Musalman kaun he? hadise nabwi se HAZRATE ABU MOOSA رضي الله عنه HUZOOR ﷺ se riwaayat karte hai, AAPNE farmaya ke musalmaan, musalmaan ke liye deewaar ki tarah hai jiska ek hissa doosre ko taqwiyat (taaqat) deta hai.
Musalmaan ke huqooq mein se yeh bhi hai ke woh apni zabaan aur kisi feyl (kaam) se doosre musalmaan ko dukh naa pohonchaaye.
Farmane NABAWI ﷺ hai ke musalmaan woh hai jiske haath aur zabaan se musalmaan mehfooz rahe.
Ek taweel hadees hai jisme HUZOOR ﷺ ne logon ko achhi aadat apnaane ke muta’alliq hukm farmaya hai, farmaya agar tum ye nahi kar sakte ho to logon ko apne shar se mehfooz rakho, ye tumhare liye sadka hai jo tumne apni zaat ke liye diya hai, aur farmaya Afzal musalmaan wo hai jiske haath aur zabaan se musalmaan mehfooz rahe.