akhlaq k bare me hadis  ALLAH TA’ALA ne APNE PYAARE NABI AUR HABEEB ﷺ ki taareef farmaate huwe aur ne’maton ka UNKE liye izhaar karte huwe ishaara farmaaya :
“Beshak AAP SAAHIBE KHULQ E AZEEM hain.”
HAZRATE AYESHA SIDDIQUA رضي الله عنهما  se marwi hai ke RASOOLALLAH  ﷺ ka khulq Quraan tha.
Ek shakhs ne HUZOOR ﷺ se husne khulq ke muta’alliq sawaal kiya to AAPNE yeh aayat e Mubaraka padhi:
“Darguzar karna ikhtiyaar karo, neki ka hukm karo aur jaahilon se munh pher lo.”
Phir HUZOOR ﷺ ne farmaya husne khulq yeh hai ke tu qataa ta’alluq karnewalon se sila rehmi kare, jo tujhe mehroom kare tu usey ataa kare  aur jo tujh par zulm kare tu usey maaf kar de.
HUZOOR ﷺ ne farmaya ke MAIN isliye mab’oos kiya gaya hun ke oomda akhlaaq ko paaya e takmeel tak pohonchaun , mazeed irshaad farmaya ke qayamat ke din meezaan e aamaal mein sabse bhaari cheez khauf e KHUDA aur husne khulq hoga.

Ek shakhs HUZOOR ﷺ ki khidmat mein haazir huwa aur arz ki YAA RASOOLALLAH ﷺ ! Deen kya hai ? AAPNE farmaya husne khulq, phir daayein taraf se aaya aur arz ki Deen kya hai? AAPNE farmaya husne khulq,  phir woh baayein taraf se aaya aur arz ki YAA RASOOLALLAH ﷺ ! Deen kya hai ? AAPNE farmaya husne khulq, phir woh shakhs AAPKE aqab (peeche) se aaya aur arz ki YAA RASOOLALLAH ﷺ ! Deen kya hai ? AAPNE uski taraf tawajjoh farmayi aur farmaya “Unhein maaloom hai AAP gazab nahi farmayenge.”
SARKARE DO AALAM ﷺ se poocha gaya ke nahoosat kya hai ? AAPNE farmaya badkhulqi.
Ek shakhs ne HUZOOR ﷺ se arz ki ke mujhe waseeyat kijiye , AAPNE farmaya, jahaan bhi raho ALLAH TA’ALA se darte raho, usney arz ki mazeed irshaad farmaiyye, AAPNE farmaya har buraayi ke baad nekiyaan karo, woh usey mitaa degi, usne phir arz ki kuch aur farmaiyye, AAPNE farmaya logon se husne sulook karo aur husne khulq se pesh aao.

HUZOOR ﷺ se poocha gaya kaunsa amal afzal hai ? AAPNE farmaya husne khulq, Farmane NABAWI ﷺ hai ke ALLAH TA’ALA ne jis bande ki paidaish aur khulq ko behtareen banaaya hai usey WOH jahannam mein nahi daalega.

HAZRATE FUZAIL رضي الله عنه se marwi hai ke HUZOOR ﷺ se arz ki gayi ke falaan aurat raat ko ibaadat karti hai , din ko roza rakhti hai magar woh badkhulq hai, apni baaton se hamsaayon (padosiyon) ko takleef deti hai, AAPNE farmaya usmein bhalaayi nahi hai , woh jahannamiyon mein se hai.