Jannat me chalte firte dekha hadise nabawi Farmaane NABAWI ﷺ hai MAINE ek aise shakhs ko Jannat me chalte phirte dekha hai jisne musalmaanon ke raaste se ek aise darakht ko kaat diya tha jo unhe takleef diya karta tha.
HAZRATE ABU HURAIRA رضي الله عنه ne arz kiya “YA RASOOLALLAH ! ﷺ mujhe aisa amal batlaayiye jisse Main nafa haasil karun, AAPNE farmaya musalmaanon ke raaste se takleef dene waali cheezon ko door kiya karo.
Farmaane NABAWI ﷺ hai ke jo shakhs musalmaanon ke raaste se aisi kisi cheez ko door kar deta hai, jo unhein takleef deti hai to ALLAH TA’ALA uske badle mein uske liye neki likh deta hai aur uske liye Jannat ko waajib kar deta hai.
Farmaane NABAWI ﷺ hai, kisi musalmaan ke liye jaaiz nahi hai ke woh apne musalmaan bhai ki taraf aisa ishaara kare jise woh na-pasand karta hai.
Farmaane NABAWI ﷺ hai, kisi musalmaan ke liye ye jaaiz nahi hai ke woh kisi musalmaan ko khaufzada kare.
Neez irshaad farmaya ke ALLAH TA’ALA momin ki takleef ko na-pasand farmata hai.
RABEE’ BIN KHAISAM رضي الله عنه ka qaul hai ki logon ki 2 qismein hai, agar tera mukhaatib momin hai to usey eeza (takleef) na de aur agar jaahil hai to uski jahaalat mein na pado aur bande par musalmaan ka ye bhi haq hai ke woh har musalmaan se tawaazo’ se pesh aaye aur takabbur se pesh na aaye kyunki ALLAH TA’ALA har itraane waale mutakabbir ko na-pasand farmata hai.
Leave A Comment