raat mein aanewalon ke liye ilm o hikmat ke raaste kaise saaf karoge.?
Yeh aur un jaisi aur bhi bohot si ahaadees hai jo ilm ke khatraat se aagaahi bakshti hai , kyunki Aalim yaa to daaimi halaakat paata hai yaa phir daaimi sa’aadat se sarfaraaz hota hai aur agar Aalim ilm ki justajoo mein salaamati se mehroom ho jaaye to sa’aadat ko  kabhi bhi nahi paa sakta.

HAZRATE UMAR رضي الله عنه ne farmaya MAIN is ummat par sabse zyada munaafiq Aalim se khauf-zada hota hun, logon ne kaha munaafiq Aalim kaisa hota hai ? AAPNE farmaya uski zabaan aalim hoti hai magar uska dil aur amal jaahil hota hai.
JANAAB E HASAN رضي الله عنه ka qaul hai ke un logon mein se naa ho jo Ulemaa ka ilm aur daanishmandon ki hakeemaana baatein jamaa karta hai magar amal bewaqoofon jaise karta hai.
Kisi shakhs ne HAZRATE ABU HURAIRAH رضي الله عنه se kaha main ilm seekhna chaahta hun aur is baat se darta hun kahin Main usey zaaya naa kar dun , AAPNE kaha ilm ka chord dena hi bohot bada zayaa’ hai.
JANAAB E IBRAHIM BIN UYAIYNA رضي الله عنه se kaha gaya logon mein se taweel sharmindagi paanewala shakhs kaun hai ? UNHONE farmaya duniya mein to aise shakhs se bhalaayi karnewala jo kufraane ne’mat ka aadi hai aur maut ke waqt gunahgaar Aalim.

JANAAB KHALEEL BIN AHMED رضي الله عنه ka qaul hai ke 4 qism ke aadmi hai, ek woh jo jaanta hai aur yeh bhi jaanta hai ke woh ilm rakhta hai, woh Aalim hai, uski ittebaa’ karo, doosra woh jo ilm rakhta hai magar usey maaloom nahi ke woh ilm rakhta hai ,woh soya huwa hai usey jagao, teesra woh jo nahi jaanta aur woh yeh samajhta hai ke woh kuch nahi jaanta, woh rehnumaayi chaahnewala hai, uski rehnumaayi karo, chautha woh jo nahi jaanta aur samajhta yeh hai ke woh bohot kuch jaanta hai woh jaahil hai , us sey door raho.
JANAAB E SUFIYAN رضي الله عنه ka qaul hai ke ilm amal se bolta hai , agar insaan amal kare to sahi warna ilm Kooch kar jaata hai.

JANAAB IBNE MUBARAK رضي الله عنه ka qaul hai ke aadmi jab tak ilm ki talaash mein rehta hai woh Aalim hota hai, aur jyunhi woh khud ko Aalim samajhne lagta hai, jihaalat ki taareekiyon mein chala jaata hai.