Alim or jahil by hadise nabawi Ulemaa e soo se hamaari muraad woh Ulemaa hain jo ilm ke husool se dunyawi ne’maton ke kamaane ka iraada rakhte hai , dunyawi qadr wa manzilat chaahte hai aur duniyadaaron ke hum-palla banna chaahte hai.
SAIYYADE DO AALAM ﷺ ka irshaad hai ke qayamat ke din sakht tareen azaab us Aalim ko hoga jisey ALLAH TA’ALA ne uske ilm se nafaa-andoz nahi hone diya.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke aadmi us waqt tak Aalim nahi hota jab tak ke apne ilm ke mutaabiq amal naa kare.
Farmane NABAWI ﷺ hai ilm ki do qismein hai zabaani ilm , jo logon par ALLAH ki hujjat hai , qalbi ilm aur yahi ilm logon ko nafaa denewala hai.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke aakhir zamane mein jaahil ibaadat guzaar aur faasiq Aalim honge.
Farmane NABAWI ﷺ hai Ulemaa par tafakkhur jataane, bewaqoofon se jung wa jadaal karne aur logon ko apni taraf mutawajjah karne ke liye ilm haasil na karo, jo bhi aisa karega, jahannam mein jaayega.
Leave A Comment