hadis Husne akhlaq k bare me nabi ki hadisHAZRATE ABU DARDAA رضي الله عنه se marwi hai ke MAINE RASOOLALLAH ﷺ ko yeh farmate suna ke sabse pehle meezaan e amal mein husne khulq aur sakhaawat rakhi jaayegi , jab ALLAH TA’ALA  ne imaan ko paida farmaya to usne arz ki AYE ALLAH !  Mujhe quwwat ataa farma ,to ALLAH TA’ALA ne usey husne khulq aur sakhaawat se taqwiyyat bakshi aur jab ALLAH TA’ALA ne kufr ko paida farmaya to usne arz ki AYE ALLAH ! Mujhe quwwat baksh, to USNE usey bukhl aur badkhulqi se taqwiyyat bakshi.

Farmane NABAWI ﷺ hai ke ALLAH TA’ALA ne is Deen ko APNE liye pasand farma liya hai, tumhara yeh Deen sakhaawat aur husne khulq ke bagair sahi nahi hota , hoshyaar !  Apne aamaal ko in do cheezon se zeenat baksho.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke husne khulq ALLAH TA’ALA ki azeem tareen  makhlooq hai. HUZOOR ﷺ se arz ki gayi ke kaunse momin ka imaan afzal hai ? AAPNE farmaya jiska khulq sabse behtar hoga.
HUZOOR PURNOOR ﷺ ka irshaad hai ke bilaa shubha tum logon ki maal o daulat ke zariye imdaad nahi kar sakte lihaaza unki khanda peshaani aur husne khulq se madad karo.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke bad-khulqi aamaal ko is tarah zaaya kar deti hai jaise sirka shahed ko kharaab kar deta hai.

HAZRATE JAREER BIN ABDULLAH رضي الله عنه se marwi hai ke HUZOOR ﷺ ne farmaya beshak TUM aise jawaan ho ke ALLAH TA’ALA ne TUMHARI khilqat ko behtareen kiya hai lihaaza TUM apna khulq behtareen karo. HAZRATE BARAA’ BIN AAZIB رضي الله عنه se marwi hai HUZOOR ﷺ logon se zyada khoobsurat aur behtareen khulq waale the. HAZRATE ABU SAEED BADRI رضي الله عنه se marwi hai HUZOOR ﷺ APNI dua mein yun arz karte hain, AYE ALLAH ! Jaise TU ne MERI takhleeq ko behtareen kiya hai waise hi MERI khulq ko behtareen farma.
HAZRATE ABDULLAH BIN UMER رضي الله عنهما se marwi hai HUZOOR ﷺ aksar yeh dua farmaya karte;
AYE ALLAH ! MAIN TUJHSE sehat, salaamati, aur husne khulq ka sawaal karta hun.

HAZRATE ABU HURAIRA رضي الله عنه se marwi hai, HUZOOR ﷺ ne farmaya insaan ki sharaafat uska Deen hai, uski neki husne khulq hai aur uski murawwat uski aql hai.
HAZRATE OSAMA BIN SHAREEK رضي الله عنه se marwi hai ke MAIN aaraabiyon (dehaatiyon) ki majlis mein haazir huwa, woh HUZOOR ﷺ se pooch rahe the ke insaan ko ataa-shudaa bhalaaiyyon mein se kaunsi bhalaayi oomda hai ? AAPNE farmaya husne khulq.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke qayamat ke din MUJHE sabse zyada mehboob aur MUJHSE qareebtar woh log honge jo tum mein se behtareen khulq rakhte hai.
HAZRATE IBNE ABBAS رضي الله عنهما se marwi hai ke HUZOOR ﷺ ne farmaya teen khaslatein hai, jis shakhs mein woh teenon yaa unmein se koi ek paayi jaaye, uske kisi amal ko shumaar mein naa lao, parhezgaari, jo usey ALLAH TA’ALA ki naafarmani se baaz rakhti hai, hilm, jis sey woh bewaqoof ko rok deta hai, husne khulq jis sey muttasif ho kar woh zindagi basar karta hai.

HUZOOR ﷺ namaz ki ibtedaa mein yeh dua farmaya karte the ke AYE ALLAH ! MUJHE behtareen khulq ki hidaayat farma,TERE siwa kaun hai jo husne khulq ki hidaayat de , MUJHE  bad-khulqi se najaat de , bad-khulqi se bachaanewala TERE siwa aur kaun hai.
AAPSE daryaaft kiya gaya ke  insaan ki zeb o zeenat kis baat mein hai ? AAPNE farmaya kalaam mein narmi, kushaada-rui aur khanda peshaani ka izhaar.
Jo shakhs logon se ehsaan karta hai aur husne khulq se muaamla rakhta hai, aisa insaan logon ko gawaara hota hai aur log uski taareefein karte hai , jaisa ke ek shayar kehta hai;
1-  jab tu ne bhalaayi ki tamaam aadat ko jamaa kar liya aur sab logon se achcha bartao kiya ,
2- to tu SAAHIBE ARSH se apni  jama-karda neki ko gum nahi paayega aur naa hi ALLAH TA’ALA ki makhlooq se saamne aur peeth peeche apni taareefon ko gum paayega.