Tawazo inkisari ki fazilat fakhr na karo hadise nabawi ﷺ hai, ALLAH TA’ALA ne MUJHE WAHI farmaayi hai ke TUM tawaazo’ karo aur ek doosre par fakhr wa takabbur naa karo, agar koi doosra TUM se takabbur se pesh aaye to bardaasht karo chunaanche ALLAH TA’ALA ne APNE NABI ﷺ se farmaya hai:
“Darguzar ko apnaiyye , Neki ka hukm kijiye aur jaahilon se munh pher lijiye.”
HAZRATE IBNE ABI AUFA رضي الله عنه se marwi hai ke HUZOOR ﷺ har musalmaan se tawaazo’ se pesh aate aur bewaa aur miskeen ke saath chal kar unki haajat rawaayi karne mein aa’r mehsoos naa farmate aur naa takabbur se kaam lete.
Huqooq ul ibaad mein yeh baat bhi daakhil hai ke logon ki baatein ek doosre ko naa bataayi jaaye aur kisi ki baat sunkar kisi doosre ko naa sunaayi jaaye.